Kuch dinon pahle maine ek client ke blog par work kiya tha. Jispar 150 se jyada post published he.
Is hisab se us blog ki minimum traffic daily 4000-5000 page views honi chahiye.
Lekin aap jankar surprised rah jayenge ki us blog ki traffic just 300-600 pvs daily hai.
Jabki 90% posts me Yoast SEO Signal green tha.
Fir Aisa Kyu Hua ? yani
Post SEO Optimized Hone Ke Bad Bhi Traffic Kam Kyu Hoti Hai ?
Iske piche kai reasons ho sakte hai, jise ham details me janege
#1.No Keyword Research
Jo keyword research nahi karte hai, vo blogging nahi, timpass karte hai. Bilkul sahi, bina keyword research kiye post likhana andhere me tir chalane jaisa hai.
Because bina keyword research ke aap jane hi nahi payenge ki jis topic par post likh rahe hai,
1.Us topic par traffic hai ki nahi?
2.Us topic par traffic hai to competition kaisa hai?
3.Topic old hai ya popular ?
Isliye keyword research karna chahiye. Isse traffic vale keyword ke bare me easily jana ja sakta hai.
Traffic vale keyword ko banavat ke base par three type ke hote hai
1.Head Keyword – Ise seed keyword bhi kaha hai.
Jaise – Blog
*Is keyword par traffic sabse jyada hote hai. Lekin competition high level hoti hai. jiske karan new blog is keyword par ranking easily nahi pa sakta.
2.Body Keyword – Ye two phrase vale keyword hote hai.
Jaise- Hindi Blog
Inpar traffic aur competition seed keyword ke compare kam hoti hai. Jiske ke karan is tarah ke keyword par time ke sath ranking aur traffic payi ja sakti hai.
3.Tail Keyword – Ye three-four phrases vale keywords hota hai matalab ye keyword ek line ke barabar hoti hai.
Jaise – Blog Kaise Banaye in Hindi
Tail Keywords par traffic aur competition sabse kam hoti hai. Jisse is tarah ke keyword par ranking aur traffic sabse jaldi payi ja sakti hai.
*But jaruri nahi hai, sabhi head ya body keyword high competition vale ho, ye low competition vale bhi ho sakte hai. Jise aap Semrush se easily jan sakte hai.
Isliye competition ke base par keyword ko tin parts me divide me kiya gaya hai
1.High competition Keyword – In keyword par traffic sabse jyada hota hai, lekin competition utna hi jyada hota hai.
Aise keyword seed aur body keyword ho sakte hai.
2.Midium Competition Keyword – Ye keyword high competition keyword se kam competition vale hote hai aur inpar traffic bhi kam hoti hai. Isliye HCK ke compare ranking pana easy hota hai.
Is tarah ke keyword seed aur body keyword ho sakte hai.
3.Low Competition Keyword – Is tarah ke keyword par sabse kam traffic aur competition hoti hai. Isliye koi bhi new blogger is keyword ke use se ranking aur traffic easily pa sakta hai.
Aapke liye khushi ki baat hai ki, ye low competition keyword me Seed Keyword, Body Keyword and Tail Keyword tino mil sakte hai. Jise aap Semrush se jan sakte hai.
#2.No Promotion
Post publish karane ke bad promotion na karana, fast traffic pane ki opportunity loose karane jaisa hai.
Aap Facebook, Twitter jaise social sites par post ko share kar blog par good traffic driva kar sakte hai. Isse Google ko green signal milata hai. Jo Google ki important ranking factor hai.
Behatar promotion ke liye
1.HD Image use kare.
2.Main word ke sath # (hash tag) use kare.
3.Hot day and time me post publish kare
4.Jyada details ke liye ye post padhe-
3.Unnatural Backlink
Kya aap teji se backlink bana rahe hai ?
Kya aap daily 5-6 se jyada directories me blog submit kar rahe hai ?
Kya aap daily 5-6 se jyada social bookmarks bana rahe hai ?
Kya aap daily 5-6 se jyada commenting backlink bana rahe hai ?
Kya aap different niche blog se backlink banate hai ?
