Kya aap PUBG game pc me khelana chahte hai to aapko PUBG ka desktop version buy karana hoga, jiski cost Rs 999 hai, but aapke liye good news hai ki aap PUBG game ko apane pc me bhi free play kar sakte hai. Iske liye simply aapko hamare bataye gaye tarike ko follow karna hoga.
To chaliye janate hai
PUBG Ko PC Me Kaise Chalaye
PlayerUnkown’s Battlegrouds (PUBG) ek online multiplayer battle royal game hai, jise South Korean video game company PUBG corporation ne banaya hai.
Jise PUBG Corporation ne Microsoft Windows ke liye 20 December, 2017 aur Microsoft Studios ne Xbox one par 12 December 2017 ko launch kiya tha.
Jiski success dekhate hue Tencent Games ne Android aur IOS Platfom ke liye China me 9 February 2018 aur 19 March 2018 ko World Wide launch kar diya tha.
Jiske 3 month ke bad hi 50 million users ne download kar liya, jo game ki popularity ko show karta hai.
PUBG Game Kya Hai
Jaisa upar bataya hai ki PUBG multiplayer online battle game hai, jise aap single ya two, three ya four players ke group me play kar sakte hai. Single khelenge to sabkuch aapko karana padata hai,
but multiplayer me mate player se support milata hai. Jaise guns, equipment, food aur energy drinks share kar sakte hai. Mate player life save bhi kar sakta hai.
Is game me ek island par 100 players ko aapas me battle ke liye chhod diya, jahan ke house se food, guns jaise samaan ko collect karna padta hai. Iske bad battle karana hota hai. time ke sath battle area small ho jati hai. Ant me jo ya group single bachta hai, vo us round ko win kar jata hai.
Ab janate hai
Kaise Aap PUBG Game ko PC/Laptop Par Free Play Kar Sakte Hai
Free me PUBG ke android version ko laptop me run kar sakte hai, jiske liy emulator ki jarurat padegi. But aapko jankar khushi hogi Tencent ne PUBG ke liye official emulator launch kiya hai. Jise Tencent Gaming Buddy name diya gaya hai.
But behatar gaming ke liye ye system requirement fulfil honi chahiye.
System Requirement For PUBG Mobile
Intel i3 Dual Core
4 GB Ram
3 GB Disk Space
Ab PC me is game ko install karane ke liye following steps follow kare.
1.Tencent Gaming Buddy ki exe file download kare
2.Exe file run kare. Engine download hone lagega.
3.Engine download hone ke bad automatically PUBG bhi download hone lagega.
4.PUBG install karane ke bad aap apne Laptop par PUBG game khel sakte hai. jise aap mouse aur keyboard se control kar sakte hai.
PC par PUBG Mobile game khelane ka sabse best free tarika hai, iske alava aap koi tarika apnate hai to jarur share kare.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Whatsapp, Twitter aur Google Plus par share kare.
SHAHVEJ ALAM says
Nice brother
Swadesh singh says
Bhai aap jo image blog pe use krte to har image to banate nhi honge koi na koi image to aap dowload krte jisse copyright bhi nhi aata hai hoga
Bhai hame bta dijiye kha se krte hai
Bhai pixels jaise aur dekhi gai par wha koi topic search kro to usse related images aati hi nhi hai
Ravi Kumar says
bhai main Pixabay.com se free image leta hun.
Umesh Ninawe says
Awesome share sir thanks for sharing us,
Ravi Kumar says
Welcome bro.