Jio SIM lena jitana easy hai, utna hi Jio Number find ya yad rakhana hard hai. Iska main reason hai ki Jio SIM ke packet par uska number likha nahi hota hai.
Jise SIM Subscribers ek bar hi jan pata hai. Jab Jio Retailer Ya Shopkeepar uske name par New SIM allot karta hai to tab us sim ka number aata hai.
But bad main most of SIM subscriber internet chalane me itne mashgul ho jate hai, SIM number bhi bhul jate hai.
Yadi aap bhi apna jio number bhul gaye to hai to don’t worry.
Main aapko ek nahi char-char tarike batayunga, jisse aap apna jio number ja sakenge.
How To Know JIO Number
Yadi aap Jio Official Website se apna SIM Number janana chahenge, to ve aapko SMS method batayenge. Jiske sath main shuruat karta hun-
#1.SMS
Message box me jaye aur ye likhe
<IMEI No>
IMEI No SIM ke packet par mil jayega. Ab 199 par send kar de. Ise 7021799999 par bhi send kar sakte hai.
Yadi aap apne mobile phone se SMS nahi send kar paa rahe hai to aap Friend ke mobile ko use kar sakte hai. Us mobile me is tarah message likhe
JIO 6734673874384838778
Ab ise 199 ya 7021799999 par send kar de.
#2.My Jio App
Jio subscribers mobile number janane ke liye is method ko sabse jyada use karte hai.
1.My Jio App install kare
2.Mobile number aur password ke sath log in kare.
3.Home page par jaye.

3.Ab aapko My Account section me aapka jio number dikh jayega. Extra me yaha aap data balance, plan expiry date bhi jan sakte hai.
#3.Jio 4G Voice
Is method se jio number find karane ke liye behad kam hi people use karte hai.
1.Jio 4G Voice install kare
2.Open kare.
3.Upar menu icon par click kare aur setting me jaye.
Vahan aapko number dikh jayega.
#4.Call Your Friend
Yadi aapne Jio Number recharge kar rakha hai to ye method aapke liye effective hai.
Bas friend ko call kare aur uske smartphone ki screen par dekh len.
#5.USSD
Jio ne USSD method se bhi mobile number find out karane ki suvidha de rakhi hai. But ye method properly work nahi karta hai. Is method se mobile number janane ke liye *1# dial karana hoga.
- Hike Ko PC/Laptop Me Kaise Chalaye
- Google Duo Ko PC Me Kaise Chalaye
- Google Datally Kya Hai & Kaise Data Save Karta Hai
In Last Word
Jio number yad rakhana, uske kahi naa likhe aur internet facility ki vajah mushkil hota hai. Isliye aap bhi upar bataye gaye tariko se apna mobile number jan sakte hai.
Vaise yadi aap second method use karte hai to aapko Jio number yad rakhane ki bhi jarurat nahi hai. Bas jab Jio Number find karana ho to My Jio App ko tap kar den aur aapko number mil jayega.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to facebook, google plus, whatsapp, twitter jaise social sites par share kare aur comment bhi kare.
Thanks
Leave a Reply