Kya aap New Passport banana chahte hai ya Existing Passport ko reissue karavana chahate hai ? to aapke liye good news hai.
Pahle aap website se passport ke liye apply karte the, par ab kahi se bhi apne mobile phone se passport ke liye apply kar sakte hai.
Bas aapko keval apne smartphone me mPassport Seva app download karana hoga. Is app ko Consular, Passport & Visa Division Ministry of External Affairs dvara jari kiya gaya hai aur is app ko Tata Consultancy Services maintain kar rahi hai.
mPassport Seva App Se Passport Ke Liye Kaise Apply Kare
Sixth passport seva diwas par Indian External affairs minister Sushma Swaraj ne un people ke liye khushi ki saugad lekar aai, jo foreign jana chahte hai aur unhen passport ki jarurat hai. Yah saugad hai, new rule.
Is rule ke according aap India me kahi se bhi Passport ke liye nearest Regional Passport Office ya Passport Seva Kendra ya Post Office Passport Seva Kendra me mPassport Seva App dwara apply kar sakte hai.
Application form me mention address par Police verification bhi ho jayega aur passport banana ke bad usi address par deliver kar diya jayega.
Yani mPassport Seva App se kai benefits hone vala hai, jise points me janate hai-
1.Registration number aur date of birth se application status check kar sakte hai.
2.Isi tarah passport ka delivery status bhi check kar sakte hai.
3.Ab kahi se bhi passport ke liye apply aur police verification kara sakenge.
4.Required document & fee ke bare me jan sakte hai.
5.Nearest Passport center ke bare me jan sakte hai.
Ab jante hai,
Kaise Aap mPassport App se Passport Bana Sakenge
1.Playstore se mPassport Seva App download kare.
2.App open kare aur New User Registration par click kare
3.Ab new form me following details submit kare.
-Passport Office
-Given Name
-Surname
– Date of birth (DD/MM/YYYY)
-Email ID
-Login ID
-Password
-Hint Question
4.Ab email me received confirmation link par click kare aur account ko activate kare.
5.Link click karane ke bad mpassport website ka login page open hoga, jahan apne credentials se login ho sakte hai.
Nahi to aap app ko relaunch kare aur existing user login par click kar login ho jaye.
6.Ab fresh/old passport ke liye required details submit kare.
7.Isi tarah aap Police Clearance Certificate ke liye apply kar sakte hai.
In Last Word
mPassport app se passport banana behad easy kar hai, jiske liye aap upar bataye gaye tarike se apply kar sakte hai. Isse pahle aap ek click me Passport fee, required document aur nearest passport center ke bare me jaan sakte hai.
Yadi aap post helpful pate hai to Whatsapp, Facebook, Twitter aur Google Plus par share kare.
Leave a Reply