Vah vo jamana gaya, jab aap kisi ko udhar ya borrow dete the to use kisi notebook ya bahi khata me likhate the. Aaj ke time me sabhi jagah digital ka impact dekhne ko mil raha hai.
Jiske karan yadi aap ek shopkeeper ya businessman hai to aap pakka customers ke sath udhar len den karte honge. Par Is tarah ke len den (transaction) ko kisi copy me maintain karna asan nahi hota hai.
Isme bahut time aur mind concentration lagta hai. Aise me aap mobile ko khata bahi ban sakte hai, Jiske liye simply aapko Khata Book app install karna padega, jo bilkul free hai.
Par mobile ki chhote se screen par shop ya business ke important task ko complete karana bahut hard ho sakta hai. because aapko every transaction me 20-50 word type karna padega,
jo small screen par harder hai. Kul milakar mobile phones chhote-mote shop ke liye sahi hai. Par Medium ya big size shop ya business ke liye headache hai.
Isliye aap is work ko pc par kare to aap smoothly done kar sakte hai. PC par efficiently aur quickly type kar every transaction ki entry kar sakte hai. So ham aapko is post me batayenge
Khata Book Download For PC
Khata Book ek Indian Digital Startup hai, jiska legal name ADJ Utility Apps Private Limited, jo Bengaluru based hai. Is company ko October 2018 ko Ravish Naresh, Jaideep Poonia, Dhanesh Kumar aur Ashish Sonone ne found kiya tha,
jo Indian ki first mult language udhar khata application ban chuki hai.
Ise specially small & medium size businessman ke liye banaya gaya, jo aksar khata bahi maintain karane ke liye kisi professionals ko hire nahi karte hai.
Jiske karan yah startup rapidly grow kar rahi hai. Ise every month organically 1 lac installation mil raha hai. jiske karan yah app google play store par business category ki top-10 list me list hai.
Khata Book Apk
App | KhataBook |
Installs | 1M |
Type | Utility |
Rating | 4.7/5 |
Developer | ADJ Utility Apps PL |
Khata Book ke bahu benefits hai, jaise aap jaldi se kisi bhi customers ka credit account dekh sakte hai, payment ke liye SMS ya Whatsapp request send kar sakte hai.
Yahi nahi aap payment link send kar online payment collect kar sakte hai. Vahi aap jarurat ke hisab se ek din, ek mahine ya pure sal ki hisab pdf ke rup me customers ko send kar sakte hai,
jisse ve bhi pure hisab ko jaan sake. Isliye ham aapko pc / laptop par is app ko run karane ke 3 tarike bata rahe hai.
Tarika -1
Is tarike me aapko Bluestack ki jarurat padegi, jo window pc me kisi bhi app ko run karane ke liye jaruri hota hai. But ye ek heavy software hai. jise smoothly run karne ke liye aap ko pc me 4 GB RAM honi chahiye.
1.PC me Bluestack install kare.
2.Bluestack open kare.
3.Usme browser open kare aur Google Play Store search kare.
4.Google Play Store par login ho jaye .
5.Khata Book App search kare aur install kare.
6.Installation ke bad Khata Book par apna hisab-kitab asani se sambhal sakte hai.
Tarika – 2
Yadi aap ka PC old hai ya powerful nahi hai to yah tarika use kar sakte hai. Isme aapko Nox Android Emulator install karna padega, jo behad hi lightweight software hai.
1.Nox android emulator pc me install kare.
2.Nox open kare aur Google Play Store open kare.
3.Khata Book search kare aur install kare.
4.Ab Khata Book par registration ke bad apna work start kar sakte hai.
Tarika – 3
Yadi aap window pc ki jagah Mac OS chalate hai to is tarike se Khata Book ko pc me use kar sakte hai.
1.Nox emulator ka Mac os version install kare.
2.Nox se google play store open kare.
3.Khata Book app ko install kare.
4.Registration kare aur work kare
In the last
Vakai aaj ke jamane me sabkuch digital ho gaya, jo hamari life ko easy banati hai. Ab aap upr ke tarike use karke apne business ko comfortable bana sakte hai.
Isse aapka kafi time bachega, jise aap apni family ke sath spend kar sakate hai. Hai naa kitna sahi. Is baat par is post ko jarur share kare.
ravi kumar says
Khata Book App के बारे में आपने बेहतरीन जानकारी दी, आपका धनयबद
Ravi Kumar says
Thanks Ravi ji