Image Optimization | Kya aap apne post me image use karte hai ? Without any doubt aap image use karte honge.
Facebook founder Mark Zuckerberg ke anusar text ke comparison image jyada impact dalta hai. Jisse jyada share aur comment ke chances increase ho jate hai.
Isliye yadi aap blogger hai to image se aapko following benefits honge
1.Post topic fast clear hoga
2.Better user experience hoga
3.Bounce rate decrease hoga
4.Ranking improve hogi
5.Organic traffic increase hogi.
6.First Impression Great hoga, (jo directly frequent visitor ko regular visitor me change karta hai.)
Par yadi aap better tarike se image optimization nahi karte hai, to aapko images use karne se benefits ki bajay lose hi milega.
1.Bounce rate increase hoga,
2.User experience bad hoga
Overall, bina image optimization ke aapki ranking ko down kar dega.
Is post me main aapko image optimization ke top tips batane jaa raha hun, jo user experience aur seo ke liye essential hai. Isliye ise carefully read kare aur for future ke liye is page ko bookmark kar de.
Table of Contents
Top 11 Methods of Image Optimization
#1.Image Name
Bahut se bloggers Google se sidhe image uthate hai aur blog par upload kar dete hai. Vaise google se kabhi image nahi lena chahiye. Because bad me copyright-infringement jaise issue ko face karna pad sakta hai.
Isse better hoga ki Pixabay jaise free image stock website ki images use kare.
Anyways, jab koi image ko sidhe hi blog per upload kare deta hai. To us image ka naam 134324jgk.jpg jaisa hota hai. Jise na to koi user samjh sakta hai aur naa hi koi search engines.
To fir Google kaise aapke image ko index karega?
Isliye blog par upload karane se pahle image ko rename is prakar kare.
Image-Optimization-Tips-2017.jpg
Vaise ise aap imageoptimizationtips2017.jpg bhi likh sakte hai, lekin better sense ke liye words ke bich hyphen lagaye.
#2.Alt Text
Alt text ka use image ki description ke liye kiya jata hai. Jisse search engines better tarike se image ko read kar sake aur index kar sake.
Yadi aap keval image name par hi dhyan dete hai to aap bahut badi galati kar rahe hai.
Aaj hi install kare SEO Image Plugin
Ye plugin setting ke hisab se automatically sabhi images me alt text add kar deta hai.
But ham aapko image me alt text manually add karane ke liye recommend karte hai,
Kyoki hamesha se ek insane ka mind ek machine se jyada intelligent hota hai.
<img src=”image-optimization-tips” alt=”image optimization tips 2017”>
Alt text me related important words hi use kare aur words ke bich hyphen ka use naa kare.

