Bharat hamesha se Kisano ka desh raha hai, jo ab bhi Bharat ki identity hai. Jiski help karane ke liye Indian Government time-time par kai welfare schemes launch karti rahti hai. Is baar govt ne PM Kisan Samman Nidhi Yojana ki shuruaat kari hai, jo Kisano ki dignity ko dhyan me rakhakar shuru ki gai hai.
Iske tahak desh ke every farmers ko sal me 6000 rupees diya jayega, jiske liye desh ki sabhi farmers apply kar sakte hai. But is scheme ki kuch conditions ko pura karana hoga. To ham is post me janenge, kaise aap is scheme ke liye apply kar sakate hai.
Table of Contents
PM Kisan Samman Nidhi Yojana
Indian Govt ne 24 February 2019 me is yojana ki officially announcement ki thi. Jiske ke tahat desh ke 12 crore Farmers ko every year 6000 rupees diya jayega. Iske pich farmers ko financial help karana Indian Govt ka main object hai. Isliye is yojana ka benefit desh ke small aur medium class farmers ko milega, jo financially weak hai.
PM Kisan Samman Nidhi Yojana Ki Important Batten
1.Desh ke 23 states aur UTs ke 12 crore small and medium sized farmer ko is scheme ka benefit milega.
2.Govt is scheme ki tahat every year 6000 rupees degi, jo every 4 months ke bad 2000 rupees instalment ke rup me pay hoga.
3.Is scheme ke liye every year 75,000 crore rupees ka budget banaya gaya hai.
PM Kisan Samman Nidhi Yojana Ki Eligibility
Yadi aap is scheme ka benefit lena chahate hai to is scheme ki eligibility ko pura karana hoga-
1.Aise farmers, jinke pas 2 hectares se kam jamin ho.
2.1 February 2019 tak jin famers ka name state ke land records me ho.
3.Govt Employee MTS, Class 4 aur Group D is scheme ka benefit le sakate hai.
4.Aisi farming family, jisme Husband, Wife aur 18 years se kam age ke child ho aur unke 2 hectares se kam jamin ho.
PM Kisan Samman Nidhi Yojana Ke Liye Required Document
Is scheme ko join karane ke liye following document ki jarurat padegi-
1.Farming land ki khasara khatauni ki copy
2.Aadhar Card
3.Bank Account Details
PM Kisan Samman Nidhi Yojana Ke Liye Apply Kaise Kare
Is scheme ke liye apply karane ke pahle yadi aap Pradhan Mantri Fasal Bima Yojana, Soil Health Cards, Social Economic and Caste Census, Kisan Credit Card ka benefit le rahe hai to aapka details central govt ke pas available hoga. Aise me yadi aap eligible hue to directly apke name ko is yojana ke beneficiary list me include kar liya jayega. Jise aap in tariko se check kar sakate hai.
Khair yadi aap koi bhi farming ka benefit nahi le rahe hai to is scheme ke liye aise apply kare-
Tarika – 1 (Online)
1.PM Kisan ki official website par visit kare.
2.New Registration par click kare.
3.Forum me following details fill kare-
Mandatory Data
-State
-District
-Sub-District
-Block
-Village
-Farmer Name
-Gender
-Category
-Identity Proof (Aadhar preferred)
-Identity Proof No
-IFSC Code
-Account No
Optional Data
-Father/Mother/Husband Name
-Address
-Mobile No (Adhar linked )
-Age/DOB
-Ownership
-Survey/ Khata No
-Khasra / Drag No
Ye details fill kar Submit for Aadhar Authentication par click kare.
4.OTP verification kare.
Yadi Adhar se mobile number registered nahi to to Bio-metric verification karna hoga. Jiske liye digital fingerprint dena hoga.
Is tarh aap successfully apply kar sakenge.
Tarika – 2 (CSC)
Yadi apake pas Bio-metric verification machine nahi hai to aap nearest CSC me jakar is scheme ke liye apply kar sakte hai. Sabhi required document ke sath CSC me jaye.
Tarika -3 (Gram Panchayat & Block Level)
Yadi aap online methods se apply nahi kar pa rahe hai to aap apne Gram Panchayat ya Block se contact kare. Vahan se is scheme ki form le. Use fill kare, documents attach kare aur jama kar den.
Friends is tarah aap is scheme ke liye best 3 ways apply kar sakte hai. Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Twitter and Whatsapp par share kare.
Leave a Reply