Kya aap Indian Railway me Lower Berth Book Karna Chahte Hai ? But Nahi Kar Pa Rahe Hai.
Main aapko suggest karunga ki Indian Railways me Lower Berth Seat Book karne se pahle Lower Berth Quota rules jan le.
Main aapko bata dun Indian Railways ne lower berth ke liye kai rules bana rakhe, jisme aap kai rules nahi janate honge.
Isliye ham is post me lower berth quota rule ko decode karenge.
Table of Contents
Lower Berth Quota Rule in Hindi
Kitane Lower Berth Hote Hai
India Railways ke anusar Lower Birth senior citizens, pregnant women aur single woman ke liye reserve rahta hai.
Jisme every sleeper me six lower seats aur 3 AC aur 2 AC me three seats reserve hoti hai.
Is rule ko behtar tarike se janane ke liye ek train me kitane lower berth hote hai, yah jan lena jaruri hota hai.
Ham sleeper class ki baat karenge.
Total Number of Sleeper Coaches: Generally ek train me 12 sleeper coaches hote hai.
Total Number of Seats: Ek sleeper coach me 72 seats hote hai. is tarah (72×12) 864 seats hote hai.
Total Number of Lower Berth Seats in Sleeper Class : Ek sleeper coach me 24 lower berth seats hote hai. Is tarah pure 12 sleeper coach me 288 (24X12) huye.
Lower Berth Seats available for Senior Citizens: rule ke anusar ek coach me senior citizens, pregnant women aur single lady ke liye 6 lower seats reserve rakha jata hai. Is tarah 12 sleeper coach me (12×6) 72 seat hui.
Kyu Ek Samay Me Senior Citizens ke liye Ek hi Lower Seat Book Kiya Ja Sakta Hai?
Indian Railway ke anusar senior citizens ke liye ek baar me ek lower berth book kiya ja sakta hai. Iske piche main reason diya jata hai ki trains me lower berth kam hoti hai.
For example, yadi ek samay me two senior citizens (65,62) ke liye lower berth book karne ki try kar rahe hai to aapko keval 65 year old senior citizen ke liye seat milegi.
Ek Se Adhik Lower Seat Kaise Book Kare
Aap do tariko se ek se adhik lower berth book sakte hai.
1.Online Booking Method – Online ticket booking kare, vaha aap ek time me maximum two lower berth ticket book kar sakte hai.
2.Offline Method – Aap every senior citizens ke liye alag –alag form fill up kare.
- Vodafone Free Internet Kaise Chalaye (Best 2 Method)
- Airtel Call Details Kaise Nikale [Best 2 Method]
- Airtel Free Internet Kaise Chalaye ? (5 Best Tricks)
Hope Indian Railway ki lower berth rule samjhe gaye honge.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Twitter, Google Plus aur Whatsapp par share kare.
Leave a Reply