Indian government & Government banks time par time India me easy business karane ke liye kai scheme launch karti rahti hai. SBI Saral bhi unhi me se ek hai, jise India ke Largest Bank SBI ne launch kiya tha.
Iska main object hai, small and middle class ke businessman ke liye online transaction easy karana hai. Vakai me yah scheme kafi successful bhi hui hai, lac of customers is scheme ka benefit le rahe hai aur apne business ko grow kar rahe hai.
Yadi aap bhi ek business hai to aapko is scheme ko join karna chahiye aur scheme ka benefit se apne business ko grow karne chahiye.
To chaliye SBI Saral ke bare me in details jante hai-
Table of Contents
SBI Saral Kya Hai
SBI saral ek single user transactional product hai, jise micro enterprises aur individual businessman ke liye banaya gaya hai. Jise use kar businessman easily online transaction kar sakta hai, jo business ke financial work ko easy bana deta hai.
Yah scheme business man ko online fund third party ko transfer karne ka right deta hai, jab fully business purpose ke liye kiya gaya ho.
Yah transaction maximum Rs 5 lac per day kiya jaa sakta hai. Is scheme ke tahat SBI Saral name ek account open kiya jata hai. Jisse businessman SBI Saral ka benefits le sakta hai.
SBI Saral Ke Benefit
Jaise maine aapko pehle upar bataya tha ki SBI Saral scheme ko small and middle class business ke liye banaya gaya hai, isliye ye is tarah ke business ke liye behad hi beneficial hai.
1.No Need Lots of Cash – Cash kisi bhi business ke liye blood ki tarah hoti hai. Primary need aur small expenses ke liye cash ki bahut jarurat padti hai, but aap SBI Saral se aap is tarah ki need ki online payment kar cashing problem short out kar sakte hai.
2.Easy to use – Koi bhi individual SBI Saral account ko easily handle kar sakta hai. Vah SBI Saral account me balance dekh aur download kar sakte hai.
3.Bill Payment – Aap Bank se registered suppliers ke sath private suppliers ko online bill payment kar sakte hai.
4.Payment Schedule – Aksar business me time ki kami hoti hai to SBI Saral ka yah feature aap ko kafi help kar sakta hai. Bas aapko party ke liye payment schedule karana hai, vo amount schedule time ko transfer ho jayega.
5.EPF Subscription and Salary Payment – Cashless ke era me most of companies apne employees ke bank account me direct salary transfer karte hai. Jisse time saving ke sath hi cost saving aur no cash problem hoti hai. Isi tarah EPF payment bhi kiya ja sakta hai.
6.Tax Payment – Yah part kisi bhi business ke liye important hota hai, jo time consuming bhi hota hai, but aap ise timelessly online done kar sakte hai, jise SBI Saral account ki help se kiya ja sakta hai.
7.Participation in e-Auction – Business ki jaruri resource ko e-auction se bhi fulfill kiya ja sakta hai. Jisme participate karane ke liye online bank account ki jarurat padegi. Is purpose ke liye SBI Saral account ko use kiya ja sakta hai.
8.Safe and Secured Transaction – SBI Saral account me hone vale every transaction ki notification aapko SMS ke rup me aapke registered mobile number par milega. Jisse aap unauthorized transaction ko instant indentify kar report kar sakte hai.
9.Other Benefits – Aap Rs 5 lac per day ki DD bana sakte hai. Iske alava beneficiary lever limit kar sakte hai, jo security ke liye jaruri hai.
SBI Saral Ke Liye Apply Kaise Kare
SBI Saral account open karne ke liye aapke pas pehle se SBI me open account hona chahiye. Jyada details ke liye nearest SBI branch me contact kare.
1.Aap pehle SBI Saral ke home page par visit kare.
2.Right Side me Apply Now button par click kare.
3.Ab Aapko SBI Saral ke three type milega, jise aap apne anusar choose kare.
4.Click here to proceed par click kare.
5.New Registration Form aur Terms & Conditions choose kar submit kare.
6.SBI Account no aur captcha enter kare.
7.Ab Form fill up kare aur nearest SBI Branch me contact kare.
Final Word
Business me cashing problem bahut badi hoti hai, jo business ke sabhi work par impact dalti hai. Isliye Business ko constantly grow karana hai to cash flow bhi constant hona chahiye, jise aap SBI Saral scheme se shortout kar sakte hai. Isse app business row materials, resource aur taxation jaise need ko easily handle kar sakte hai.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Whatsapp, Twitter aur Facebook par share kare.
Leave a Reply