Yadi aap young hai to Tiktok ke bahut diwane honge, ho bhi kyo naa yah jis speed se youngsters ko popular bana raha hai, us speed se average youngster apni dil ki baat share bhi nahi kar pate hai.
Iski sabse badi vajah hai is app me milane vali freedom, jahan youngster apne aap ko express kar pata hai, jiska unhen puri country se appreciation milata hai.
Khair 99% users Tiktok ka maja apne smartphone par lete hai, but janab PC par funny & glamorous video dekhane ka alag hi maja hai. jaha without any notification disturbance ke buffer ke sath pc me unlimited energy ke sath enjoy kar sakte hai. to main aapko is post me batayunga-
Table of Contents
Tiktok App Ko PC Me Kaise Chalaye
Only one year me world ki most popular app banana vali Tiktok app ko Chinese company ByteDance ne banaya hai. Main aapko bata dun isi company ne Helo App ko bhi banaya hai, jo bhi Indian yougester ke bich behad popular hai.
Present time me Tiktok 33 language me available hai. jise 500 million se bhi jyada installations mil chuka hai. Itni badi userbase hone ke karan isne ad system bhi bana liya hai, ummid hai ki Tiktok video producer ke video bhi monetization ho sakta hai. Jisse Tiktok ki aur growth dekhane ko mil sakti hai, youtube ki tarah.
About Tiktok App
App Name | Tiktok |
---|---|
Size | 80.90 MB (android), 308.3 MB (iOS) |
OS | iOS, Android |
Developer | ByteDance |
Tiktok Ko PC Me Chalane Ka Tarika
Other android apps ki tarah Tiktok app ko bhi pc me run karana behad easy hai. jiske liye aapko kisi bhi tarah ki technical knowledge ki jarurat nahi hai. So main aapko three tarike bata raha hun.
Method – 1
Kisi bhi android app ko window me run karane ke liye ek android emulator ki jarurat padati hai. main aapko recommend karunga ki aap best emulator Bluestacks use kare, jo sabse jyada feature wala emulator hai.
1.Apne pc me Bluestacks download kare aur install kare.
2.Bluestack open kare.
3.Usme browser open kar google play store visit kare.
4.Ab sign in ho jaye.
5.Play store me Tiktok app install kare.
Ab app open kare aur video dekhe.
Method-2
Bluestacks bahut hi featured vala software hai, but ise smoothly run karane ke liye ek powerful pc ki jarurat padati hai. Yadi aapke pas average pc hai to Noax android player use kare, jo behad hi light weight hai.
1.Noax install & open kare.
2.Emulator se Google Play Store open kare Tiktok app install kare.
3.App open kare and enjoy kare.
Method -3 [For Mac OS]
Yadi aap Mac OS PC run karte hai to following tarike se Tiktok ko run kar sakte hai-
1.Bluestacks For Mac OS ya Genymotion download kare.
2.Open kare aur Google Play ki help se app install kare.
Method – 4
Yadi aap koi bhi software installation nahi chahate hai ya aapki pc low performance wali hai to following tarika use kare.
1.Tiktok ki official website par visit kae.
2.Trending menu par click kare aur popular video ka maja le.
3.Aap language bhi change kar sakte. But is tarike se koi post nahi kar sakenge.
Is tarah aap top 4 tarike se apne pc me Tiktok app ko smoothly run kar sakte hai aur video ko enjoy kar sakte hai.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Twitter & Whatsapp par share kare.
Leave a Reply