Desh ki sabse badi bank SBI ne Junior Associates ke liye Admit Card release kar diya hai, jise aap State Bank of India ki official website par jakar check kar sakte hai.
Aap kaise sbi ki official website se apna admit card download kar sakenge, use aage janenge.
Abhi filhal is exam ke bare me kuch important bate jan lete hai.
SBI ne Junior Associates ki recruitment notification March 2018 ko nikali thi, jo 8301 seats ke liye recruitment thi.
Jiska aaj 6 June 2018, Wednesday ko SBI ne official website par admit card release kiya hai. Jabki report ke anusar admit card ko April/May month me hi release kiya jana tha, lekin Bank ab release kar rahi thi, iske piche bank ne koi reason nahi diya.
Ab janate hai-
SBI Clerk Admit Card 2019 Download Kaise Kare
Jaise aap jan chuke hai SBI ne admit card release kar diya hai, sathi exam date bhi bata diya. Report ke anusar SBI is exam ko three phase me organize kar rahi hai. Jiski dates 23, 24 and 30 June 2018 hogi.
Aapka kis din exam hoga, vah admit card se pata chalega, jise aap is tarike se download kar sakte hai.
1.SBI ki official website par visit kare.
2.Announcement section me jaye.
3.Ab Recruitment of Junior Associates par click kare
4.Open hue page par Download Admit Card par click kare.
5.Ab ek form open hoga.
6.Is form me Registration number aur date of birth enter kare.
Dhyan rakhe, Date of birth ko DD/MM/YYYY format me enter kare.
7.Details submit kare.
8.Ab SBI Clerk Prelims Admit Card 2018 open ho jayega.
9.Ise download kar le aur print out nikal len.
Ab aapko Admit card se pata chal gaya hoga ki –
1.Kis din exam hai.
2.Exam center kaha hai.
3.Aapk Roll number kya hai.
Ab aap exam ke din iske sath ke ID bhi sath le jaye, better rahega. Aur unappropriated chijen na le jaye.
Hope aapne successfully apna SBI Clerk Admit Card download kar liye honge.
Important Dates
30 June – Closure Date of Admit Card Download
23, 24, 30 June – Exams
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Twitter, Whatsapp aur Google Plus par share kare.
Leave a Reply