Stop these, ye sabhi un-natural act hai, jiske karan Google aapke new blog ko spam box me include kar sakta hai.
Google every new blog ko first three month tak radar par rakhata hai aur is dauran un-natual backlink bananta hai to use spam box me include kar deta hai. Jise Googe Sandbox bhi kaha jata hai.
Isliye natural ways se hi backlink banana chahiye
1.Old blog se backlink banaye.
2..edu or .gov se mila backlink gold hota hai.
3.High authority vale page se backlink banaye.
4.Competitors se backlink banaye.
5.Apne se kam DA vale blog se backlink na banaye.
6.Homepage se mila backlink bahut strong hota hai.
7.Sponsored Links ke liye nofollow tag use kare.
8.Post ke pahle paragraph me backlink banaye.
9.India based blog hai to .in TLD domain vale blog se backlink banaye.
10.Forum backlink na banaye.
11.Apne niche vale blog se backlink banaye.
#4.Over Keyword Density
Jarurat se jyada keyword post me include karana, keyword stuffing kahlata hai. Jise Google low quality content manta hai.
3 keywords per 500 words ko sabse ideal keyword density mana jata hai aur post ke beginning 100 words me 2 se jyada keywords include nahi karani chahiye.
#5.Short Post
Google achhi tarah se janata hai ki short post short information hi de sakta hai, full information nahi. Jo user experience ke liye bilkul bhi suitable nahi.
Isliye Google is tarah ke post ko panelize karane ke liye June 2017 me fred update laya tha. Jisse kai blog posts ki ranking down ho gai thi.
Isliye Long Post likhe
1.Long post se sabhi related sub topics ko clear kiya ja sakta hai. Jo trafficable ho sakta hai.
2.Reading time increase hogi aur automatically bounce decrease hogi. Jisse us post ki ranking increase hone ke great chances ban jayenge.
3.Short post ki tulana me long post ko natural backlink milane ke chances 200% jyada hoti hai, kyonki usmen har topic ki full details hoti hai.
4.Jab kisi topic ko details me likha jata hai to use kisi bhi readers dvara understand karana behad easy ho jata hai. Jiske karan readers long post ko love karte hai.
#6.No Old Post Update
Aap jante honge ki Google fresh content ko like karata hai aur ise old post ke ovar ranking deta hai. Jisse old post ki ranking time ke sath down ho jati hai.
Isliye again ranking pane ke liye old post ko update karana jaruri hai. Ye tips follow kare
1.Post ke ek paragraph ko remove kare ya add kare. Jo sabse behatar hota hai.
2.Post ko new data par publish kare.
3.Image update kare.
Jyada details ke liye ye padhe
#7.No Outbound Link / Much Outbound Links
High authority website /blog ke related post ko post se link karane se post natural aur genuine lagata hai. Jo Google ko green signal deta hai.
But jyada outbound links create nahi karana chahiye, otherwise page value decrease ho jait hai. Jo SEO ke liye dangerous hai.
#8.No Video
Kya aapke blog ki bounce rate high hai ?
To aapko post me video use karana chahiye. Isse aap apne blog ko jyada user friendly bana sakte hai. Jisse post ki engagement time increase hogi, bounce rate decrease hogi aur ranking me benefits milega.
Example –
Post jisme koi video nahi hai. Uspar 10 visitors aate aur post ki reading time 2 minute hai.
Total Engagement time = 10×2 = 20 minute
Kuch visitors ne full post read nahi kiya = 20-2
Actual Engagement time = 18 minute
Ab us post me 2 minute video insert karte hai. Same visitors aate aur post ki length 2 minute hai.
Total Engagement time for article= 10×2= 20-2= 18 minute
Total Engagement time for video = 5(mana 5 visitors ne hi video dekha)x2=10 minute
Total Engagement time = 18+10 = 28 minute.
Yani video ko adhe visitors bhi dekhe to bhi post ki engagement time jabardast increase hoti hai. Jo aapko return ke rup me ranking aur traffic hi dega.
Try karke dekhen.
