SBI India ki sabse badi Government Bank hai, Jiske crores customer hai, jinme ek aap hai aur aap apne account ka balance janana chahte hai.
To main aapko bata dun aap kuch simple tarike se ghar baithe apne mobile aur pc se balance check kar sakte hai. jise ham aage jante hai –
SBI Balance Enquiry Kaise Kare
Ham aapko balance enquiry ke liye four tarike bata rahe hai, jo behad hi simple aur effective hai.
#1.Missed Call Method
Yah method sabse easy hai, jisse aap quickly apne SBI account ka balance jan sakte hai. bas aap following steps follow kare
1.Sabse pahle aapko is service ke liye bank account se linked mobile number ko register karna hoga.
Aap apne account linked mobile number se ye SMS send kare
REG <space><Account Number> , ab ise 09223488888 par send kar den.
Kuch minute bad service activation ki confirmation message aa jayega. Jiske bad ye service use kar sakenge.
2.Ab balance janane ke liye registered number se 09223766666 par missed call kare.
Ab aapke mobile par Account Balance ka SMS aa jayega.
Is tarah yadi aap account ka mini statement janana chahte hai to 09223866666 par missed call kare.
#2.SMS Method
Pahle vale method ki tarah yah bhi easy method hai but thoda-sa time consuming vala hai.
1.Is service start karane ke liye aapko bank account se linked mobile number se following message send karna hoga.
REG<space><Account Number> , ab ise 09223488888 par send kar den.
Service activation hone ke bad confirmation message aayega.
2.Ab aap SMS se balance enquiry kar sakte hai, bas aap is SMS ko registered mobile number se send kare.
BAL, ise 09223766666 par send kar den.
Isi tarah mini statement janane ke liye
MSTMT type kar 09223866666 par send kar den.
Yadi aap last 6 months ka transaction janana chahte hai to ye try kare
1.Aapke bank account se aapka email id link hona chahiye, usi par bank last 6 month transaction ki pdf file send karega.
2.Ab type kare, ESTMT <space> <Account Number> <space> <code> .
Code four character password hoga, jise aapne type karana hai aur PDF file open karte vakt iski jarurat padegi.
#3.ATM Card Method
Aap nearest ATM Center visit kare aur ye steps se follow kare
1.ATM machine me ATM Card swipe kare.
2.Screen par show ho rahe options me Balance INQ par click kare.
3.Ab PIN enter kare.
4.Current or saving me se apna account type select kare. Generally sabka saving account hota hai.
5.ab aapko kuch amount show hoga, vahi aapka Bank Balance hai.
#4.Online Method
Is method ke liye aapke account par Internet Banking Service enable hona chahiye. Tabhi balance enquiry kar sakenge.
1.SBI ki Personal Login page par jaye.
2.Username aur password enter kar login ho jaye.
3.Homepage par Transaction Accounts show hoga, jisme aap Click here for balance par click kar balance ja sakte hai.
#5. App Method
Yadi aap app ke divane aur technology ko lekar crazy hai to ye tarika aapke liye hai.
1.Simply SBI Quick app install kare.
2.App open kar aur Account Service me jaye aur Registration kar le.
Simply aapke mobile se SBI ko registration ke SMS jayega, isliye Bank se link SIM ko slot no 1 me lagaye.
Registration hone ke bad aap following chizo ki enquiry kar sakte hai –
-Balance Enquiry
-Mini Statement
-Cheque Book Request
-6 Month e-statement
Is service ko de register bhi kar sakte hai, bas De–register option use kare.
Iske alava aap is app se ye kar sakte hai
-ATM Card Blocking
-ATM card Switch on/off
-Generate Green PIN
In Last Word
Maine aapko ghat baithe aur bank jaye bina kaise SBI bank account balance jante hai to uske 5 effective and quickest method bataya hai, jise aap apne work ko easily done kar sakte hai.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Whatsapp aur Twitter par share kare.
Pramod Mahor says
GOOD ARTICLE
THANKS
Ravi Kumar says
You’re welcome.