Yadi aap Rajasthan vasi hai to aapke liye Rajasthan Government ki taraf se great news hai. Ji han, ab se Rajasthan ke berojagar youth ko berojgari Bhatta (unemployment allowance) milega. Iske liye Rajasthan government ne pichali government chal rahi Rajasthan Berojgari Bhatta Yojana ko jari rakha hai aur Bhatta ki amount ko bhi bahut badha diya hai.
Jiske karan bahut se yuva is yojana ka benefit lena chahte hai. Jiske liye ham aapko is post me batayenge – kaise aap is yojana ke liye online apply kar sakte hai.
Table of Contents
Rajasthan Berojgari Bhatta Yojana 2019 Kya Hai
Aise yuva / student jo financially weak hai ya study complete karake koi job nahi find kar paa rahe hai to aise youths ko financial help dene ke liye Rajasthan Berojgari Bhatta Yojana start kiya gaya tha. Vaise is yojana ko pichali government ne start ki thi. Present Govt ne keval Bhatta (allowance) ko kai guna badha diya. Female candidate ko Rs 3500 aur male candidate ko Rs 3000 per month diya jayega.
Rajasthan Berojgari Bhatta Yojana Ka Benefit
Is scheme ka main object hai, Rajasthan ke youths ki financial help karana, jisse ve apne future ko secure karane ke liye present time me koi good opportunity find kar sake.
1.Study Complete Karana – Is scheme ki tahat Rajasthan Government chahati hai ki berojgar yuva Bhatta amount se apni study complete kare, jisse ve future me sustainable job pa sake.
2.Study Complete Kar Chuke Unemployment Yuva Ko Help – Aise yuva, jo study complete kar chuke hai, but koi job nahi pa sake to Govt unhen bherojgari Bhatta degi, jisse ve frustration aur stress se bach sake aur achchi job pane par dhyan laga sake.
Rajasthan Berojgari Bhatta Yojana Ke Liye Qualification
1.Yuva Rajasthan ka resident ho.
2.Applicant ki age 21 se 35 year ho.
3.Applicant ke pas graduation ya post graduation ya diploma ki degree ho.
4.Family ki yearly income 2 lakh se kam honi chahiye.
Rajasthan Berojgari Bhatta Ke Liye Required Document
1.Aadhar Card
2.Voter Card
3.Rajasthan Bonafide Certificate
5.Email & Mobile Number
Rajasthan Berojgari Bhatta Yojana 2018 Ke Online Apply Kaise Kare
Is scheme ke online registration karana long process hai, isliye aap patience ke sath form fill kare.
Step-1
1.Rajasthan ki official employment website par visit kare.
2.Job Seekers section me jaye. Vaha Unemployment Allowance>Apply par click kare.
3.Yadi aap pahli bar registration kar rahe hai to Register par click kare.
4.Bhamashah ID Ya Aadhar ID se Register ho jaye.
5.Name and mobile number likhe, jisse aapka username ban jayega.
Step-2
1.Aapke mobile par password aayega. Aap SSO.Rajasthan.Gov.in par visit kare aur usename & password se login ho jaye.
2.Password change kare.
Ab aapka account successfully ban gaya hai. Dubara se login hokar form fill kare.
Step-3
1.Username aur new password se login ho jaye.
2.Email verify kare.
3.Job seekers > New Registration par click kare.
4.Ab aapko in chijo ki jarurat padegi-
-Photo
-10th & 12th Marksheet
-Graduation / Post Graduation Degree /Diploma
Sabhi details fill kar form submit kar den.
5.Ek bar fir SSO.Rajasthan.gov.in par login ho jaye.
6.Employment>Hindi>Job Seeker Profile par jaye aur details fill kare.
7.Iske bad aap apna Job Seeker Registration Card yahan se download kar len.
Step-4
Iske bad aap sabhi documents ki copy aur card lekar Employment Office me jama karva den.
Is tarah aap Rajasthan Berojgari Bhatta Yojana 2019 ke liye online registration karva sakte hai.
Friends, yadi aap registration ke dauran koi problem face karte hai to comment me hamen jarur bataye aur post ko helpful pane par jarur share kare.
Leave a Reply