Popular Topic | Aksar beginner bloggers ek post blog par publish karane ke bad soch me pad jate hai , “ab kis topic par post write kiya jaye , jo popular ke sath high traffic vala ho.”
Yadi ham yahi baatein 10 years pahle karte to popular topics khojana behad mushkil hota.
Par ab bahut se tools available hai, jinki help se ham popular topic easily find kar sakte hai.
Vaise Popular Topics par Post likhane se ye fayade ho sakte hai –
1.Bahut jyada traffic milegi, vo bhi post publish karane ke 4-5 hours baad hi.
2.Post shandar hone par dusre blogger se backlink milane ke chances banenge, kyonki aapka quality post unka best source ho sakta hai.
3.Ranking bhi jaldi milti hai, kyonki aksar popular topic keyword low competition vale hote hai.
4.Traffic adhik hone se Google Adsense, affiliated marketing aur other monetization method se income jyada ho sakti hai.
Aaj main aapke sath vahi strategy share karne jaa raha hun, jise main apne entertainment blog par apply karta hun.
Main is strategy ko follow karte hue popular topic vale post par ek din me 1500-3000 traffic pa leta hun.
To aaiye janate hai, aise tools ko jinse ham popular topics jaan sakte hai –
Table of Contents
Kaise Popular Topic Find Kare
#1.Google Trends
Google ka yah tool popular topic janane ka sabse popular aur accurate tool hai. Yah tool users ke dvara search kiye keyword ke base par work karta hai.
Google Trends ki sabse achhi khasiyat hai ki ye search keywords ko categories me divide karata hai, jise aap apne blog ki category se related latest trends ko subscribe bhi kar sakte hai. Yaani aapke matalab ki popular topic ki information sidhe aapke inbox me milegi.
Google Trends ki ye categories hai –
1.Business
2.Entertainment
3.Health
4.Sci/Tech
5.Sports
6.All Categories
Google Trends world ke lagbhag sabhi countries ki hot topics available karta hai, jinme India bhi shamil hai.
Yadi aapka blog India based hai to country me India select kare, uske bad blog se related se category select kare aur popular topic par post likhe.
2.Twitter
Amuman hindi bloggers kam hi twitter ko use karte hai. Par logon ka present time me kya mizaz hai, ye janane ke liye twitter perfect platform hai.
Example – Abhi koi player century laga de, vo turant twitter par trend karane lag jayega.
Twitter users ke dvara istemal kiye #(hash tag)…Keyword… ke based par Trend list ready karta hai, jo ki users ko desktop version me left sidebar me top par show hota hai.
3.Facebook
Kuch dino pahle hi ham Indian ne Facebook use karne ke mamle me USA ko pichhe chhod diya hai. Ab aap samjh sakte hai, Facebook to Indian ke bedroom se lekar office tak sath sath chalta hai.
Isliye Facebook users ki engagement increase karne ke liye Trending column start kiya. Jisme facebook par sabse jyada share kiye News ke based par Hot Topic List show hota hai.
In hot topic ko aap category icons par click kar in categories me divide kar sakte hai-
1.Politics
2.Science & Technology
3.Sports
4.Entertainment
4.UC News
Jab se UC News India me launch hua hai tab se ye pakka tha ki UC News logon ke fingers ke niche rahega. Par jab se UC News ne Monetization Program start kiya hai, tab se logon ke pocket bhi fill up karane laga hai.
Is karan UC News India ka NO-1 News App ban chukka hai, jise 15 karore se bhi jyada users daily use karte hai.
Isliye UC News ne itne bade readers groups ko latest news available karane ke liye Hotspot feature launch kiya hai.
UC News sabse jyada padhe jane vale News ke base par Hot Topic ki list Hotspot par available karti hai, jo har minute me update hoti rahti hai.
Par is feature me ek badi khami hai ki Jab kisi Particular Topic par jyada se jyada post submit kiya jaye aur uske mukable kam views mile to bhi, use Hot Topic maan liya jata hai.
#5.Popular Blog
Aap apne niche ke popular blog par regular rahakar apne blog ko grow karane ke liye bahut se tips jaan sakte hai. Inme us blog par kaunsa post popular hai, yah bhi janana behad jaruri hai. Jise aap sidebar me Popular Post Widget se bhi jaan sakte hai.
Lekin ye traffic based post show nahi karta hai. Isliye aap in tool ki help se kisi bhi blog ki traffic based popular posts ke bare me jan sakte hai.
Amazon ki alexa ka sabse jyad use kisi blog ya website ki World aur kisi country specific ranking check karane me hota hai. Iske alava Alexa kisi bhi blog ki top keyword show karta hai.
Semrush world ka no-1 SEO Tool hai, jise duniya bhar ke popular blogger, SEO expert aur SEO agency blog ya website ko grow karane ke liye use karte hai.
Inme India ke no-1 Seo and WordPress Blogger Harsh Agrawal bhi hai, jo apne blog ke post ki rainking badhane aur maintain karane ke Semrush use karte hai.
Semrush ki help se kisi bhi blog ki top keyword aur top post jan sakte hai.
Iske liye –
1.Pahle Semrush par Visit Karen
2.URL Box me Url enter kar, Domain Analytics me Organic Research Select kare
Iske aap top keyword ke bare me janenge.
3.Popular post janane ke liye Pages par click kare.
