Indian government ne desh ke poor people ko home available karane ke object se Pradhan Mantri Awas Yojana ko 25 June 2015 ko launch kiya tha. Jiske tahat March 2018 tak urban area me 39,25,240 house and 5 million houses rural area me banaya ja chuka hai. Vahi March 2019 tak 10 million houses ke construction ko complete kar liya jayega.
Yadi aapne bhi is yojana ke liye apply kiya tha, to aapko jarur janana chahiye ki PM Awas yojana list me aapka name aaya hai ki nahi. Jise aap hamare dvara bataye tarike se jan sakte hai.
PM Awas Yojana List 2019
Desh ke sabhi poor family ko is scheme ka benefit lena chahiye because is yojana se bane house ke liye Toilet, Saubhagya Yojana electricity connection, Ujjwala Yojana LPG gas connection, drinking water aur Jan Dhan banking facilities jaise scheme ka benefit lena behad asan ho jata hai.
2015 ko shuru hui is scheme ko three phase me chalaya jaa raha hai, jiske two phase (charan) pahle hi pura ho chuka hai. Ab tisare aur last phase me baki bache villages aur cities ko cover kiya jayega.
PMAY Phase -1 (April 2015 se March 2017) – First 100 cities
PMAY Phase-2 (April 2017 se March 2019) – 200 cities
PMAY Phase -3 (April se March 2022) – baki bache cities
PM Awas Yojana List 2019 Me Apna Name Kaise Check Kare
Village se is yojana ke liye apply karane vale ko Gramin (rural) list me shamil kiya jata hai, vahi shahari candidate ko urban list me shamil kiya jata hai. Yahan ham dono hi list se apna name kaise jaan sakte hai, use janenge.
PM Awas Yojana Gramin List 2019
Is tarike se aap na keval PM Awas yojana me apna name check kar sakte hai, balki following yojana me bhi apna name find kar sakte hai-
Aadim Jamati Awaaw Yojana
Baba Saheb Bhimrao Ambedkar Awaas Yojana
Biju Pucca Ghar Yojana
IAY Incentive Homestead Scheme
Land Purchase Homestead Scheme
Mukhy Mantri Antoday Awas Yojana
Nirman Shramik Pucca Ghar Yojana
Pardhi Awas Yojana
Priyadarshini Awas Yojana
Rajiv Gandhi Awas Yojana
Ramai Awas Yojana for SC
Shabari Awas Yojana
Ab janate hai name janane ke tarike ko
1.Ministry of Rural Development Govt of India ki website par visit kare.
2.Home page par aapko High Level Physical Progress Report dikhega, uske Left Sidebar me Selection filter show hoga.
3.First row me vah financial year chune, jisme aapne ne PMAY ke liye apply kiye tha.
3.Pradhan Mantri Awas yojana aur apna state select kare.
4.Ab District > Tahsil ya City > Apna Village chune aur submit kare.
5.PMAY list show hoga, usme apna name find kare. Ise aap PDF aur Excel file me download bhi kar sakte hai.
PM Awas Yojana Shahari List 2019
Urban list ko aap do tarike se check kar sakte hai.
Tarika – 1
1.PMAYIS ki official website par visit kare.
2.Menu bar me Search Beneficiary me Search by Name click kare.
3.Name box me name enter kar show button par click kare.
4.List me apna name par click kare, jisme survey code, beneficiary code, Father name, city name aur state name bhi show hoga.
5.Ab apna registered mobile number enter kare.
6.OTP verification ke bad full details dekh sakte hai.
Tarika – 2
1.PMAYIS ki website par Menu bar me citizen Assessment > Track Your Assessment Status par click kare
2.Aap By Assessment ID ya By Name, Father’s Name & Mobile chune aur details fill kare.
3.Apka name show hoga aur aap apne application ka status bhi jan jayenge.
Is tarah aap PMAY List me apna name find kar sakte hai. Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Twitter and Whatsapp par share kare.
Leave a Reply