Off Page SEO | Blog par traffic drive karane ke liye on page seo hi kafi nahi hai. Agar aapka blog bilkul naya hai to tab to on page seo shuruaati dinon me koi traffic nahi lata hai.
Isi karan aksar aise bahut se beginner hindi blogger puchate hai, “bhai maine post ki puri seo ki aur yoast ki seo signal bhi green ho jati hai. par fir bhi blog par traffic kyon nahi aata hai”
Is question ka answer aise samjhe –
Jaise aapne koi khubsurat house banaya hai aur aap chahte hai ki people aapke new house ke bare me jane. Iske liye aapko promotion jaise pamphlets printing aur distribute karana hoga.
Yahan new house ki khubsurat On Page SEO hui aur iske liye promotion ki gai hai use Off Page SEO kaha ja sakta hai.
yahan aap ek question puch sakte hai –
bhai, house ki khubsurati ko bhi jankar people house dekhane aa sakte hai ?
bilkul sahi, lekin is method me adhik se adhik people ke aane me bahut time lagega.
Hamare new blog ke sath on page seo bhi yahi karta hai.
Sidhe words me samjhe, off page seo ki help se ek raat me hi bahut se traffic drive kar sakte hai. Yani off page seo fastest traffic pane ka method hai. par iski traffic stable nahi hoti.
Par hame isse bahut benefits hote hai, jo hai –
1.Kam time me adhik visitors milate hai. Jisme kuch hamare blog ke regular visitor ban jate hai.
2.Isse Google ka dhyan blog par padta hai, because is method se traffic pane se Google ko blog se related kai positive signals milate hai, jo ranking ko increase karne me help karte hai.
3.Isse pane vale traffic ko referral traffic kahte hai. Is traffic se blog ki Domain Authority aur Page Authority increase hoti hai. Jo is traffic ki sabse achchi khasiyat hai. Isse blog ka search engines me trust level badhta hai.
4.Yeh method kuch had tak Advertisement method based hai. Aap janate honge, jo chije five years me nahi hoti . AD method se one year me kiya jaa sakta hai. Off page seo bhi blog ke liye aisa hi kuch karta hai.
To ab janate hai –
Off Page SEO Method
#1 Social Marketing
Off Page SEO ka sabse hot and entertaining method hai. Entertaining isliye is tarah ke promotion karte hue aap khub enjoy karenge.
Yahan Social Marketing ka matlab hai, apne blog ke post ko social sites par share kar readers ko attract karne se. Taki ve aapko blog par aa sake.
I am sure, aapne is method ko use kiye honge. Lekin ise aap effective tarike se use kare to bahut fayda hoga.
Iske liye in tips ko follow karen
1.Kisi bhi social sites ki hot time me hi post share kare. Jisse maximum traffic milegi.
But Every social sites ka hot time aur hot day (jab sabse jyada users active hote hai) different hota hai.
Jaise Facebook ka hot time 2 pm to 10 pm aur hot day Wednesday hai Jabki twitter ka hot time 7pm to 11pm hota hai aur hot day Monday hai aur vahi Google Plus ka hot time 10 am to 5 pm hai aur hot day Monday hai.
2.HD images hi share kare, jo pahli bar me hi people ke najro ko chura le. Isse traffic milane ke sath sharing ke maximum chances ban jate hai.
3.Facebook par blog page ke sath related groups me bhi post ko share kare.
4.Group me kisi ke dvara puche question ka reply kare, jo sabhi group members par positive impact dalta hai.
Dhyan rakhe, jis question ka proper answer janate hai, usi ka reply de, otherwise sab kuch ulta ho jayege.
5.Twitter post me important words se pahle # (hash tag) use kare. Koshish karen, twitter par post share karne se pahle twitter par check kare le, kya trend kar raha ?
Blog se related word ho to use jarur use kare. Isse aapke post ko big exposé mil sakta hai.
