Kya aap UAN KYC update karna chahte hai ? to aap sahi post padha rahe hai. Aage main aapko batane jaa raha hun ki kaise aap ghar baithe apne laptop ya smartphone se EPFO Member Portal par apni KYC update kar sakte hai.
Vaise hamne pichale post me jana tha EPF UAN Name, Gender and Date of Birth Correction Kaise Kare, yadi aap bhi correction karna chahte hai to ise post ko padh sakte hai.
Khair ab baat karte hai is post ki-
UAN KYC Update Kaise Kare
UAN KYC Update Se Kaun Kaun Se Document Update Kar Sakte Hai
EPFO member portal par aap kai sare documents update kar sakte hai, jo hai –
Bank
PAN
Aadhaar
Passport
Driving License
Election Card
Ration Card
National Population Register Number
Ab jante hai KYC update kaise karenge.
EPFO Member Portal Se UAN KYC Update Kaise Kare
Main jo tarika bata raha hun, vo behad hi simple tarika hai, jise aap 2 minute me complete kar sakte hai.
1.Sabse pahle UAN Member Portal ke official website par visit kare.
2.Ab Homepage ke right me UAN login box hoga, jismen UAN ID, Password aur Captcha enter kare aur login ho jaye.
3.Ab menu bar me Manage section se KYC par click kare.
4.Ab Bank, PAN, Aadhaar, Passport, Driving License, Election Card, Ration Card aur National Population Register ko update karne ke liye box open ho jayega.
5.Ab jise update karna hai, uske samane Select box par click kare aur update kare.
6.Jab aap document ke details enter kar dete hai to ant me Save button par click kar save kare.
7.Iske bad ye update request aapke employer ke pas chala jayega, jab vo approve kar dega, aapka KYC update successfully ho jayega.
UAN KYC Update Status Kaise Check Kare
1.Aap Manage>> KYC me sabse niche jaye.
2.Pending KYC Box me pending document ko dekh sakte hai.
3.Approved KYC Box me approved document ko dekh sakte hai.
- Aadhar & Bank Account Linking Status Kaise Check Kare [Best 3 Ways]
- Bank Account Ko Aadhar Card Se Link Kaise Kare
- Mobile Number Ko Aadhar Card Se Link Kaise Kare [Best 3 Tarika]
In Last Word
Aap EPFO Member Portal par kaise KYC update karenge, uska sabse simple tarika bataya hai. Jise aap quickly kar sakte hai.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Whatsapp, Google Plus aur Twitter par share kare.
Narender gusain says
Sir mera name k 1 word me kuch problm h usko kase thik kr
Ravi Kumar says
Aap EPFO se contact kare.
Nikesh das says
Sir mera adhar and pan card update ho geya lekin bank acc nhi ho raha hi
Ravi Kumar says
Bhai ye bank wale hi karenge, unse contact kare