LIC India ki Greatest Insurance Company hai, Jo Indian Government ki Company hai. LIC shuruat se hi apni service me number one rahi hai. Jiske karan LIC desh ki simayon se bahar Nepal, Singapore aur Shri Lanka me bhi business kar rahi hai.
Yadi aap LIC ke policy holder hai to aapke liye khushi ki baat hai ki ab LIC loan bhi deti hai. Yani aap apne LIC Policy par loan le sakte hai.
LIC se loan lena behad hi asaan hai, isme bank se loan lene jaise process ko follow nahi karna padta hai.
LIC Se Online Loan Kaise Le 
LIC Se Online Loan Lene Ke Fayade
Aaiye LIC Policy par loan lene ke benefits ko points me samajhate hai
1.Security Free – Shayad LIC India me pahla financial institution hai, jo loan ke liye security nahi leti hai. LIC aapko policy ko hi loan ki security manti hai. Isliye aap security ko lekar happy ho sakte hai.
2.Loan Amount – Aap LIC se loan apne policy ke 90% surrender value ya 85% paid up value jitane amout tak loan le sakte hai. Yani aapko policy jitna badi amount ki hogi, aap utni badi amount ka loan le sakte hai.
3.Flexible Payment of Loan – Credit Card ya Bank Loan ki tarah LIC me every month EMI pay nahi karana padta hai. Aap LIC me every six month me ke bar interest amount pay karna hota hai aur yadi aap loan amount pay nahi karna chahte hai to loan amount aapke Policy se manage ho jayenga. Iske alava aap chahe to kuch samay bad loan amount pay kar sakte hai.
4.Time Saving – Aap LIC se online loan le sakte hai. matalab aapki priceless time ki khub bachat hogi aur sath hi aap tension free rahenge. Aap LIC se Kaise Online Loan le sakte hai, uske bare me ham aage batayenge.
5.Cheaper Interest Rate – LIC loans par 10.5% interest leti hai. Jo other Financial Institutions se cheap hai.
LIC Se Loan Lene Ke Liye Term & Conditions
1.Policy Min 3 Year Old Ho – LIC se loan lena hai to aapki policy kam se kam 3 year old ho aur aapne regular premium pay kiye ho.
2.Payment of Loan Amount – Yadi aap keval interest pay karana chahte hai, but LIC chahe to aapko Loan Amount pay karane ke liye notice send kar sakti hai. Yadi aap pay nahi karte hai to aapko policy se settle kar liya jayega.
3.Outstanding Interest Amount – Yadi aap every six month interest amount pay nahi karte hai to LIC outstanding interest amount ko aapke policy se cut karegi.
4.Policy holder Ki Death Hone Par – Loan liye hue policy holder ki death ho jati hai to principal aur interest amount ko policy ke maturity amount se manage kiya jayega.
5.6 Month Ka Interest Dena Hi Hoga – Yadi aap loan ko first six month se pahle chukana chahate hai to aapko at least 6 month ka interest dena hi padega.
LIC Se Online Loan lene ke liye hame LIC par apna online account create karna hoga. Aaiye Janate hai
Online LIC Account Kaise Create Kare
Iske liye hame in chijon ki jarurat padegi
1.Policy related details
2.Copy of Aadhar Card / Pan Card
Ab Start Karte Hai
1.LIC ki official website par visit kare.
2.Online Service Column me Customer Portal par click kare
3.New User par click kare aur important details fill up kare.

Jaise
-Policy Number
-Installment Premium without taxes
-Date of birth
-Aadhar Number
-PAN
-Gender
-Mobile No
Ab aap Login ho jaye. Loan lene ke liye Premier Service User ke rup me registered karana hoga. Isliye Service Registration se Premier Services Registration par click kare.
Premier Service User Account Kaise Create Kare
1.Jaise main ek step pahle hi bata diya hai. Next window me Registration form ko download kare aur use fill up kare.


2.Us form aur pan card (aadhar card / passport) ko scan kare aur use upload kar de.
Kuch dino bad apko iski approval mil jayega.
LIC Se Online Loan Kaise Le
1.Ab aap LIC par log in ho jaye.
2.Sevice Registration>> Service Request>> Online Loan Request par click kar jarur details submit kare.

Ab aapko kuch din bad loan approved ho jayega.
Online LIC Loan Payment Kaise Kare
1.Aap LIC ke home page par jaye.
2.Online Service section me Online Loan par jaye.
3.Loan Repayment / Loan Interest Payment section me do option show hoga.

– Pay Direct (Without Login)
-Pay Through Customer Portal
Aap in do options se loan aur interest ko pay kar sakte hai.
In Last Word
LIC se loan lene me kuch dino ya week lag sakte hai. Par aapko bank loan se milne vala tension nahi milega. Sath hi loan payment ki chinta nahi karana karana hoga.
Aap upar bataye gaye steps se easily LIC se online loan le sakte hai.
Hope, ye post helpful paya ho. Ise aap jarur Facebook, Twitter aur Whatsapp par share kare.
Leave a Reply