Tips – Youtube Video embed karane ke liye Optimize Youtube Video Embed plugin use kare, jisse blog ki speed slow nahi hogi.
#9.Slow Speed
Blog jab new hoti hai, to speed fast hoti hai. Lekin jaise-jaise database ki size increase hoti hai aur ad units, facebook like box etc lagate hai yani blog me job hi kuch extra chije add karte hai, wo sidhe hi blog speed par bad impact dalata hai.
Isliye blog ki speed ko proper optimize karte rahe, kyonki Google fast blog ko ranking deta hai.
#10.No Youtubue SEO
Blog post ke liye Youtube video banana, ab Off page seo ka ek important part ban chukka hai.
Jaise Google me tutorial ya trailer word search karke dekhe, SERP ke top place par Youtube Videos hi najar aate hai.
Ye sab Google ke dvara 2015 me laye Youtube Update ke karana hua hai. Is update ke karan ab haal ye hai ki kai most important keyword search karane par SERP me Youtube video show ho hi jata hai.
Matabal yadi aap bhi post ke liye Youtube video banaye to indirectly traffic blog par drive kar sakte hai.
But better raking ke liye Youtube SEO karana jaruri hai, jo blogging SEO se easy hai.-
1.Video 5 minutes se jyada ke banaye
2.Video description 150-200 words ka write kare.
3.Traffic vale tag use kare, jise aap Tubebuddy Chrome Extension se dusre popular Youtbue video ke tags ko jan sakte hai.
4.Description me post link add kare.
#11.Google Plus Followers
Shayad aap Google Plus ka care nahi karte honge, But Google Google Plus ka care karta hai. Isliye Google vo sabkuch karta hai, jisse Google ka social site promote ho sake.
Isliye Google SERP me Google Plus par shared post ko show karata hai.
Aapne jis blog ko Google Plus par follow kiya hoga, usse related search karte hi Google plus par share us blog ka post bhi show hota hai.

Isi tarah aapke blog ke Google Plus followers ko SERP me aapka blog ka shared Google plus post show hoga. Jisse aapke regular visitor ki regularity bhi bani rahegi aur ranking ke liye Google par good impression bhi banegi.
#12 Spam Comment Accepting / No Comment
Aksar beginner bloggers frustration me spam comment ko approve kar dete hai. Jo real human dvara nahi, bot se dvara kiye jate hai. Jo SEO ke liye bad hi hota hai.
Vahi real comment post ki quality show karta hai, yadi post par comment na ho to post quality par suspense create karta hai.
Isliye quality post create kare aur comment ke liye post ke ant me user se kuch question puche. Jisse aapko user comments mil sakte hai.
#13.Simple Web Title
SERP me show hone vale post title ko web title kaha jata hai. Yadi ye simple ho to kam hi visitor us par click karenge. Jisse achchi ranking ke bavjud good traffic nahi milega.
Isliye aisa web title create kare, jo other blogs ke web title se different aur good ho.
Behatar web title ke liye ye tips follow kar sakte hai
1.Web title me best, worst jaise powerful word add kare.
2.Number add kare.
3.Question word add kare.
4.Jyada details ke liye ye post padhe.
#14.Image SEO
Yadi aap image ki proper SEO nahi karte hai to aap 2-3% lose kar rahe hai. Google post ke sath image ko bhi index karta hai. Jise vo Google image me show karta hai. Jahan se traffic milti hai.
Isliye behatar image SEO kare aur apne image se traffic paye.
Image seo ke liye ye post padhe –
In Last Words
Keval post likhane se hi blog per traffic nahi milati hai. Balki trafficable keywords search karne se lekar social promotion, web title creation, video inserting etc karane jaruri hai. Jisse Google par good impression banta hai aur ranking aur traffic milane ke chance create hote hai.
Yadi aap is post ko like karte hai to jarur share and comment kare.
ANAND says
Can I give outbound links to Wikipedia pages ?
Ravi Kumar says
yes, there is no problem because Wikipedia a high authoritative website.
Ravi Kumar says
Bhut useful content h sir thanks to sharing.
Keep it up.
Ravi Kumar says
Thanks Ravi to appreciate my effort!