India me cricket religion hai. Yadi aapko vishvash na ho to jab Sunday ko din cricket match ho to sadke dekh lena. Suna suna mileage.
Yani India me cricket ke diwano ki kami nahi, jo cricket match dekhane ke liye hamesha bekarar rahte hai.
Ye fans Sunday ko easliy live match dekh sakte hai. but aur dinon kaise dekh sakenge live cricket match?
Tab cricket fans android app ka sahara le sakte hai. Jisse ve na keval live cricket score, balki live match bhi dekh sakte hai.
Table of Contents
Live Cricket Match Score Dekhane Ke Best 7 Anroid App
1.Hotstar – Watch TV Movie Live Cricket
India me live cricket match dekhane ke liye sabse jyada Hotstar ko use kiya jata hai. because ye live cricket score ke sath live cricket match bhi stream karta hai.
Star India ne ise February 2012 me launch kiya tha. Ab is app par cricket alava movies, serials, hotstar originals, reality show ko dekh sakte hai. Sath hi video ko download bhi kar sakte hai.
2.Cricbuzz
Cricbuzz bahut hi popular website hai, jo cricket ki tamam khabaron ko update karti hai. Isi name se iska app bhi hai, jisse aap live commentary ke sath live score ki bhi janakari le sakte hai. Iske alava is app me player profile, record, run, six etc dekh sakte hai.
3.The ESPNcricinfo Cricket App
ESPN ek global sport company hai. Jo Football aur Cricket ke liye apni alag-alag website par latest news publish karti hai. Isi tarah ESPN ki Cricket App bhi hai, jisse aap kisi bhi match ki pal pal ki khabaron ka update le sakte hai.
Is app me cricket se related records, trivia, interesting fact ko bhi jan sakte hai.
4.Yahoo Cricket
Shayad aap janate honge Yahoo bhi Google ki tarah ek search engine hai, jiska 20th century me raaj hua karta tha. Khair Yahoo apni search engine ke homepage par cricket khabare & live score bhi show karta hai.
Sath hi isne App bhi launch kar rakha hai. Jise aap download kar details me live cricket ko enjoy kar sakte hai.
5.Star Sports Live Cricket Scores
Star Sports Star India ka sports channel hai, jispar ve Indian team ke match live telecast karte hai. jise ve Hotstar par live stream karte hai. But unhone Star Sport Live Cricket Score ke name se app bana rakhe, jispar live commentary aur score show karte hai.
6.NDTV Cricket
NDTV ek Indian news company hai. Jo tamam sabh khabaro ke sath Cricket Khabare, Score, Commentary publish karte hai. Jise ve apne app par bhi live score, commentary, player profile, records, winning percentage show karte hai.
7.Wah Cricket
Wah cricket app par aap cricket match ka schedule, cricket team profile, player profie, video, photos, news, ICC ranking ke sath live commentary aur live score ka bhi maja le sakte hai.
Is aap ko ABP News ne banaya hai, jinki Wah Cricket ke name se Cricket News Portal bhi hai.
8.SonyLIV
SonyLIV App ko Sony Picture Networks India Pvt. Ltd ne launch kiya hai. Jo filhal live cricket match dekhane ke liye sabse popular app hai. Is app par aap India ke sabhi T-20 aur One Day Matches ke sath IPL ke sabhi match freely dekh sakte hai.
- Kings Eleven Punjab Online Ticket Booking Kaise Kare
Is aap se aap Sony ESPN, Sony Six, Sony Ten 1, Sony Ten 2, Sony Ten 3, Sony Golf HD, Sony Ten 1 HD jaise channels ko catch kar sakte hai.
In Last Word
Google Play me live cricket score aur commentary ek bahut se app available hai. Par unme se kai sahi nahi hai. Main jin apps ki list banai hai, vo Reputed and Genuine hai.
- Mumbai Indians Online Ticket Book Kaise Kare
Yadi aap is post ko helpful pate hai to apne friend ke sath share and comment kare.
ravi kumar says
क्रिकेट के ऊपर आपने काफ़ी बढ़िया पोस्ट लिखा है।