6.Google Plus se Facebook aut Twitter ke compare kam hi referral traffic milti hai. Lekin Google Plus par post share karne par Alexa Ranking increase hoti hai aur vahi Google par bhi positive impact padta hai.
7.Social Sites big time consuming hote hai. Agar aap is bare me dhyan nahi dete hai, aapka kafi time lost ho jayega. Isliye kisi bhi blogger ko kisi bhi social sites par 15 minute se jyada time spent nahi karna chahiye.
Twitter ke co-founder Jack Dorsey khud twitter ko 15 minutes se jyada use nahi karte hai. Vo is baat ko social marketer ko bhi follow karane ke liye suggest karte hai.
8.Alag alag social site par post share karana time consuming ho sakta hai. isliye Smart bane aur use karen Social Tools jaise buffer. Iski madad se aap ek click me popular social sites par post share kar sakte hai.
#2 Email Marketing
Email ke dvara visitors ko latest blog post, update etc ke bare me info send kiya jata hai, jismen blog link bhi hota hai. Jispar click kar visitors us post ko read karne ke liye blog par aata hai, ise Email Marketing kahte hai.
Is bare me Shoutmeloud.com ke founder Harsh Agrawal kahte hai, “bloggers ko pahle din se hi email marketing karani chahiye, jo regular visitors ka base banata hai.”
Bilkul effective email marketing se aap pahle visitor ko hi regular visitor bana sakte hai, Jisse directly aapki blog ki traffic hi nahi badhegi, balki bounce rate bhi kam hogi. Jo Google ki important ranking factor hai.
Effective email marketing ke liye in tips ko follow karen-
1.Google Feedburner Setup karen
2.Feedburner se jyada email collect nahi ho payenge, Isliye Getsitecontrol jaise email collector service ko use karen.
Lekin dhyan rahe, Pop up box ko blog loading hone ke 5 second bad hi show ho. Isse mobile user experience par bad impact nahi padega.
Is baat ko Google bhi clear kar chukka hai, jo mobile user ki care nahi karega. Uske blog ya website ki rank ko down kar diya jayega.
3.Daily email na bheje, isse reader ko irritation hone lagata hai. Weekly send kare. Iske liye aap Mailchimp use kar sakte hai.
4.Effective time 3pm to 7pm ke bich hi mail send kare, is period ke dauran sabse jyada mail ko open kiya jata hai.
5.Every readers ko unke name se hi mail send kare. Isse reader lagata hai, aap unhen name se janate ho. Jo bahut impression create karta hai. Yah feature Mailchimp me mil jayega.
#3 Push Mail Marketing
Yeh 21th century ki sabse new off page SEO method hai. Jo sabse easy aur sabse jyada effective hai.
Aapne smartphone ki screen par kai bar message ke strip ko hataya hoga. Jispar yadi aap click kar dete hai to koi App ya website open ho jati hai. is push mail marketing kaha jata hai.
Yah Email Marketing ka improved form hai, jo email marketing se super fast and so easy hai.
Aap Apne blog par push mail marketing start karne ke liye One Signal, Pushengage, izooto use kar sake hai.
Push mail service ko use karne ke liye effective tips –
1.Push mail aise time send kare, jab readers profession work se rest le chuka ho. Yani 3pm to 10pm.
2.Push mail me HD image lagaye.
3.Ek din ek bar hi push mail send kare. Agar is tarah ki jarurat na ho to week me 3-4 bar hi push mail send kare. Jisse user experience achi bani rahegi.
#4 Guest Posting
kisi topic par other blog par posting karana, guest posting kehlata hai. Guest posting off page seo ka sabse powerful method hai.
Is method se na keval aapke blog ko traffic milati hai, balki quality backlinks bhi milta hai.
Kaise effective guest posting kare. Iske liye ye tips follow kare-
1.Niche related popular blog par hi post kare.
2.Popular topic par write kare.
