Jab se bitcoin ki price badhi hai, isne achche se achche people and institute ka dhyan attract kiya hai. Iska result bhi behatar raha, bahut se people ne kam time me hi bitcoin me invest kiye aur big profit bhi earn kiye.
Ab is crypto currency ke market men Jio utarana chahata hai. Yah vahi company hai, jo pahle hi Telecom sector me apni planning se rival companies ko piche ko chhod chukki hai.
Ab yadi ye company crypto currency market me utarti hai to kya ye telecom sector ki tarah dhamal macha sakegi?
Shayad ye ho naa ho, par India me bitcoin ko illegal tender mana jata hai, uspar RBI aur Central Govt rethink karana pad sakta hai.
Jio Coin Kya Hai ?
Bitcoin ki tarah Jio cypto currency lane ki planning bana raha hai. Jise Jio Coin name diya gaya hai. Iski official announcement Jio ke Founder Mukesh Ambani ne Mumbai ke Media Event me ki.
Unke anusar Jio Company jald hi blockchain technology par work karegi. Jiske liye 25 years se kam ke 50 young men ki team banai jayegi. Jisko lead Mukesh Ambani ke elder son Akash Ambani karege.
Shuruati khabaron ke anusar Jio Jio Coin ka use effortlessly business transaction aur investment ke liye kar sakti hai. Par Jio Coin se isse bhi jyad benefit ho sakte hai.
Jio Coin Se Kya Benefit Ho Sakta Hai?
1.Legal Tender Banane Ka Pressure – RBI tin baar aur Central Govt do baar kah chuki hai ki India me Bitcoin legal tender nahi hai. Isliye Bitcoin me invest naa kare. Par fir bhi bahut se log bitcoin me invest kar rahe hai. Yadi Jio is field me aa jati hai to Govt par bitcoin ko lekar pressure ban sakta hai.
2.Foreign Investment – Jio coin se foreign money country me laya ja sakta hai. Bas depend karta hai, Jio ki blockchain technology kaisi rahegi. Yadi aisa hota hai to bahut se foreigner investor ki big amount ko India me laya ja sakta hai. Jo country ke liye beneficial hi hoga.
3.Effortless Transaction – Ab tak aap jan gaye honge ki bitcoin kaise work karta hai ? yadi nahi janate hai to ye article padhe.
New people ke liye Bitcoin jitni uljhi hui chij najar aati hai, isse kahi jyada bitcion transaction karana saral hai. Bitcion transaction karane ke liye kisi third party ya governing party ki jarurat nahi padti hai. Jiske karan jaldi se aur bina charge ke bitcoin transaction ho jata hai. Jo business man aur a person ke liye beneficial hai.
- Best 4 Free Bitcoin Earning Android Apps
- Bitcoin Buy & Sell / Trading Kaise Kare [Highest Profit Trick]
In Last Word
Yadi India me Jio Coin aata hai to India ke liye bahut beneficial ho sakta hai. Par Governement ko bahut mechanism ki jarurat padegi. Yadi Govt. Ise handle karane me safal ho jati hai to Agla Digital kranti India se hi shuru hogi.
Aapko Kya Lagta hai ? Jaha Bitcoin ko illegal mana jata hai vahi Jio Coin country ko benefit pahuch sakta hai ?
Leave a Reply