Desh ki sabse badi open university IGNOU (Indira Gandhi National Open University) ne December 2018 ke exam result announce kar diye hai aur sath hi alag-alag courses ke grade cards ko release kar diya hai. Aap apna result IGNOU ke official website par check kar sakte hai.
But aap kaise easily IGNOU ka result check kar sakenge, uske liye aage main aapko simple tarika batayunga.
Usse pahle is exam ke kuch stats jan lete hai-
December 2018 me BCA, MCA, MP, MPB, BDP, BA, B.COM, B.Sc, aur other program ke exams hue the. Jiske result 15 February 2019 ko release kiya hai.
Iske sath grade card ko bhi release kiya gaya hai, jise aap IGNOU ke official website se download kar sakte hai. IGNOU ne Grade Card ko three groups me release kiya hai.
Ye group hai- BCA/MCA/MP/MPB, BDP/BA/B.COM/B.Sc./ASSO Programmes aur Other Programmes. Isliye aapko every group ke liye admit card download karne ke different link ka use karana padega. Jise main aapko niche de raha hun.
IGNOU Term End Exam Result Kaise Check Kare
IGNOU se kaise easily aap apna result check kar sakte hai, uske liye aage tarika bata raha hun-
1.IGNOU ke official website www.ignou.ac.in par visit kare.
2.IGNOU declares Term End Result and Grade Card of December 2018’ red link par click kare.
3.Ab apna nine digit enrollment number enter kare aur submit kare.
Result aapke samne show ho jayega.
Term Ends Exam ke Grade Kaise Download Kare
1.Simly aapko apne group ke hisab se niche ke link par click karana.
2.open page me pahle apana course select aur enrollment number enter kare.
3.Submit kar den.
Iske bad aapka Grade Card show ho jayega, jise aap download kar sakte hai.
Click here to see grade cards for BCA/MCA/MP/MPB
Click here to see grade cards for BDP/BA/B.COM/B.Sc./ASSO Programmes
Click here to see grade cards for Other programmes
- Business Ke Liye Loan Kaise Le [Full Guide]
- PM Mudra Scheme Ke Tahat Loan Ke Liye Apply Kaise Kare
- Home Credit Loan के लिए Apply कैसे करे [Best 2 तरीके]
- Home Loan Ke Liye Apply Kaise Kare
In Last Word
Main aapko IGNOU se result janane ke liye easy tarika bataya hai, jise aap follow karke apna result aur grade card pa sakte hai.
Vaise yadi aap apne grade card me improvement karana chahte hai to iske liye apply kar sakte hai. Jiski fees Rs 750 hai.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to jarur Facebook, Twitter, Google Plus and Whatsapp par share kare.
Leave a Reply