Ab internet keval entertainment ki chij nahi rah gai. Isse aap dhero paise kama sakte hai, yadi aap internet me interest rakhate ho to.
Mai aapko bata dun internet se paise kamane ke liye in chijon ki jarurat nahi padti hai, jo amuman Private aur Government Job me padati hai.
-No Age Limitation
-No Education Qualification, bas kam chalau English aani chahiye.
-No office, Internet par kaam karane ke liye working place koi mayane nahi rakhta hai. Mayane rakhata hai to aapka working quality.
-No Investment, internet par paise kamane ke kai eshe tarike available hai, jahan bina koi money pay kiye. Achha khasa earn kar sakte hai.
To ham kah sakte hai, internet se paise kamane ke liye qualification aur money investment jaisi koi barrier nahi hai.
Table of Contents
Internet Se Paise Kaise Kamaye 
Par internet se paise kamane ke liye kuch basic chijo ki jarurat padti hai, vo hai –
1.Internet Connection
2.Laptop/Desktop
3.Working English Knowledge.
Yadi aapke pas ye tino chije hai to aap internet se paise kamane ke liye qualified hai.
To ab janate hai, kin-kin methods ki help se internet se paise kama sakte hai –
#1.Freelancing
Kya Photography Images ko clean kar sakte hai ?
Kya aap MS Excel ki Knowledge rakhate hai ?
Kya aapko likhane ka shokh hai ?
Iske alava bahut se kaam hai, jise karane ke liye world bhar se aapko opportunity milenga, jise freelancing kahate hai. Is tarah ke work karane vale ko freelancer kahate hai.
Freelancing me kya hota hai
Duniya bhar ke employers apna work pura karane ke liye freelancer ko hire ko karte hai. Iske liye freelancing websites ki madad lete hai.
Jaha employer apna work post karte hai aur freelancer apni interest ke according us work ke liye apply karte hai.
Jab kisi freelancer ke qualification pasand aa jata hai, tab employer us freelancer ko hire kar leta hai aur work finish hone par employer freelancing website ke madhyam se payment kar deta hai.
Jiska kuch bhag freelancing website charge kar leta hai aur baaki amount ko freelancer ko pay kar deta hai.
Freelancing ke under aap is tarah ke work kar sakte hai
1.Website Design, Setup and Software,
2.Writing & Content
3.Mobile Phones & Computing
4.Data Entry & Admin
5.Translation & Languages
6.Local Jobs & Services.
Freelancing Websites
Aap in freelancing website ko join kar, aaj se hi apni earning start kar sakte hai-
#2. News Writing
March 2017 ki reports ke anusar Chinese ke bad Indian world me sabse jyada mobile phone use karte hai. Jiski figure 1 billion se bhi jyada hai. Jo kisi big market se kam nahi.
Yadi in users ko contents jaise news, story, tips etc available kiya jaye aur sath me income ke liye advertisements show kiya jaye to achcha khasa e-business kiya jaa sakta hai.
UC News and News dog bhi isi business plan par kaam kar rahe hai. Yaha aapke liye bhi kamai ka jariya create ho raha hai.
Because ye companies content ke liye freelancer writer/bloggers depend hote hai. Ve content ke badale writer ko money pay karte hai aur advertisement se earning karte hai
If aap bhi desh-duniya, sports, bollywood ki news rakhate hai to use UC News or News Dog par write kar, aaj hi start karen apna income.
#3. Blogging
School ya college ke dino me ham achchi baton aur tips ko apni diary me note kar kar lete the. Jo hamare liye bad me helpful hota tha.
Par vo diary ab digital ban chuki hai, jise world ke sath share karne par money earning kar sakte hai. Ise blogging kahte hai.
Aap apna blog kisi bhi field me start kar sakte hai, jismen aapka interest hai.
Blogging Niche
Vaise mainly people in topics par sabse jyada blog start karte hai
1.Technology
2.Motivational & Story
3.SEO Blog
4.Cookery Blog
5.Fashion Blog
Blog ke liye do chijo ki jarurat padati hai
1.Domain – aapke blog ka internet address hoga. Jaise aapkablog.com
2.Web Hosting – Blog ko run aur live rakhane ke liye hosting ki jarurat hoti hai.
Kisi bhi blog se aap do tarikon se money earn kar sakte hai –
1.Google Adsense ya Adnow ka ad lagakar
2.Affiliated Marketing – Amazon, flipkart ke blog se related product ko apne blog par promot karke earn kar sakte hai
#4. Youtube
Badalte jamane ke sath people youtube ko khub pasand karane lage hai. Iska karan hai, people text ki bajay video se kisi concept ko easily samjh jate hai.
Aaj youtube par people entertainment ke sath, study, technology knowledge & tips janane ke liye jyada aate hai.
Aise me in field men experienced vyakti ke liye paisa kamane ka big opportunity create hota hai.
Yadi aap bhi aise vykti hai to youtube se earning start kar sakte hai, basharte ye chize aapke paas ho
1.Clear voice ho
2.Video shouting ke liye Smartphone ya Camera
3.Interested Field me knowledge.
