Most of hindi bloggers sochate hai ki daily post write karane chahiye, jisse traffic badhegi.
Yeh bilkul sahi hai.
But daily post likhane ke chakkar me ham apne old post par dhyan nahi de pate hai. Jo ek time ke bad outdated ho jata hai. Google bhi uski rank down kar deta hai aur traffic automatically down ho jata hai.
Shayad Aap iska reason janate hi honge ki Google hamesha Latest Post ko ranking deta hai. Jisse old post ki ranking down ho jata hai.
Iske ult, yadi aap regularly old post ko update karte rahe hai to aapke blog ki traffic dugani ho sakti hai
Because-
1.Search Engines me index aur click milane se old post ki page authority badhati hai, jo Google ka ek important ranking factor hai.
2.Yadi aapka old post super quality vala hai to use kai natural backlinks mile honge. Jo post me value add karta hai.
Isliye aap kuch samay ke liye new post likhna chhodkar old posts update kar de, aapki traffic badh sakti hai.
Yaha main aapko two example dena chahunga-
1.Backlinko.com – Brien Dean ne is blog ko 2012 me launch kiya tha aur aap jankar hairan rah jayenge ki abtak unhone only 36 post hi likhe hai. Lekin lagbhag unke sabhi post Google ke first page par rank karte hai. Jisse ve daily 1 lakh se jyada traffic pate hai.

2.Xtremegaminerd.com – Yah gaming pc/ laptop based blog hai. Ise Sarfraz Khan ne February 2015 me banaya tha. In do years me keval 46 posts hi publish kiye hai. But regular old post update karne ke karan Google se achchi traffic pate hai. Jiske karan ve daily Rs 10,000 approx. earn kar lete hai.

Aise bahut se popular blogger hai jo is method se regularly bahut traffic pate hai. ab apki baari hai,
To janiye-
Table of Contents
Old Post Se Traffic Badhane Ke Tips
#1.Update Post Title
Aksar aisa hota hai ki Post ko search engines me rank to mil jata hai, lekin achche CTR Rate se traffic nahi mil pata hai. Iska reason hota hai ki post title me use kiye gaye word visitors ko attract nahi kart hai.
Isliye post title me –
1.Attractive word include kare.
2.Post ko update kiye hai to post title me “Updated” word include kare.
3.High traffic keyword post title me shamil kare. Ise Keyword Research Tool jaise Semrush se aasani se find kar sakte hai.
#2. Add Latest Information
Time ke sath har chij me changes aa jate hai, usi tarah aapne jis topic post likha tha. Usme kafi changes aa jata hai. Jisse aapka post outdated ho jata hai.
Jise readers adhura aur outdated samajh kar dusre blog par chale jate hai. Is karan blog ki bounce rate badh jati hai aur traffic down ho jata hai.
Isliye us topic se jude naye information ko post me shamil kar update karana chahiye.
Iske alava ye tips follow kare-
1.Semrush jaise Keyword Research Tool se high CPC vale keyword find kar aur post me shamil kar, aap post ki adsense CPC badha sakte hai.
2.Post ko new date par publish kare.
(Note- aapke blog ka permalink domain.com/postname jaisa ho to tabhi is tips ko apply karen.)
3.Post Title ke niche Last Updated : Date show kare.
(Yadi aap Genesis Theme use karte hai ye tips ko apply karne ke liye Genesis Simple Edit Plugin use kar kar sakte hai.)
#3.Change Low Quality Image
Most of beginner bloggers images ko itna optimize kar dete hai ki image ki quality low ho jati hai. Jo speed aur search engine ke lihaj se achcha hota hai. Par user experience ke lihaj se nahi.
Isliye apne old post ke image ko quality image se replace kar den.
Yadi aap images aapke blog ko slow kar raha hai to is post ko padhe –
Ab aap Gravit se low size ki high quality image asani se create kar sakte hai, jo user aur seo friendly hoga.
#4. Remove Spam Comment
Comment kise pasand nahi, beginner bloggers to comment pane ke liye crazy hote hai. Jiske kar ve spam comment bhi approved kar dete hai.
Ye comment automated comment system dvara kiya jata hai, jo SEO friendly nahi hote.
Isi tarah one word vale comment bhi blog par koi value add nahi karta hai. Isliye old post update karte time inhen remove kar dena chahiye.
Sath hi, aapko koi aisa comment mil jaye, jisko answer dena bhul gaye ho to uska reply bhi de de.
#5.Share Old Post
Yadi aapka blog stories, tutorial, quotes jaise evergreen niche par hai, to aap regularly old post ko social sites par share kar quality traffic pa sakte hai.
Aap chahe is work ko automatic kar sakte hai. bas keval aap ko Revive Old Post Plugin install karana hoga. Ye post schedule time ke according Facebook, Twitter jaise social sites par old post ko publish kar deta hai.
In Last Word
Changes duniya ka rule hai, jiske karan sabhi cheezon me changes aata hai. Isliye duniya ke sath chalane ke liye hame khud me changes(fashion, language) karne padte hai.
Isi tarah Search Engines me blog post ki ranking stable banaye rakhane ke liye latest information ke sath update karana jaruri hai.
Hope ye post aapko pasand aaya hoga. Iske bare me jarur bataye aur share kare.
Leave a Reply