Ek Famous ad itna popular hua ki jab bhi koi puchata tha ki kya chal raha hai?
To reply me Fog chal raha hai aata tha. Ab situation change ho chuka hai, ab aap kisi yougester ka following question ke reply me Tiktok chal rah hai ka javab hota hai.
I am sure aap bhi Tiktok ke crazy fan honge, because Tiktok ke 15-30 second videos me vo enjoyment mil jati hai, jo kahi bhi itne samay nahi mil sakti.
Jiske karan Tiktok ke video ko bahut share kiya jata hai. But jab whatsapp par Tiktok Video ko share karte hai to vah aapke mobile me download ho jati hai. Lekin is video me Tiktok ka tag hota hai, jo achcha nahi lagta hai.
Aise me main aapko batayunga ki without Tiktok tag ke video download kar sakte hai.
Tiktok Video Download Kaise Kare
Song lip sync app Music.ly ko chines company Bytedance ne 9 November 2017 ko $1 billion me buy kar liya, jise Tiktok name se rebranding kar 23 January 2018 ko launch kar diya.
Jiske kuch time bad world ki kai countries me app store ki top free app ban gai. 15-30 second song lip sync aur reaction video concept itna super hit hui ki Tiktok ne Apple Store me Facebook, Youtube & Instagram App ko download ke mamle me piche chhod diya.
Tiktok Video Download Karna Ka Tarika
Method –1
Yadi aap smartphone user hai to yah tarika aapke liye hai.
1.Videoder app install kare.
2.Tiktok app open kare.
3.Kisi video ko play kare aur share button par click kare.
4.Copy link par click video address copy kare.
5.Ab link ko videoder app me paste kar de.
6.Jiske bad video play hogi, sath hi red download button show hoga.
7.Red button par click kare aur quality choose kare.
8.Download start kare.
Method – 2
Yadi aap koi downloading software ya application ki help nahi lena chahte hai, ye tarika aapke liye hai. Ham aapko bata de yah tarika pc aur mobile dono ke liye applicable hai.
1.Aap Tiktok app se video ka link copy kar le.
2.Browser open kare.
3.Usme pahle “sfrom.net” ya “savefrom.net” type kare, / (backward slash) lagakar video link paste kar de. jaise – savefrom.net/https://tiktok.com/
4.Ab quality ke adhar par video download kar len.
Method – 3
Is tarike se bhi aap without Tiktok ke tag video ko apne mobile aur pc se download kar sakte hai.
1.Tiktokvideodownload.com par visit kare.
2.Tiktok se video link copy kare.
3.Is website par paste kare.
4.Download button par click kare.
Video download start ho jayegi.
Friends, in 3 tarike se aap Tiktok Video without Tiktok logo ke easily download kar sakenge aur apne friends aur relatives ke sath share kar sakte hai.
Yadi aap is post ko helpful pate hai, Facebook, Twitter & Whatsapp par share kare.
Leave a Reply