Kya aap Farmer hai ya Gardner? Ya aapne jarur house ke khali jagah me kuch flower plants plant kiye honge ?
Aap jante honge ki weather changing ke sath kai bacteria paida ho jate hai, jo hamare plant ko bimar kar deta hai. Jise aap plant ke changes se pehchan sakte hai.
Lekin ab iska ilaj kaise kare ? Simply ab aap kisi jankar se help lenge.
But yadi aap digital tarike se is problem ko solve karna chahte hai to Aap Plantix App use kar sakte hai.
Isse aap jitna jaldi problem ka solution pa sakte hai, utna fast kisi aur tarike se nahi pas sakte hai.
Bas plant ke Bactria suffered part ka photo le, use upload kare aur kuch second wait kare. Kuch second me hi problem related solution mi jayega.
Table of Contents
Plantix App Kya Hai?
Is Aap ko German start up Peat GmbH ne develop kiya hai. Yah ek global app hai, jo world ki lagabhag sabhi countries me available hai. Yah app Hindi, Deutsch, Telugu, English, Espanol, Fancies, Portugues, Arabic language me bhi work karti hai.
Plantix App Kaise Work Karta Hai ?
Plantix App Google Image Upload Finder Feature ki tarah work karta hai. Jaise hi aap kisi unknown image ke details janane ke liye Google par upload karte hai to Google us image se similar images show karta hai aur sath hi details bhi karata hai.
Plantix bhi kuch aisa hi work karta hai. Plantix ke pas farming & planting se related big database hai, jab koi user image upload karta hai to Plantix ki artificial intelligence database se best matching data find karta hai aur user ko result show karta hai.
Result me plant ki disease name aur solution hota hai.
Plantix App Se Kaise Kisi Plant Ki Disease Find Kare
1.Sabse pehle aap ek achche camera vale smartphone me Plantix App ko install kare.
2.Language aur country choose kare.
3.Facebook ya Google sign in ho jaye.
4.Ab Camera ke icon par click kare. Direct image le ya Gallary me jaye.
5.Aap clear image upload kare, jismen plant ki bad part clear show hota ho.
6.Ab plant ki disease se related details mil jayega.
Plantix Feature
Yah app ek true Farmer Helper ho sakta hai, because iske features awesome hai.
1.Plant ki disease and solution jan sakte hai.
2.Aaj aapke ilake ka Weather, temperature, air kya rahane vala hai, uske bare me jan sakte hai.
3.Plantix community se aap apne question ke answer jan sakte hai.
In the Last
Aaj ke digital edge me farming & plating ke liye digital tarike use karna, aapke smart hone ko batata hai because isse problem ke solution ke liye time aur cost behad kam lagta hai.
Aise aap Plantix App se apni farming aur planting ke liye use kar sakte hai. Ise app ko BBC jaise kai media companies ne apne news me featured bhi kiya hai aur sath hi kai awards bhi mile hai.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Google Plus, Twitter aur Whatsapp par share kare.
Leave a Reply