Alt text add aap image ko post me insert karte samay easily kar sakte hai.
#3.Image Size
Yadi aap free stock vale images, HD images or wallpaper images post me use karte hai to use hamesha optimization ki jarurat padati hai.
Vaise aapko blog images ko optimization ki jarurat hai ki nahi, Page Insight par check kare
Offline aur Online dono tarah ki image optimization karana jaruri hai.
Offline optimization ke liye adobe photoshop use kare.
1.Photoshop me image ko save as kare.
2.Image quality me 6 dale (image quality ke hisab kam ya jyada kar sakte)
3.Format options me Baseline Optimized ko select kare.
4.Ok press kar de.
Yadi aapke pas Adobe Photoshop nahi hai Photoscape download kare. Ye Photoshop ki tarah work karta hai.
Online Image Optimization ke liye WP Smush ya Tiny PNG plugin install kare.
As a comparison view, Wp Smush Tiny PNG se better hai.
Easily Wp Smush ko install kare aur optimize kare. But Tiny PNG ke liye aapko API key ki jarurat hogi. Jise aap tiny png official website par account create kar pa sakte hai.
Pro Tip – Every image ki size 70 kb se down rakhe.
#4.Image Dimension
Image dimension page speed par big impact dalta hai. Yadi aap image dimension par focus nahi karte hai to ye aapke blog ke liye bad luck hoga.
because jab kisi bhi image ko post me upload kiya jata hai aur html code ke dvara use short dimension me kiya jata hai. To vo image load hone me double time leti hai.
Jaise kisi image ki size 722×300 px hai.
Lekin maine wordpress text editor dvara se ise short kar diya, jiska html code hoga –
<img class=”https://bloggingfirst.com/wp-content/uploads/2017/03/image-optimization” alt=”image optimization tips 2017” width=”500” height=”250”/>
Ab koi visitor is image ko access karta hai to pahle image 722x300px ki dimension me load hogi. Iske bad vo 500x250px ki dimension me short ho jayegi.
Istarah se ye image double time le rahi hai. Isliye image ko kabhi bhi wp text editor se short naa kare, balki image upload karane se pahle hi image ki dimension set kare.
Ye to baat rahi post image ki, feature image ke sath bhi kuch aisa hi hota hai.
Kai themes feature image ki kai dimensions available karta hai. Generally ye dimension tin type ki hoti hai.
1.Short
2.Middle
3.Long
Pahle theme me feature image ki dimension set kare aur usi dimension ki image upload kare.
Pro Tip –
1.Featured image ki 200x200px dimension set kar sakte hai. Is dimension ki images ko sabhi social sites support karti hai.
2.Wordpress text editor ki help se image ko post me insert karte time full size hi select kare.

#5.Image Format
Mostally websites me JPEG, PNG aur GIF format ki images use kiya jata hai. Lekin tinon me quality aur size ko lekar bahut difference hai.
JPEG – Ye format duniya me sabse jyada use kiya jata hai. Ise maximum level tak optimize kar sakte hai.
PNG – Ye format lossless method par work karta hai. Yani aap is format ki images ko kitni bhi bar edit kar le. Par image ki quality aur size me koi changes nahi hota. Isliye ye optimization ki views se sahi nahi hai.
GIF – GIF format ki image banane ke liye at least do images ki jarurat hoti hai. Jaahir si baat Image ki size double hogi. Par attraction ke mamle yeh sabse popular hai.
Isliye yadi aap is format ko use karne ki soch rahe hai to pahle image ki loading time GTmetrix par check kar le.
Pro Tips –Logo ke liye PNG Format, Post image ke liye JPEG Format aur short ad banner ke liye GIF Format use kare.
#6.Use Caption
Yadi aap apne post image ke liye caption use karte hai to ye aapke problogger hone ki nishani hai.

Vaise image khud itni kaabil hoti hai vo apni object clearly express kar sake,
yadi aap caption use karte hai to visitor ko image ki object fast clear hoti hai. Jiska visitor ke mind par great impression padta hai.
Jo directly aapke bounce rate ko kam karega aur regular visitor ke numbers me increase hoga.
#7.Image Ko Link Naa Karen
Jab aap WordPress text editor ki help se image ko post me insert karte hai, to Attachment Display Settings ke Link To box me None select kare.

