Kya aap Star Plus Serials ke liye crazy hai, but time kami ki vajah dekh nahi pati ho aur apne favourite tv serials ko miss kar deti ho.
But don’t worry. Abse ye nahi hoga. Because aap mere dwara bataye gaye tarike se star plus video / tv serials download kar sakti ho aur bad me kabhi bhi dekh sakti hai.
Kaise hoga ye sab, chaliye jante hai-
Star Plus Serials/ Video Kaise Download Kare
Star Plus ko Star India ne 21 February 1992 ko launch kiya tha. Shuruat me ise Star TV ke name jana jata tha aur is par USA aur England ke English shows telecast kiye jate the aur Zee TV par uska Hindi Version show kiya jata tha.
But bad me Star Plus Zee TV se alag hokar Full Hindi language channel ban gai. Jiske liye 2010 me Star India ke CEO Sameer Nair aur Programming Chief Tarun Katial ne kai TV shows launch kiye,
jisne is channel ko India ka number 1 Hindi TV Serials Channel bana diya.
Ab iske Hindi TV shows USA, England aur Ireland me bhi telecast kiye jate hai, jo outside India Fox Network Group karta hai.
- Zee TV Serial & Video Kaise Download Kare
- WorldFree4u- 300 MB Bollywood Movie
Ab ye Channel itna popular ho chukka hai ki iske 30 se jyada sister channels launch ho chuke hai. Jinme pramukh hai –
1.Star Bharat
2.Star Utsav
3.Star Utsav Movies
4.Star Movies Action
5.Star Gold
Is channel ke main serials hai-
1.Ishqbaaaz
2.Ye Hai Mohabbatein
3.Yeh Rishta Kya Kahlata Hai
4.Tu Sooraj, Main Sanjh Piyaji
5.Shaka Laka Boom Boom
6.Son Pari
7.Hatim
Ab jante hai-
Kaise Star Plus Video Download Kar Sakenge
Main aapke PC aur mobile se Star Plus video downloading ke liye separate tarika batayunga, jo behad easy and quick hai.
Mobile Se Kaise Download Kare
Method #1
Yah method sabse fast hai aur jyada resource ki jarurat bhi nahi padegi. Keval Hotstar App ki jarurat padegi. But is method se download kiye gaye video ko dusre mobile ya pc me transfer nahi kar sakte.
1.Hotstar App download kare.
2.App open kare aur menu (Top Left me three bar par click kare) me jaye.
3.Channels par click kare
4.Star Plus par click kare
5.Apna favorite show select kare aur uska koi video play kare, jise download karna chahte hai.
6.Ab Download button par click kare, quality choose kare aur download start kare.
7.Download hone ke bad use Menu ke My Downloads me dekh sakte hai.
Method #2
Yah method apako freedom dega ki aap video ko kahi bhi transfer aur store kar sakti hai. Yah method thoda sa long hai, but behad easy hai.
1.Videoder App download kare.
2.Open kare aur Hotstar Icon par click kare
3.Menu me jaye, Channels par click kare.
4.Star Plus choose kare.
5.Favorite video play kare aur Red Download button par click kare.
6.Video quality choose kar aur Start Download kare.
PC Se Kaise Download Kare
Yadi aap PC lover hai aur PC par Star Plus show dekhna chahte hai to main aapke videos download karne ka sabse simple tarika bata deta hun.
1.Videoder app ka window version download kare.
2.Open kare aur Hotstar icon par click kare.
3.Ab Menu>Channels>Star Plus> Serial> Favorite Episode kare
4.Red Downloading button par click download kare.
Video Dekhe
In Last Word
Internet par Star Plus Serials/ show download karne ke kai tarike available hai, but sabhi effective nahi hai. Unme se adhikatar external server par uploaded show/ serials ka downloading link dete hai, jo virus ya malware infected ho sakta hai.
But aap upar bataye gaye tarike se aap Hotstar ke server se sabhi video download kar sakengi, jo bilkul safe hai.
Have a nice serial moment.
Yadi aap is post ko helpful pati ho to Whatsapp, Facebook aur Twitter par share kare.
Kunal says
Thnks brother and nice article. this is the very easy step to download anything 👍👍👍
Aditya Singh says
Nice Article , your article always gives new trick . i like it.. thank for sharing.
Ravi Kumar says
Thanks Aditya
Sameer says
Zee tv ke show kese download kare
Ravi Kumar says
Next post me aapko pata chal jayega
computerwali says
nice blog sir aap ka content likhne ka style vakahi me fabulouse hai ! Aap isi tarah post likhate rahe aur humare Jaise newbian bloger ki help karate rahe thank you So much
Ravi Kumar says
You’re welcome.