Kya aap new business setup karna chahte hai ? ya apne old business ko growth ki speed dena chahte hai? Kya aap higher education ya high skilled course karna chahte hai ?
But aapke paas enough money nahi hai… right?
Don’t worry aaj ke time me bahut se banks aur financial institutions easily loan provide karti hai. Jaise Dhani App, LIC Loan, SBI Loan, inhi sabme Bangalore Based startup Money View bhi popular hai, jo apna pura business Money View app se karti hai.
Yah app na keval aapke liye Loan Assistant prove ho sakti hai, balki ye aapka money manager bhi ban sakti hai.
Chaliye aage jante hai,
Money View App Se Kaise Loan Ke Liye Apply Kare
Money View app ko WhizDM Innovations Pvt Limited ne January 2015 ko launch kiya tha. Jiske founder Sanjay Aggarwal aur Puneet Agarwal hai.
Pahle is company ne financial adviser aur money manager ke taur par app launch kiya tha, jisse mili success se loan provider ke rup me is app ko launch kiya.
Jiske bad achchi service ke karana India ki top loan provider private institution ban chuki hai.
Isse aap Rs25,000 se lekar 3 lac tak loan le sakte hai. aise hi important baton ko is FAQ se jante hai-
1.Kuan Loan Le Sakta Hai?
-Aise People jo employed/ Self employed hai. Employed person ki minimum monthly salary Rs 15000 ho aur self employed ki minimum Rs 25000 per month ho. (But currently Money View self employed loan provide nahi kar rahi hai)
-Jinka CIBIL (Credit Information Bureau India Limited) score 650 se jyada ho.
-Salary aur income ko bank account me receive karte ho
2.Kitana Loan Amount Mil Sakta Hai?
-Ye Rs 25000 se 3,00,000 tak loan provide karti hai. lekin currently maximum Rs 50,000 hi provide kar rahi hai.
3.Loan Interest Kitna Hai?
16%
4.Loan Lene Ke liye Fees Chukana Hoga?
Ha, ye dynamic charges honge, jo loan amount par depend karta hai. Jaise 50000 ke loan par Rs1000 charge lagta hai.
5.Loan Kaise Received Hoga?
Loan aapke bank account me transfer kiya jayega.
6.Loan Ka Payment Kaise Hoga?
Loan ka payment aapke bank account se hoga, jo EMI ke rup me every month kuch amount deduct ho jayega.
7.Loan Payment Period Kya Hoga?
3, 6, 9, 12 months.
8.Loan Apply Karne Ke Liye Kin Documents Ki Jarurat Padegi?
-Pan Card
-Bank Account Statement PDF
-Aadhar Card
-Your Selfie Photo & Video
-Your Signature
Ab jante hai-
Money View Par Loan Apply Ke Liye Kya Process Hai
Money view app par loan apply karne ka process long hai, jise fast karane ke liye aap required document pahle hi ready rakhe.
1.Money View App install kare.
2.Get Started par click kare.
3.Permission continue kare.
4.Email id aur contact number enter kare aur register kare.
5.Ab Salaried ya self employed select kare. (currently self employed person ko loan nahi deti hai.)
6.Salaried select kare, yadi aap kisi company me work karte ho to.
7.Company Name, work email id, salary amount, salary bank account choose kare.
8.Purpose of the loan, education level, number of active loans select kare.
9.Gender, PAN, date of birth enter kare aur Get Offer par click kare.
10.Ab aapko loan amount ke liye eligibility offer show hoga.
11.Enter Aadhaar card number.
12.Ab Aadhaar card, signature ki copy, apna photo & video upload kare aur bank details bhi submit kare.
13.Ab aap Money view team aapke application ki review karenge.
14.Loan ka automatic payment (NACH) ke liye aapke bank se request karenge.
15.Sabkuch sahi hone par loan amount ko bank account me transfer kar diya jayega.
In Last Word
Yadi me vakai me kuch karna chahte hai to aapko loan lena chahiye, Money View instantly loan provide karta hai, jisse app jaldi se apna business, education etc start kar sakte hai.
Disclaimer – Is post ko educational purpose ke liye write kiya hai, naa hi financial advising ke liye. Isliye aap Money View se loan lene ke liye apne sense ka use kare aur aapke kisi bhi loss ke liye Bloggingfirst.com responsible nahi hoga.
Soumitra Sengupta says
Thank you from Money View team, Money View loans app review karne ke liye.
Kuch correction hai jo aap ismein daal sakte hai:
– Max loan amount ab 3L se 5L kar di gayi hai
– Ab self employed bhi apply kar sakte hai
Ravi Kumar says
Thanks Soumitra Ji to comment here. I will update it soon.
Soumitra Sengupta says
Most welcome Ravi.
Ravi Kumar says
Pleasure!