India me Airtel Payments Bank, Paytm Payments Bank, India Post Payments Bank aur Fino Payments Bank hai, jisme sabse jyada operational Paytm Payments Bank hai, jisne launching ke 4 month ke andar 13 September 2017 ko 10 million customer bana liye the.
I am sure, isme aapka bhi account hoga. Ab Paytm ne physical debit card bhi launch kar diya hai. jise aap 120 rupaye ka charge pay kar receive kar sakte hai.
Par aap iske liye kaise apply kare, use main aage easy steps me bataunga. Usse pahle briefly is bank ke bare me jan lete hai.
Table of Contents
Paytm ATM Card Ke Liye Apply Kaise Kare
Paytm Payment Bank Kya Hai?
Paytm Payment Bank ko 23 may 2017 ko launch kiya gaya tha. Us vakt se Paytm Payment Bank Virtual Debit Card available karata tha. But ab Paytm physical debit card bhi launch kar chukka hai.
Jiske ke liye Paytm ne 12 September 2017 ko NPCI se partnership kiya aur 19 January 2018 ko Physical Rupay Debit card lauch kiya.
Every debit card issue karane ke liye Rs 120 ki charge leta hai.
Ab jante hai,
Paytm Debit Card Ke Liye Apply Kaise Kare
1.Paytm App install kare.
2.Registered mobile aur password enter kar login ho jaye.
3.Bottom me Bank Icon par click kare.
4.Bank Account Services section me jaye aur Debit & ATM Card option par click kare.
5.Next window me Request Card Option show hoga, uspar click kare.
6.Ab aap se card delivery address puchha jayega, use enter kare.
7.Debit card issue aur delivery ke liye Rs 120 pay karna hoga, yah one time fees hai., jise aap Proceed To Pay Rs.120 par click kar sakte hai.
Jab aap payment kar denge, uske ek week ke bad aapke address par Paytm Debit card aa jayega.
Paytm ATM Card Ke Benefits Kya-Kya Hai
1.Shop Local – Aap locally kisi bhi mall me shopping kar sakte hai aur Paytm debit card se payment kar sakte hai.
2.Get Physical Money – Paytm se aap keval money transfer ya received nahi kar sakte hai, use physically nikal nahi sakte. But is ATM card se ye bhi kar sakte hai.
3.Quick Transfer – ATM Card me ek unique QR Code hoga, jise scan kar koi bhi aapke Paytm Account me money send kar sakta hai.
4.Shop Online – Is card se aap Amazon, Flipkart jaise kai ecommerce website se shopping kar sakte hai.
In Last Word
Paytm Payments Bank ordinary bank ke compare kafi easy hai aur ise handle karana aur bhi easy hai. Ab is bank ne physical debit card launch kar SBI, Bank of Baroda jaise bank ki race me aa gaya. Isse customer ko hi fayada hone vala hai.
If you like this post, please share on Facebook, Twitter, Google Plus and Whatsapp.
POOBALAN says
New atm card
POOBALAN SUBRAMANI
mukesh kumar says
good nith