Indian Government ne Digital India Scheme ke tahat sabhi government work ko digital karane ki muhim run kar rakhi hai. Yahi karan hai ki Government ne EPF (Employee Provident Fund) se related work bhi digital kar chuki hai.
Ab aap bhi EPF se related work jaise EPF balance check kare, Aadhar Card Link, EPF Withdraw karana jaise work online kar sakte hai.
But Iske liye aapko UAN Activation/Registration ki jarurat padegi. Jiske liye main aage simple tarika bata rahu. Usse pehle jante hai-
Table of Contents
UAN Activation Kaise Kare 
UAN Kya Hai ?
UAN ka full form Universal Account Number hota hai, Jise every employee ke liye unique number allot kiya jata hai. Isse aap online hi PF Account ko manage kar sakte hai. Ek EPF Account se dusre EPF account me money transfer kar sakte hai.
Iski help se aadhar card, pan card jaise kai jaruri document ko EPF account me update kar sakte hai. Iske alava aap kuch hi second me PF Balance jan sakte hai.
- EPFO Member Portal Se UAN KYC Update Kaise Kare
UAN Ki Jarurat Kyu Padi
Shuruaat me EPFO UAN number jari nahi karta tha. Jiske karan jab koi Employee ek job chhod kar dusre job karata tha, to uska purana EPF account ko close kar diya jata tha. Jisse EPF Account se money nikalane me badi problem hoti thi, because purana employer EPF Money pass nahi hone deta tha.
Jiske karan employees ko bahut loss hota tha.
Iske alava EPF Account se money withdraw karane ke liye employer par depend rahana padta tha. Jiske karan EPF Account Holder bahut pareshani uthana padta tha.
Inhi sab problems ko solve karane ke liye UAN ko jari kiya gaya.
UAN Ke Fayde
UAN se bahut fayde hai, jo employee ki money aur time ko khub saving karti hai.
1.Old EPF account ke money ko new EPF account me transfer kar sakte hai.
2.1 minute me EPF Account Balance check kar sakte hai.
3.EPF account se money online withdraw kar sakte hai.
4.EPF Account ko Aadhar se link kar sakte hai.
5.Driving license, PAN, Passport jaise document ko PF account me update kar sakte hai.
6.EPF Account me Name, Gender, Date of birth ka correction kar sakte hai.
7.Mobile number aur email id change kar sakte hai.
8.UAN card download kar sakte hai.
EPFO Portal Se UAN Activation / Registration Kaise Kare
EPFO Portal par UAN Activation ya registration karana behad hi easy hai, jise aap kuch minute me kar sakte hai.
1.EPFO ki Member Portal par visit kare.
2.Ab right side me bottom me Important Links section me Activate UAN link milega, us par click kare.
3.Ab aap char tariko se UAN ko activate kar sakte hai.
–Yadi aap UAN select karte hai to UAN, Name, Date of birth, Mobile No, Email Id, Captcha enter karna padega.
–Yadi aap Member ID select karte hai to State, Office, Name, Date of birth, Mobile No, Email Id, Captcha enter karna padega.
–Yadi aap Aadhaar select karte hai to Aadhar, Name, Date of birth, Mobile No, Email Id, Captcha enter karna padega.
–Yadi aap PAN select karte hai to PAN, Name, Date of birth, Mobile No, Email Id, Captcha enter karna padega.
4.Ab Get Authorization Pin par click kare.
5.Aapke mobile par aaye OTP enter kare aur Validate OTP and Activate UAN par click kare.
6.Aapka UAN Activate ho chukka hai ab aapke registered mobile par Password ka message aayega. Un details se aap login ho sakte hai. Login ke bad Member Profile me password change kar sakte hai.
Congrats, aapka UAN fully activate ho chukka hai.
In Last Word
EPF Account ko easily aur fast handle karane ke liye UAN activation karna jaruri hai. Jisse aap ghar baith online EPF Balance Check, Money Withdraw, Document update kar sakte hai. Iske liye aapko UAN Activate karna padega. Jiske liye maine behad hi simple tarike bataye.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Whatsapp, Facebook, Twitter, Google Plus par share kare.
joginder singh says
good