Rajasthan Board May month ke last week me Class 12 ka result declare kar dega. Sabse pahle Class 12 commerce aur science ka result announce kiya jayega, uske bad class 12 arts ka result declare kiya jayega.
Aise me aap rajasthan board ki official website par jakar apna result check kar sakte hai. lekin jyada numbers me student is website par visit karenge to website slow ho sakti hai, jisse aapko problem face karana pad sakta hai.
Isliye main aapko ek nahi 5 tarike batayunga, jisse aap bina problem ke apna result check kar sakte hai.
Chaliye jante hai-
Rajasthan Board Class 12 Result Kaise Check Kare
Is saal 8,26.570 student ne BSER Class 12 exam me participate kiya hai. Board ne is exam ko 8 March se 2 April tak conduct kiya tha. Jiska result in tariko se check kar sakte hai-
#1 Method – Rajasthan Board
Yah official method hai, isliye ye aapke liye slow bhi sabit ho sakta hai because most of student apna result janane ke liye ise use karana prefer karenge.
Aap is method se is tarah result check kar sakte hai-
1.Rajasthan Board ki official website par visit kare.
2.Rajasthan Board Class 12 Science Result ya Rajasthan Board Class 12 Commerce ya Rajasthan Board Class 12 Art Result par click kare.
3.Ab Roll number enter kare aur apna result find kare. Jise download bhi kar sakte hai.
#2 Method – Jagran Josh
Yah Jagaran ka initiative hai ki student bina kisi problem ka apna result check kar sake.
1.Jagaranjosh.com visit kare.
2.Rajasthan Board 12th Art ya Rajasthan Board 12th Commerce ya Rajasthan Board 12th Science link par click kare.
3.Apana details submit kare.
4.Result find kare aur download kare.
#3 Method – India Results
Indiaresults.com India ke sabhi exam ke result ko lekar dedicated website hai. isliye aapko other website pahle is par result mil sakta hai.
1.Indiaresutls.com par visit kare.
2.Ab Result of Senior Secondary (Arts) Exam 2018 ya Result of Senior Secondary (Science) Exam 2018 ya Result of Senior Secondary (Commerce) Exam 2018 find kare aur us par click kare.
3.Details fill up kar aur result paye.
#4 Method – Bhaskar.com
Jagran ki tarah Bhaskar media group ne bhi student ke liye exam result available karane ka initiative le rakha hai, jaha aap apna result check kar sakte hai-
1.Bhasker.com ke result page par visit kare.
2.Rajasthan Board 12th Arts Result 2018 ya Rajasthan Board 12th Commerce Result 2018 ya Rajasthan Board 12th Science 2018 par click kare.
3.Roll number, Mobile number aur email id enter kare aur result check kare.
#5 Method – SMS
Yadi upar ke tarike se result check nahi kar pa rahe hai ya internet access nahi kar paa rahe hai to aap SMS ke dwara bhi apna result jaan sakte hai.
GET YOUR RAJASTHAN BOARD CLASS 12 ARTS RESULT 2018 ON SMS
SMS – RESULT<space>RAJ12A<space>ROLL NUMBER – Send it to 56263
GET YOUR RAJASTHAN BOARD CLASS 12 SCIENCE RESULT 2018 ON SMS
SMS – RESULT<space>RAJ12S<space>ROLL NUMBER – Send it to 56263
GET YOUR RAJASTHAN CLASS 12 COMMERCE RESULT 2018 ON SMS
SMS – RESULT<space>RAJ12C<space>ROLL NUMBER – Send it to 56263
GET YOUR RAJASTHAN VARISHTHA UPADHYAY RESULTS 2018 ON SMS
SMS – RESULT<space>RAJVU<space>ROLL NUMBER – Send it to 56263
GET YOUR RAJASTHAN PRAVESHIKA RESULTS 2018 ON SMS
SMS – RESULT<space>RAJPR<space>ROLL NUMBER – Send it to 56263
Hope apne successfully apna result check kar liye honge.
A Request: Please is post share kar apne friend ki result janane me help kare.
Leave a Reply