Kya aap kisi train ka wait kar rahe hai ya jis train se journey kar rahe hai, vah destination par kab pahuchengi?
Ye janana chahte to aapko Running Train Status check karana padega, jise hamare dvara bataye gaye four tarike se quickly jan sakte hai.
To chaliye janate hai-
Running Train Status Check Kaise Kare
Aksar Indian Train time se run nahi karti hai, is karan letlatifi me Indian Railway world me top par hai. Isse passenger ka train wait karane me bahut sa time waste ho jata hai. lekin aap running train status check kar apne priceless time ko waste hone se save kar sakte hai.
Jiske liye aapko in four tariko follow karana padega.
#1.Whatsapp
Aaj ke time me chatting aur voice-video calling ke liye Whatsapp bahut hi popular hai, but samay ke saath kai companies whatsapp ke through service bhi dene lagi hai. Jaise Whatsapp ke dvara near restaurant ki table book kar sakte hai ya pizza mangava sakte hai.
Isi tarah MMT (MakeMyTrip) bhi apne service deti hai, jo ek travel company hai, jo Whatsapp par on ask running trains status bhi batati hai. Jiske liye ye step follow karana padega.
1.734 938 9104 Ko MMT name se Whatsapp me add kare
2.Whatsapp open ke MMT chat box me Train number likh de.
3.Kuch minute me hi train status ka reply aa jayega
But aapko is method se old report mil sakta hai, isliye latest info ke following method try kare.
#2.Indian Railway Ki Website
Kisi bhi train ki live status janane ke liye yeh best tarika hai. because Indian Railway kuch minutes me information update karti rahti hai.
Is tarike se aap apne smartphone aur pc/laptop se train ka current status jan sakte hai. jiske liye step follow kare
1.National Trains Enquiry System ki website par jaye.
2.Spot Your Train par click kare
3.Ab Train Name ya Train Number enter kare.
Tip- Train name ke bajay train number enter karna better rahega.
4.Ab niche train ka current status show hoga.
5.Jyada detail ke liye current report par click kare. Aur refresh button se refresh bhi kar sakte hai.
#3.Call 139
Yadi aapke pas smartphone nahi hai to aap apne feature phone se 139 par call kar train ki enquiry kar sakate hai.
But-
1.Train number ka dhyan rakhe
2.139 par call karana expansive hai, isliye free voice plan nahi hai to achcha balance hone par pura details jan payenge.
#4.Indian Railway App
Yadi aap smartphone users hai to aap Indian Railway ki app download karke bhi running train ki live status jan sakte hai. Jiske liye ye steps follow kare
1.Indian Railway App download kare.
2.App open kare aur Spot your train par click kare.
3.Ab ye details fill up kare.
-Train number
-Destination Station Name/Departure Station Name
-Journey Date
4.Show Status par click kare
Us train se related latest info mil jayegi.
Hope aapne successfully running train status jan liye honge.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Whatsapp, Twitter aur Google Plus par share kare.
Leave a Reply