Paytm India ki sabse badi aur popular e-wallet hai, jo ab ek Payments Bank bhi ban chuki hai. Jiske karan Paytm lagatar apne platform ko more secure karane ki koshish me lagi rahti hai.
Vakai me Old Paytm ke compare New Paytm kafi secured hui hai. Pahle login hone ke liye OTP jarurat nahi padti thi, par ab every Paytm login par OTP verification pass karna padta hai.
Vaise ye security ke lihaz se better hai aur jaruri bhi hai.
But yadi kabhi apne home par registered mobile number bhul jate hai ya kahi lost ho jata hai aur aapko Paytm use karane ki jarurat pad jati hai to tab kya karenge.
Iska ek hi solution aap aisa koi trick use kare, jisse Paytm OTP ko bypass kar sake aur login ho jaye.
Chaliye jante hai –
Table of Contents
Without OTP Verification Ke Paytm Login Kaise Kare
Without OTP Paytm login hone ke liye main aapko four simple tarike bataunga, jise aap easily use kar sakte hai.
#1.Paytm Mall Method
Bina OTP ke Paytm login hone ke liye ye safest tarika hai, jo behad easy aur quick hai.
1.Paytm Mall download kare.
2.Ab install aur open kare.
3.Login details ask karega.
4.Ab aap apne Existing Paytm Credentials (Mobile Number/Email Address & Password) details se login ho jaye.
5.Aapka Paytm mall without OPT verification ke open ho jayega.
6.Ab Paytm Mall ke through Profile >> Passbook >> Send Money to Bank me jaye.
7.Amount aur bank details enter kare aur money transfer kar le.
But is bat ka dhyan rakhe ki aapke Paytm Account me minimum balance Rs 100 ho, usse kam money transfer nahi kiya ja sakta.
#2.Payoye App Method
Is method ke liye apko third party app Payoye ko use karna hoga, jo thoda jyada time consume kar sakta hai. Yah method us vakt sabse effective hai, jab Paytm registered mobile number lost ho jata hai.
1.Sabse pahle Payoye app install kare.
2.Payoye app open kare aur account setup kare.
3.Ab recharge option me jaye.
4.Payment page par jaye aur payment option ke rup me Paytm select kare.
5.Mobile Number/ email id aur password enter kare. OTP ki jarurat nahi hai.
6.Ab Payment complete kare without OTP ke.
#3.Old Paytm Version Method
Shuruaat me Paytm me without OTP ke bhi login ho jate the. Isliye jab bina OTP ki login karna ho to Old Paytm Version use karana better & safest method hai.
1.Sabse pahle Paytm ka new version uninstall kare de.
2.Paytm ka old version install kare.
3.Ab login ho jaye, OTP ki jarurat nahi padegi.
#4.Authorised Link Method
Yah temporary method hai, jo Paytm me loophole hone ki vajah se work karti hai. Yadi Paytm ne loophole ko sahi kar diye ye method work nahi karega.
1.Paytm Authorized link par click kare.
2.Mobile Number/ Email Id & Password dalakar login ho jaye. Ab ek blank page hoga.
3.Ab new tab me Paytm open kare.
Congrats, aap without OTP ke Paytm me login ho gaye.
Note
1.Yah sabhi trick education purpose only hai. jo un people ke liye likhi gai hai, jinka mobile number lost ho chukka hai.
2.Is trick se aap wrong object ke liye use na kare.
3.Yah sabhi trick Paytm me loopholes hone ki vajah se work karti hai, yadi Paytm loophole ko nikal deta hai to upar ke methods non working ho sakte hai.
In Last Word
Main aapko bina OTP verification ke Paytm Login Kaise Kare, uska simple four methods bataye hai. Jisse aap easily apne Paytm account me login ho sakte hai.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Twitter, Whatsapp aur Google Plus par share kare.
Sanjay Kumar says
Abhi maldeep mein hun mera sim card mein network Nahin hai
S.R says
Thank you
Prasant Pasi says
Mera SIM kho gaya hai otp nahi ane ke Karan Mai paytm me logim nahi ho pa raha hu
Ravi Kumar says
aap apni id se same number ki new SIM nikal sakte hai.
Saleem khan says
Same problem
Friend ne. Band karwa di vo uski I’d se thi
Dileep says
Sir o sim mere name se nahi thi to kese niklegi
Ravi Kumar says
Sorry aapko old vala sim activate karana hoga.