Traffic pane ke liye koi bhi beginner blogger social media ko best friend bana sakta hai.
Iska reason aapko Social Media Stats mil sakta hai.
Facebook ko 19,50,00,000, Twitter ko 2,32,00,000 , LinkedIn ko 3,00,00,000, Youtube ko 6,00,00,000 aur Instagram ko 1,60,00,000 Indians use kar rahe hai.
Stats se clear hai ki Indian Population ka ek big part social media par active hai, jismen youth sabse aage hai.
Yadi achche se social marketing ki jaye to apne blog par achcha social traffic drive kiya ja sakte hai.
Yaha aap samjh le ki keval post sharing karana hi social marketing nahi hai. Ismen bahut kuch hai, jise aage janege.
Isse pahle jante hai –
Social Marketing Kya Hai
Social Marketing offline marketing ki tarah hai.
Iske dvara target visitors ko find kiya jata hai. Tab unhen impressive tarike se blog/ website par visit karne ke liye invite kiya jata hai. Taki ve blog post ko read kar sake ya koi product buy kar sake.
Social Media Se Traffic Pane Ke Tips / Social Marketing Kaise Kare
#1.Image
Aksar kaha jata hai ki ek image 1000 words ke barabar hote hai. Jiska impact social media me bhi dekhane ko milta hai. Jise aap khud bhi feel karte honge.
Isliye social post me kam se kam ek image jarur include karma chahiye.
Iske alava ye tips follow Karen-
1.High Resolution Image use kare, jise Gravit.io se create kar sakte hai ya Pixabay se download kar sakte hai.
2.Image ki size big rakhe, jo sabhi social media ke post me fit ho jaye.
3.Kabhi kabhi infographic bhi share kare, usse jyada user attract hote hai.
#2.Post Title
Social media par image ke bad post title hi users ko attract karta hai. Isliye title seo friendly hone ke sath attractive bhi hona chahiye. Jise read kar user impress ho sake hai.
Jaise,
Aamir Khan Wiki, Biography in Hindi, Birth Data, Wife, Son, Daughter
Ye title seo ke lihaj se achcha hai par ye social media ke liye nahi.
Is title ko is tarah banaya ja sakta hai –
Aamir Khan Ki Biography in Hindi, Jise Aap Nahi Jante
Aamir Khan Ki Biography in Hindi, Jise Aapko Janana Chahiye
Jyada jankari ke liye ye post padhe
#3.Social Site Par Post Publish Karane Ki Best Time
Every social media ka hot time & day hota hai, jab platform par sabse jyada users active hote hai.
Is vakt social sites par post publish karne se sabse jyada traffic pane ke chances badh jate hai.

#4.Blog Speed
Social Stats ke anusar –
1.Facebook par monthly 155 million active Indian users hai, jismen 94.83 % users mobile phone se facebook access karte hai.
2.Twitter ki 80% tweets mobile device se hoti hai.
3.Pinterest ko 80% user mobile phone me open karte hai.
4.Instagram ko use karan ke liye 92% user mobile phone ko prefer karte hai.
Yani ham kah sakte hai 80-90% social site users Smartphone me social sites open karte hai.
Ab is traffic ko apne blog par drive karane ke liye jaruri hai ki aapka blog fast aur responsive ho.
Google ke anusar desktop ke liye blog ki ideal loading time 3 second aur mobile phone ke liye 5-6 second hai.
Kya aapka blog mobile phone me fast open hoti hai ?
#5.Gender of Social Site
21th century me gender ki baat karana achcha nahi lagata. Par social site ki gender fact batana behad jaruri hai, jo aapko surprised kar sakti hai.

Aap behtar results ke liye gender ko dhyan me rakh sakte hai.
#6.Quality Post
So sonar ki Ek lohar ki… Aap bhi bilkul aisa kar sakte hai, yadi aap quality post likhte hai to.
Quality post use kaha jata hai jo SEO Friendly, Social Friendly aur User Friendly ho.
Vaise bhi quality post ke dvara hi social users ko regular visitors banaya ja sakta hai aur reader se post sharing ke liye impress kar sakte hai otherwise social site user ek bar visit karne ke bad dusri bar blog par visit nahi karega aur na hi post share karega.
Isliye post-
1.Post kam se kam 800 words ka likhe, jo complete ho.
2.Fresh post likhe.
3.Post Social friendly likhe, Jise aap Google Analytics / Social Warfare Plugin se jan sakte hai ki kis post par sabse jyada social traffic mila hai aur share kiya gaya hai.
4.Post daily nahi, quality post kare. Vo sabse effective hota hai.
#7.Sharing Plugin
Yadi readers ke liye post sharing button touch karana hard hai to ve post share nahi karenge.
Isliye-
1.Mobile aur Desktop me Floating social sharing button use kare, jo mobile ke bottom me aur desktop ke bottom ya sidebar me float kare.
2.Mobile me social sharing button responsive ho.
3.Light speed vale social sharing button hi use kare.
4.Post ke ant me readers se post share karne ke liye kahe.
#8.Social Follow Button
Post ke ant me social link ya social button show karane se follower ki number quickly increase ho sakti hai. Jise media websites achchi se tarah se use karte hai.
#9.Response on Social Sites
Aksar followers social media par question puchate hai uska reply in time karana chahiye. Isse aap fans par great impact dal sakte hai.
#10.Make Facebook Group
Facebook Group banaye aur blog par us group ka link add kare.
Facebook page fans se group join karne ke liye kahe aur unhen apne friends ko bhi add karne ke liye kahe.
#11.Share Old Post
Yadi aapka blog evergreen niche (jaise WordPress, Health, Love Relation) ka ho to old post ko share kar social traffic drive kar sakte hai. Iske liye Revive Old Post Plugin ka use kare sakte hai.
Note- ye method keval evergreen niche ke sath hi effective hai.
#12.Use Social Post Sharing Tool
Buffer jaise social post sharing tool se ek sath kai social sites par post publish kar sakte hai. Isse aapka kafi valuable time bach jayega.
Iske alava aap social sites se traffic pane ke liye kaunsa tarika follow karte hai ?
Yadi aap is post ko helpful pate hai to jarur share kare.
Sultan singh says
Awesome Article Hai. Brother
Ravi Kumar says
Thanks Bro.
Deepesh says
Sir kya ye theme free hai agar paid hai to kya price hai
Ravi Kumar says
Ye Theme paid hai. Pricing and demo >>