Most Share Post Janane Ke Liye
BuzzSumo kisi bhi popular blog ki social site par most shared post ke baare me easily jaan sakte hai. Buzzsumo kisi bhi post se related Facebook , Linkedin, Twitter aur Pinterest share number show karta hai.
Aap alag alag timeline ke most shared post dekh sakte hai –
1.24 Hours
2.Past Week
3.Past Month
4.Past 6 Months
5.Past Year
6.Past 5 Year
7.Specific Range
#6.Upcoming Event
Yadi aap aise niche me hai, jaha kai event tay date ke sath hote hai.
Example – Kisi new smartphone ka launching date ya kisi popular person ka birthday.
Aap in par advance me post likhkar product launching ke din acha-khasa traffic paa sakte hai. Because post pahle likhane ke karan Google me ranking bhi pahle milati hai.
Kuch parameters chod de to Google bhi Pahle Aayo aur Pahle Payo ke base par kaam karta hai.
Is tarah ki event ke baare me janane ke liye ye kar sakte hai –
1.Aapko Upcoming product ki official website par subscription lena hoga. Jisse aap agle 15-30 din ke upcoming product / event ko jaan sakenge. Iske alava aap News Channel, Newspaper se bhi information le sakte hai.
2.Aap kisi festival ya popular vykti par post likhate hai, to behtar hoga aap unke birthday aur anniversary of death day ke kuch din pahle hi blog par post publish kar de. Iske liye aap Calendar aur Celebrity Birthday Website ka sahara le sakte hai.
Pro Tip – Jis din kisi bhi popular vyakti ki death hoti hai, usi din jarur post likhe. Turant hi traffic milega.
#7.News Channels
Google Trends se pahle News Channel hi popular topic ke bare me inform karta hai. Isliye ise ignore karana murkhata hoga
New Channel se mukhytaur par Entertainment, Tech, Politics, Sports se related hot topic ke bare me jana ja sakta hai. Isliye aaj se News Channels dekhana start karen.
#8.Google Keyword Planner
Kabhi aisa bhi hota hai, post likhne ke liye kai topics mil jaate hai aur Jyada topic hone ki vajah se confusion bhi ho jata hai ki pahle kis topic par likha jaye, jo sabse jyada popular ho.
Is problem ko solve karane ke liye aap Google Keyword Planner use karte hai.
In steps ko follow kare –
1.Google Adword Account setup karen
2.Tool > Keyword Planner par Jaye
3.Second vale box me per line ke hisab keywords ko paste kare de.
4.Submit kare aur Result paye.
#9.Keyword Everywhere
Maine is kuch dinon pahle hi jana hai. Ye Google Chrome ka bada hi handy Seo Extension hai. Is tool ki sabse badi khasiyat hai ki ye automatic kaam karta hai. Yani aap google par kuch bhi search kare. Ye tool Search Page par aane vale sabhi keyword ki traffic CPC aur competition level batata hai.
Jise aap Star par click kar Keyword Everywhere ke database me save kar sakte hai aur bad me us topic ko use kar sakte hai.


In Last Word
Popular topics ke pas vo power hai, jo aapke blog ki traffic ko bump kar sakta hai. Matlab yadi aap popular topic par post likhte hai to 1-2 din me hi blog ki traffic ko 50%-100% tak badha sakte hai.
Par kuch samay bad us post par traffic kam ho sakti hai, kyonki lambe samay tak vah topic popular nahi rah sakta.
Isliye lagatar popular topic par post likhe, jisse aapki blog ki badhi hui traffic badhati hi rahe.
Post pasand aaya ho to jarur share karen
Afreen says
WoW Nice post thank you so much for sharing mujhe yah sabhi batein achche se samjh aa gayi aur main inhe zaroor follow karugi
Ravi Kumar says
Great
rovin singh chauhan says
bahut he badiya article share kiya hai apne thank you so much.
Saim Kumar says
आप बहुत ही अच्छा work कर रहे हैं, मुझे आपकी अगली post का बेसब्री से इंतज़ार रहेगा..
Ravi Kumar says
Thanks for your appreciation. Yes I will soon post one.
Rakesh says
Wow Very nice & useful post.
thanks for share info
KRISHNA KANT says
Thanks for sharing such a great post. Mujhe aaj naya umeed aaya blogging ko leke. once again thanks bhi
Ravi Kumar says
You’re welcome !
Dr. Anirudh Vij says
Such a Great Informative Blog Sir. You are educating lots of newbies blogger and Digital Marketers.
Keep Posting. Appreciated your Work.
Ashutosh Singh says
Such a Nice Post. Thank you for sharing a nice post on how to find the popular topics for Blog.
Ravi Kumar says
Thanks Ashutosh
anand jha says
What a beautiful site and the way you explained was outstanding. Thanks allot You are a real star.
Ravi Kumar says
Glad to know you love the site and the content. Thanks for visiting.
ammajan says
Thank u Ravi Kumar for very useful information. very useful to bloggers.
Ravi Kumar says
Most Welcome Ammajan!
Rihana says
hola.. nice post written by you.. it motivates to write new post.
Ravi Kumar says
Glad to know it motivate you.
Syed Salman Shah says
hello, boht achi post mili ha aur wo bhi boht dino ke baad. Thankyou so much aise hee posts krte rehna
Ravi Kumar says
Thanks Salman