Kya aap Jio Money user hai? to aap ko jankar khushi hogi ki ab Jio Money ko Jio Payments Bank bana diya gaya.
Ji ha, RBI ne tweet karke ye jankari di hai ki Reliance ne 3 April 2018 ko Jio Payments Bank ko launch kar diya hai.
Ab aap easily Jio Payments Bank ke facilities ka benefits le sakte hai.
Table of Contents
Jio Payments Bank Kya Hai
Jio Payments Bank un Payments Banks me shamil tha, jinhen 19 August 2015 ko 11 Payments Banks ke sath RBI se license mil gaya tha.
Jio ne is bank ki operational service 3 April 2018 ko shuru ki. Vaise is bank ne RBI se Reliance Payment Solutions Ltd se name se license liya tha.
Jise Customer ke liye Jio Money se Jio Payments Bank ka name diya ja sakta hai.
Jio Payment Banks Se Benefit Kya Hai
Jio Founder Mukesh Ambani chahte hai ki Jio Payments Bank Airtel Payments Bank aur Paytm Payments Bank se behtar ho, isliye ve inse jyada financial services de sakte hai.
1.Saving Account open karva sakte hai.
2.Small Business ke Salary Account open karava sakte hai, jo other Payments Bank nahi kar sakte.
3.Mutual Fund buy kar sakte hai
4.FD kar sakte hai.
5.Physical and non-physical debit card issue & use kar sakte hai.
6.Mobile Internet Banking kar sakte hai.
7.Online/offline payment aur transfer kar sakte hai.
8.Bill payment / mobile, DTH, Data Card, Gas, Electricity, Landline, Toll recharge kar sakte hai.
9.Insurance Premium pay kar sakte hai.
10.Train, bus, movie ticket book kar sakte hai.
11.Saving Account me maximum 1 lac rupees rakh sakte hai.
12.Charity aur donation kar sakte hai.
Jio Payments Bank App Download Kaise Kare
Reliance Jio ne Jio Money ko upgrade kar Jio Payments Bank bana diya hai, isliye is payments bank me account open karne ke liye Jio Money App install karna hoga.
Filhal is app ka name unchanged rakha gaya hai. yah Google Play Store me 19mb ki hai.
Jio Payments Banks Me Saving Account Open Kare
1.Yah bank keval App par service deti hai, isliye play store se iska app download kare.
2.App install kar open kare aur sign up kare.
3.Saving account section me jaye, Name, DOB, Aadhar Number jaise details submit kare.
4.Ab Aadhar Card ka verification karvana hoga, jise nearest authorized Jio center me jakar kar sakte hai ya Verification at home ke liye request kar sakte hai.
5.Verification done hone ke bad aap Jio Saving Account open ho jayega.
Iske bad aap apne Account me money deposit, withdraw, payment aur transfer kar sakte hai. Sathi hi aap financial products mutual fund aur FD bhi buy kar sakte hai.
In Last Word
Pahle Jio ne telecom sector me free service dekar tehelka machaya tha. Is bar payment bank sector me bhi kuch vaisa hi karane ja raha hai. Jisse ye Airtel Payments Banks aur Paytm Payments Bank se kuch jyada facilities dene ki koshish karenge.
Yadi aap is post ko helpful paate hai to Facebook, Whatsapp, Twitter aur Google Plus par share kare.
Shivam Yadav says
Hum jio payment bank open Karna chahte hai
Ravi Kumar says
App install kare aur apply kare.