Friend kya app Idea Call Details nikalana chahate hai to ham apako is post me two method batayenge, jisse aap bade asani se Idea Call History jan sakte hai.
Vaise People Ko Following Situation Me Call Details Ki Sabse Jyada Jarurat Padti Hai, Isme aapka bhi reason ho sakta hai-
1.Love Affairs – Aaj ke time me love affairs ke mamle bahut badh chuke hai, jise solve karne me call details kafi help karti hai. Yadi aapke pas aisa koi issue hai to aap is tarike ko aajma sakte hai.
2.Kisi Stranger Ko Mobile Phone Dene Par – Yadi kisi reason se stranger ko apna mobile phone dete hai to aapko jan lena behad jaruri hai, kahi usne aapko phone ko misuse to nahi kiya. Aise me yadi vah person phone call history delete kar de, to aapko is tarike ki jarurat padegi.
3.Lost Phone Milane Par – Yadi aap apna lost phone pate hai to phone call history jan lena behad jaruri hai, jo aapko future me hone vale kisi bhi issue se bacha sakta hai.
4.Police Case – Kisi bhi Police case me call details important evidence hota hia.
Idea Call Details Kaise Nikale 
Friend, Ab aap two easy tarike se call details nikal sakte hai –
#1. Idea Ki Official Website
Aap is tarike dvara Idea ki official website se SIM ki call history nikal sakte hai.
1.Idea ki official website par visit kare।
2.Aapke samane Register Your Account ka box open hoga, jisme aapko Mobile Number enter karke Password Delivery Mode chune and Captcha enter kare.
3.Login par click kare, is dauran aapke Email ya Number par password aayega, jise enter kar login ho jaye.
4.Apna Password set kare.
5.Menu bar me My Prepaid me View Call History par click kare.
Ab aapke samane Idea SIM se ki gai call history open ho jayegi. Frend aap My Idea App se call details nikal sakte hai, jiski process same hai.
#2 App
Following App My Idea App ke saman hai, jisse aap easily call details nikal sakte hai-
1.Mubble App install kare।
2.Language select kare।
3.Permission grant kare।
4.Aapki SIM kis company ki hai, use yah automatically detect kar lega।
5.Ab apna mobile number verify kare।
6.Email enter kar Sign up kare, isi email id par aapko last me call details milegi.
7.Call History show karane ke liye dubara se Permission grant kare।
8.Ab yah app sim ko access karega. Bill par click kare।
9.Open box me 30 Days chune aur Get By Email par click kare।
Ab aapko Idea Call Details aapke email-id par mil jayegi.
Friend, is tarah aap in two tarike se Idea Call Details nikal sakte hai.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Twitter and Whatsapp par share kare.
Kunj Bihari says
Bahut badhiya jankari share ki hai aapne
sanjay kumar says
bhot acchi jankari di hai apne