Indian people mobile phone use karane ke mamle me duniya me sabse aage hai.
Statista report ke mutabik India me mobile phone user ki number 2018 me 775.5 million hogi aur 2019 me ye number 813.2 million ho jayega.
Yani world me Indians mobile phone use karne ke mamle me sabhi countries se kahi aage honge.
Isse lajami hai ki Prepaid aur postpaid mobile number users ki number badhega. But abhi bhi bahut se aise mobile phone users hai, jo nahi janate hai Prepaid aur Postpaid plan me kya different hai.
Yadi unse puch liya bhi jaye to ve ek line me kahte hai, “prepaid mobile number me pahle recharge karo fir bat karo, jabki post paid me pahle baat, bad me bill chukayon.”
Ye sahi bhi hai but prepaid aur postpaid aur bhi difference hai, jinhe aapko janana chahiye.
Chaliye shuru karte hai
Table of Contents
Difference Between Prepaid And Postpaid
Meaning
Postpaid – Aise plan me pahle voice & video aur internet use karte hai aur mahine ke last me bill pay karte hai.
Prepaid – Is plan me jo bhi karana hai, usse pahle recharge karana jaruri hai.
Required Document
Dono tarah ki connection ke liye required document same hai. Jaise Aadhar Card, Voter ID Card, Passport.
Iske alava aap proof of identity aur proof of address ke liye alag alag document use kar sakte hai.
Jaise proof of identity ke liye driving license, pan card, ration card with your photo, college/government/university identity card use kar sakte hai.
Jabki proof of address ke liye electricity bill of state company (not older than last 3 months), telephone bill of fixed line (not older than last 3 months), water bill (not older than last 3 months), ration card, income tax assessment order (not older than one year), vehicle registration certificate (rc), registered sale/lease (rent) agreement ko use kiya ja sakta hai.
Plan
Postpaid ke mukable prepaid me jyada plans hote hai postpaid me plan cheap hote hai.
Offer
Prepaid customer ko recharge karane ke liye telecom companies bahut se offer karti hai. Taki jyada se prepaid customer recharge karava sake.
Jabki postpaid customer ke liye limited offer hote hai, but ve affordable bhi hote hai.
Basic Charge
Prepaid plans me koi basic charge nahi lagata hai. jabki postpaid plans aap chahe call kare ya nahi fir bhi aapko monthy basic charge lageta hai. Jise aapko chukana hoga. Ise aap rent jaisa samjh sakte hai.
Connection Close
Prepaid connection close karana bahut hi easy hai. But postpaid connection ko close karane ke liye sabhi telecom companies ne ek process bana rakha hai. Jiske tahat aap apna postpaid connection close kar sakte hai. Ismen time bhi lagata hai.
Need
Prepaid connection aise people lete hai, jo apne expenses par control chahte hai. Jabki Postpaid connection house aur office ke liye better hota hai.
In Last Word
Yadi aap expenses ko manage karana chahte hai to aapke liye prepaid connection sahi hoga. Yadi aap koi business run kar rahe hai, to aapke liye postpad connection suitable rahega, jo prepaid connection ke compare cheap padega.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to apne friends ke sath share and comment kare. Thanks
Leave a Reply