Youtube Niche
Youtube channel ke popular niche hai –
1.Comedy And Entertainment
2.Shopping & Product Reviews
3.Cookery Channel
4.Youtube SEO & Blog SEO
5.Makeup and Fashion Vlog
6.Technology
7.Teaching
Youtube Se Kaise Earning Hogi
1.Youtube par adsense se earning kar sakte hai. Jiske liye Google Adsense account create karana hoga.
2.Koi sponsor product promote karke.
#5. Old Product, Designed Product aur Ebook Sell Karke
Aapke ghar me kai purani product padi hai to aap unhen OLX aur Quicker par bech kar paise kama sakte hai.
Iske alava kya aap Painting ya koi Designing kar sakte hai, jaise designed cup, plate. ?
Yadi han, to aap inhen Amazon, Flipkart, Ebay par sell karake a achcha business run kar sakte hai.
#6. Online Teaching
Digital hote jamane ke sath teaching bhi e-teaching ho chuki hai. Ab aap ghar baithe teaching karane ke apne knowledge se paisa kama sakte hai.
Aap in website par teaching kar sakte hai –
#7.Affiliated Marketing
Kisi ecommerce website ki kisi product ko promote karane par, us product ki sell ho jaye to e commerce website commission pay karati hai. Jise affiliated Marketing kahate hai.
Affiliated Marketing se paisa kamane ke liye inme se koi ek chij honi chahiye –
1.Twitter Account
2.Facebook Page or Group
3.Blog
4.Whatsapp Group
Affiliated Marketing Kaise Work Karta Hai
Affiliated Marketing karane ke liye ecommerce website jaise amazon ki affiliated program join karana hota hai. Uske bad ham jo product promote karana chahte hai,uska ek unique link milata hai.
Jiske dvara ecommerce website hamare dvara kiye gaye sales ko track karta hai aur commission deta hai.
Ab us unique link ko bog/twitter/facebook/whatsapp par share karana hota hai sath hi product ki description bhi.
Jab koi us link ke help se product buy kar leta hai to hame kuch commission mil jata hai.
Best Affiliate Marketing Tips ke liye ye post padhe-
#8. Earn From App
Ye jamana smartphone ka hai. Jisse aap keval calls aur entertainment ke liye hi use kar sakte hai. Balki ab money bhi earn ka sakte hai.
Keval aapko in apps ko download karana hoga, aur kuch task pura karana hoga. Jiske bad money earn kar sakte hai.
2.Mint Coins
3.Earn Money
4.ESPN Streak for the Cash
#9. Facebook Se Paise Kamaye
Aap jarur facebook use karte honge, par ab aapko facebook entertainment ke sath money earn karane ke liye bhi use karana chahiye.
Facebook se aap do tarike se kama sakte hai
1.Affiliate Marketing – Jiske bare men upar bata chuka hun.
2.Selling Facebook Page – kya apke page par 1000 ya isse jyada likes hai to aap page ko in website par sell karke kamai kar sakte hai. Bas aapko sell karte samay page admin change karana hoga.
#10. Whatsapp Se Paise Kamaye
Subah uthate whatsapp, noon me whatsapp, evening me whatsapp aur night me bhi whatsapp.
Kya Whatsapp se hamare jivan koi sa time bacha hai, jo isse achuta ho?
Bilkul nahi.
Matlab ham rojana 2-3 hours whatsapp par waste kar dete hai. Iske badle kuch bhi nahi milata hai.
Lekin aapke liye good news hai, Whatsapp se aap earning bhi kar sakte hai.
Iske liye aapko affiliated marketing karana hoga.
Aapko affiliated link ko apne Whatsapp group men share karana hoga.
Whatsapp se jyada earn karane ke liye ye tips follow karen –
1.Whatsapp par apne friends ko apne work aur style se impress karen.
2.Apne friends ke interest related product ka link share kare.
3.Product ke baare men achcha sa description likhe.
4.Product ki HD image lagaye.
In Last
Yadi aap smartly daily routine ko optimize kare to aap offline work ke sath online bhi kaam kar sakte hai aur khub money kar skate hai. Iske liye jaruri hai ki aap regular online work kare aur knowledge ke base online money making method select, naa ki earning ke base par. Isse aapke success hone ke jyada chance honge.
Yadi aap is post ko helpful paate hai to Facebook, Twitter, Google Plus & Whatsapp par share kare.
Bhushan Kumar says
Awesome Article Sir, thanks for sharing this article and i want to know more knowledge about tech. Sir, i also created the website related to technical blogs. please approval this link for go ahead.
Ziyyara says
I prefer Online teaching because you just need to design course one time and it will sell again and again with some little modification from time to time.
Online teaching is the best way to earn money
rovin singh chauhan says
internet se paise kamane ke badiya ideas diye hai apne thanks.
Rushikesh Sonawane says
Very nice post
sanju dangar says
Internet Se Earning Karne Ke Sabse Best ideas share kiya hai. thanks
Juyel says
Please help
Ravi Kumar says
Kis tarah ki help chahiye??