Kya aap Rajasthan Board Class 10 ka result check karna chahte hai to aap sahi post read kar rahe hai.
Media reports ke anusar RBSE June ke first week me class 10 ke result announce kar sakta hai. Jiska result aap ek nahi balki 7 tarikon se check kar sakte hai, jise aage janate hai –
Table of Contents
Rajasthan Board Class 10 Result 2019 Kaise Check Kare
2018 me 10,98,655 student ne is exam me participate kiya hai, jise Board of secondary education Rajasthan ne 15 march 26 march ke bich conduct kiya tha. Jiska result june 2018 ke first week me announce kiya ja sakta hai. Jise aap 7 tarikon se jaan sakte hai.
#1 Method – Rajasthan Board
Yah official method hai, but us din high traffic hone se Rajasthan board ki official website slow ho sakti hai aur aapko problem ho sakta hai. fir bhi jante hai, is method ko-
1.Rajasthan board ki official site par visit kare.
2.BSER Class 10 result 2019 par click kare.
3.Roll no enter kare.
4.Result show hoga, jise download kar le.
#2 Method – Rajresults.nic.in
BSER class 10 result janane ke liye yah dusra government website hai, jaha aap apna result check kar sakte hai.
1.Rajresults.nic.in par visit kare.
2.BSER Class 10 Result 2019 par click kare.
4.Apna details submit kare aur result paye.
#3 Method – India Results
Yah Indian Examination results ke liye fully dedicated website hai, jahan aap smoothly apna result check kar sakte hai.
1.Indiaresults.com par visit kare.
2.Result of Secondary (Class 10th) Exam 2019 par click kare.
3.Roll number enter kare.
4.Result find kare aur use download kar le.
#4 Method – Jagran Josh
Paper and web media company Jagran ka education part hai, jo student ko studying material ke sath results bhi available karavata hai.
1.Jagaranjosh.com par visit kare.
2.Rajasthan 10th Board Result 2019 par click kare.
3.Ab details submit kare aur result find kare.
#5 Method – Bhaskar.com
Exam ke season me result available karana Bhaskar.com ka new initiative hai, jahan aap registration karake sidhe mobile par result pa sakte hai.
1.Bhaskar ke result page par visit kare.
2.Rajasthan Board 10th Result 2019 par click kare.
3.Roll number, Mobile number aur email id submit kare.
4.Result aapko show ho jayegi.
#6 Method – Exam Results
Examresults new website hai, but aap yaha easily result check kar sakte hai aur SMS ke dvara mobile par pa bhi sakte hai.
1.Examresults.net par visit kare.
2.RBSE 10th Result 2019 par click kare.
3.Details fill up kare aur exam result find kare.
#7 Method – SMS
Yah tariak aapke liye sabse easy ho sakta hai, yadi bina internet ke result janana chahte hai to.
Is format me message likhe
SMS – RESULT<space>RAJ10<space>ROLL NUMBER – Send it to 56263
In Last Word
Internet par RBSE Class 10 result janane ke liye kai methods available hai, but ve effective nahi hai. Maine yeh jo 7 method share kiye hai, usse aap easily apne result check kar sakte hai.
A Request For You – Please is post ko share kar apne friend ko result find karane me help kare.
Leave a Reply