Aisa me isliye kah raha hun, jaise mano India vs Pakistan ke bich T-20 cricket match chal raha ho aur match apne antim daur me ho aur light (electricity) chali jaye to tab aapko kaisa feeling hoga?
Kuch aisa hi feeling aapke visitor ko hota hai, jab vo accidentally post image par click kar deta hai. Aur meaningless image page par chala jata hai.
Uske bad uska post read karna bhi chut jata hai. Jiskaran Image ko link karana matlb sidhe bounce rate ko increase karne jaisa hai.
Isliye image ki link to setting me none hi select kare.
#8.Image ko Subdomain Par Host Karen
Jab bhi aap image ko upload karte hai to vo text ki tulana men server par extra space leta hai aur isi tarah page loading me bhi extra time leta hai.
Par yadi aap images ko subdomain par host karen to aapki page loading time half ho jayegi.
Iske liye aapko kisi technical skill ki jarurat nahi. Simply Jetpack Plugin install kare aur Photon ko activate kar de. Bas ho gaya aapka kaam.
Photon aapke images apne subdomain i0.wp.com, i1.wp.com and i2.wp.com par host karta hai.
Beshak aapke man ek question hoga ki image to hamare server par hi upload hota hai, fir kaise photon images ko host karta hai?
To iska answer, jab aap images apne server par upload karte hai to photon un images ki copies apne subdomain par rakh leta hai aur aapke server ko bina disturb kiye vahi se un images ko serve karta hai.
Par yadi aap jetpack plugin use nahi karna chahte hai to Cloudflare use kare.
Iske liye cloudflare aapko choti si setting karana hoga-
1.Page Rule Me Jaye
2.*yourdomain.com/wp-content/uploads/* Ye page rule create kare.
3.Setting me cache level aur everything select kare. And ok.

#9.Sidebanner Ke Liye CSS Use Kare
Yadi sidebanner ke liye images use karate hai to uski jagah CSS use kar sakte hai.
CSS ki help se sidebanner ko attractive look easily de sakte hai aur aapke page loading time ko increase nahi karega.
Iske liye aap kisi coder ko higher kar sakte hai.
#10.Create Image & Watermark
Yadi aap kuch backlinks aur seriously apne images se traffic pana chahate hai to kisi website se image uthana stop kare.
Canva, Picmonkey jaise free tool use kare aur eye catching images create kare.
Aur yadi koi aapke images ko use karta hai, aap kuch backlinks earn kar sakte hai.
Aur ha, Images par apne blogurl ka watermark naa lagana bhule. Jisse aapki branding bhi ho sake.
Yadi aapne already bina watermark ke bahut se images upload kar chuke hai to unpar automatically watermark lagane ke liye, Watermark Reloaded Plugin ya Image Watermark install kare. Kuch setting kare aur Set Ok.
#11.Pinterest & Stumble Upon Use Kare
Pinterest fastest growing social site hai, jahan images share karke important traffics aur high valued juice (SEO) earn kar sakte hai.
Lekin iski ek badi baat hamare favour nahi hai vo hai, iski 80% user woman hai aur top categories Art, Cook, Beauty etc hai.
Par yadi aap kuch traffic earn kar lete hai to vo aapke liye great hi hoga.
Isi tarah StumbleUpon try kar sakte hai. Vaise yadi StumbleUpon seriously le to achcha traffic blog par drive kar sakte hai.
Last Word
Always eye catching image use kare. Is tarah ke images aap free stock website se le sakte hai aur khud online tool se create bhi kar sakte hai. Because ye image great impression ke sath backlink pane ka good chance create karta hai. Jo traffic aur SEO ke lihaj se bahut acchcha hai.
Lekin image optimization ki sabhi methods apply kare aur attractive images use karne ke sabhi benefits le.
Iske alava aap image optimization ke liye kya karte hai ?
Yadi aap is image optimization post ko helpful pate hai to jarur share kare.
Deepak sahu says
mai image rename karta hu to kuch iss tarah se karta hu jaise– image optimization tips.jpg to kya ye sahi tarika nahi hai?
mai zyadatar png image use karta hu. to isme kya dikkat aati hai?
Ravi Kumar says
1.Sahi hai.
2.Image weight 70kb se jyada nahi hona chahiye.
Babita Singh says
आपने हर नये ब्लागर के लिए बहुत ही बढिया और उपयोगी जानकारी दी हैं । आपके इस लेख को पढने के बाद मेरी images से जुडी सारी confusion दूर हो गयी । इस उपयोगी लेख के लिए धन्यवाद ।
Ravi Kumar says
Thanks Babita Ji, Image Hamre Post Ka Aaina Hota Hai. Jise Sahi Se use kare to Balle-Balle, Varna kafi lose Sahana padta hai.
Thanks Again, Keep visiting for more tips to improve blog.