3.Post best of quality ka likhe, jisse us popular blog ke maximum readers ko attract kar sake.
4.Every comment ka reply kare.
#5 Blog Directories
Phone book ki tarah hoti hai, blog directories. Isme blog ko categoried include kiya jata hai.
Blog directories se do fayde hote hai
1.High quality backlink milata hai.
2.Referral traffic milta hai.
Popular Blog Directories, jo hindi blog ke liye real me work karta hai.
#6 Commenting
Bolane ke paise lagte hai kya ? nahi na. Aise hi blog par comment karne ke paise nahi lagte hai. Balki isse referral traffic milta hai aur ek nofollow backlink bhi milta hai. Jo SEO ke liye important hota hai.
Behatar commenting ke liye in tips ko follow karen-
1.Similar niche vale popular blog par comment kare.
2.Two lines comment naa kare, balki 4-5 lines ka comment kare.
3.Popular blog par kisi user dvara puche question ka i reply kare, jo aapko authentic karta hai.
4.Betuke comment se bache, nahi to aapke Goodwill par bad impact padega.
#7 Forum
Forum aisa place hai, jahan blogger milte hai, apne problem short out karte hai aur kai topics par discussion karte hai.
Jisse every blogger ki identity all blogger ke bich banti hai. Isme bahut learn karne ko bhi milta hai.
Aise me yadi koi new blogger in forums ko join kare to use good exposé mil sakta hai aur sath hi referral traffic bhi milta hai. Basharte use dusro bloggers ko help karana hoga.
Kisi forum se best result pane ke liye ye tips follow kare-
1.Every forums ke terms and conditions hote hai, use strictly follow kare.
2.Unnecessary link post naa kare. Kisi Problem ke sath ya kisi question ke reply me hi link post karen.
3.Real identity ke sath hi forum use kare. Otherwise fake id reveal karane me blogger smart hote hai.
4.Always rich word use kare. Because word hi sole source hai, jisse aap bloggers ke bich apni identity strong kar sakate hai.
Mai Shoutmeloud Forum use karta hun, jo India’s No-1 SEO & WordPress Forum hai, jahan blogging, social, wordpress, seo, adsense etc se related issues par discussion karte hai.
#8 Interview
Apne niche ke popular bloggers ka interviews lena bada achcha idea hai. Isse aapko na keval popular bloggers se bahut kuch sikhane ko milega, balki ek hi stroke me bahut se bloggers/readers ko apne blog par visit karane ke liye invite kar sakte hai.
Behatar interview ke liye ye kare
1.Interview na short na long ho. Averagely 15-20 questions ka interviews len.
2.Interview hamesha apne se bade blogger ka len, koshish kare apne field ke lead blogger ka interview le.
3.Aajkal video ka jamana hai, kabhi popular bloggers se mile to video interview bhi le.
4.Popular bloggers se unke career se related problem ke bare me question jarur puche, kyonki isse beginner bloggers ko apne problem ka solution mil sakta hai.
In Last Word
Jab koi big website launch hoti hai, ve traffic pane ke liye sabse off page seo method ko apnate hai aur kuch samay hi big regular visitor base ban lete hai.
Isliye hindi bloggers ko bhi On Page SEO ke sath Off Page SEO bhi karani chahiye, jo ki shuruati lahron se paar lagata hai.
Hope ye post aapko pasand aaya hoga ?
Note- Net par aapko iske alava bhi Off Page SEO methods mil jayenge, par vo sab english blog ke liye work karte hai, hindi blogs ke liye nahi .
Maine har method ko test kiya, jo hindi blog ke liye effective paya, use hi keval share kiya hai.
Yadi aap hindi blogger hai aur iske alava Off Page SEO method se traffic pate hai to jarur share kare.
Thanks to Read Bro!!
Shahid Hussan says
Very nice Article bro.
Ravi Kumar says
Thanks Bro you like it.
Cyber Tech Warrior says
thank you so much sir for share this information