Bahut dino se rumour tha ki Baba Ramdev apna SIM Card launch karenge. Viral news ke anusar Baba Ramdev directally 5G SIM launch karenge.
Finally Baba Ramdev ne is rumour ko true karte hue apna SIM Card launch kar diya hai, jise Jio ke competitor ke taur par dekha jaa raha hai. But…
Wakai me Kya Ye SIM 5G wala hoga?
Is SIM ke plan kya hoga?
Is SIM ko kaise buy kar sakenge?
Is SIM ko buy karane se kya extra benefit milenga?
Is SIM ko kis type ke phone me use kar sakenge?
Aage inhi sab questions ka answer janenge, chaliye read karte hai-
Patanjali SIM Kya Hai & Kaise Buy Kare 
Patanjali SIM purn swadeshi SIM Card hai, jise 27 May 2018, Sunday ko Baba Ramdev ne BSNL ke ek event me launch kar diya.
Ise SIM ko Swadeshi Smridhi SIM Card name diya gaya hai. But people ise Patanjali SIM ke name se pukarate hai.
Baba Ramdev ne is SIM ko BSNL company ke sath milkar launch kiye hai. Jiska object swadeshi chijon ke use ko badhana hai aur desh ko financially strong banana hai.
Kya Ye SIM 5G Wala Hoga
Initially report ke anusar Ye SIM 5G vala nahi, 4G enabled hoga.
Is SIM Ka Plan Kya Hoga?
Abhi ye SIM Patanjali workers ke liye available hai, isliye Baba Ramdev ne is sim ko lekar ek hi plan introduce kiye hai.
Patanjali SIM ko 144 rupees se recharge karana hoga, jispar 2 GB data, 100 SMS and Unlimited Call daily one month ke liye milega.
Is SIM Ko Kis Type Ke Phone Me Use Kar Sakenge?
Yah SIM 4G supported hoga, isliye ise aapko 4G Supported smartphone me use karana hoga.
Is SIM Ko Kaise Buy Kare?
Initially ye SIM card Bharat Swabhiman Nyas, Patanjali Yog Smiti, Mahila Prakoshth, Yuva Bharat, Patanjali Kisan Seva aur Patanjali Swadeshi Card Holder ke liye available hai. General people ke liye kuch time ke bad available kiya jayega, jise BSNL ke outlet se buy kiya ja sakta hai.
Is SIM Ko Buy Karane Se Kya Extra Benefit Milega?
Is sim ko buy karane se jo aapko extra benefit milega, vo aapko kisi other sim ko buy karane se nahi milega.
Is sim ke holder ko 5 lakh rupees ka Life Insurance aur 2.5 lakh rupees ka medical insurance milega. Iske alava Patanjali Product par 10% discount milega.
In Last Word
Swadeshi Smridhi SIM Card 100% deshi SIM hai, yadi aap deshi chijo ko pasand karte hai to jarur ek baar try kare. Iske alava is sim se aapko bahut bada financial benefits milega, jise bonus samjh sakte hai.
Rahi baat is sim ke internet speed ki, wo BSNL SIM ke jitna hi hoga.
Yadi aapke man question ho to comment kar sakte hai.
Yadi aap aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Twitter, Whatsapp aur Google Plus par share kare.
rovin singh chauhan says
sir ap konsi theme use karte hai blog par.
Ravi Kumar says
Check here http://makeblog.in
Manish Singh says
Sir Aap Koun sa template use kiye hai
Ravi Kumar says
Template nahi theme hai, maine design kiya hai
Arun Malhotra says
Ye SIM mujhe Chahiye to mujhe kya krna hoga
Ravi Kumar says
aap aise friend ko find kare jo Baba Ramdev ke sansth me work karta ho