Koi bhi nahi janta tha ki Indian Government dvara 2009 me star ki Aadhar Program itna serious hoga ki iske bina kaam hi nahi chal sakega.
Aaj kuch aisa hi ho raha hai. Jinhone abhi Aadhar Card nahi banaya, unka kya haal hota hoga. Khair unhen ab aadhar card bana lena chahiye.
Because Government ne Bank, Pan Card, Mobile Number aur Government Schemes ko Aadhar card se link karavana compulsory kar diya hai.
Yani aage aisa ho sakta hai ki, bina aadhar card ke Government Welfare Schemes or basic services ka benefit na mile.
Yadi aapne abhi tak aadhar card link nahi kiya, aapke liye raht ki baat ho sakti hai ki,
ye mamla Supreme Court me chal raha ki Aadhar Card ko Government Scheme ke liye Compusory banaya jaye ya nahi.
Is mamle par ko bhi faisala aane me deri ho sakti hai. Isliye Government ne Aadhar Card ko Bank, Pan, Govt Scheme se link karane ko date 31 March 2018 kar diya hai but Adhar card ko Mobile number se link karane ka 6 February 2018 hai.
Isliye jitna jaldi ho sake to aap is date se pahle apne mobile number ko link kara le.
Isse pahle main aapko suggest karunga, yadi aapke adhar card me koi mistakes ho to use sudhar karva len. Jisse aapko bad me koi dikkat na ho.
Ab janate hai
Table of Contents
Mobile Number ko Aadhar Card Se Kaise Link Kare
Aap simple tin tariko se apne mobile number ko aadhar card link karava hai, jise aap easily complete kar sakte hai.
1.Retailor Store
Mobile Number ko aadhar card se link karane ka sabse popular aur easy tarika hai. Aap nearest Retailer Mobile Shop jaye.
Ha, Aadhar Card sath le jana naa bhule. Shopkeeper is work ke liye Rs 10 rupees charge kar sakta hai.
2.Special Aadhar Card Mobile Number Link Camp
Kai telecom companies apne subscribers ke liye jagah-jagah camp laga rahi, jaha aap jakar free me apne mobile number ko aadhar card se link karva sakte hai.
Iski suchana aapko Telecom companies SMS ke rup send karti hai.
3.Telecom Company Website
Yeh tarika behad easy hai. But Aapke adhar card kisi mobile number se registered ho, taki aap OTP pa sake.
Ab aapko apne SIM ke company website par visit karana hoga aur vaha par easily all process complete kar sakte hai.
FAQ
1.Kya Ek Aadhar Card Se Kai Mobile Number Link Kar Sakte Hai ?
Ha bilkul kar sakte ahi.
2.Mera Mobile Number Kisi Dusre Ke Name Par Kya Karun?
Koi baat, nahi aap ise apne Aadhar Card se link karva sakte hai.
3.Mobile Number ko Aadhar Card Se Link Karane Ka Last Date Kya Hai ?
6 February 2018
4.Kya Mobile Ko Aadhar Card Se Link Karane Ka Charge Lagta Hai?
Free hai but Retailer Shop basic charge Rs 10 le sakte hai.
5.Mobile Number Ko Aadhar Card Se Link Na Karaye To Kya Hoga?
Apka mobile number band ho jayega.
6.Kya Dusre State Ke Mobile Number Ko Dusre State Ke Adhar Card Se Link Karva Sakte Hai ?
Nahi, Jise state ka mobile number hai, usi state ka aadhar card hona chahiye.
Yadi aapke pas dusre state ka aadhar card hai to uska address change karva le. Tab linking process complete kar sakte hai.
In Last Word
Yadi aapne abhi tak mobile number ko aadhar card se link nahi karaya hai to upar bataye gaye method se jaldi karva le aur apne aadhar card se linked mobile number kisi ko na de. Ye aapki safety ke liye achcha hoga.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to apne friends ke sath share kare aur comment kare.
Hajari prasad says
Bhai 3rd option sabse better hai, thanks
Ravi Kumar says
Ha, ise at home complete kar sakte hai aur sabse kam time me.