Main ek introvert banda hun, Isliye best friend aur family ke alava kisi ke sath income-information share karane me uncomfortable feel karta hun.
Par pichale kuch dino se mere followers UC News ko lekar lagatar is tarah ke question puchte hai.
1.UC News par views to achche mil rahe hai par income nahi ho raha ?
2.Kya UC News earning bhi deta hai ki nahi ?
1.UC News par views to achche mil rahe hai par income nahi ho raha ?

Ek follower ki send ki gai UC News traffic report ki screen shot, jisme unhone 11 june 2017 se lekar 17 june 2017 tak 12,60,338 yani 1.2 million views paye.

Par income only $4.39 hui.

Jakbi Maine 18 june se 24 june 2017 tak kul 1,34,047 views paye, par income $30.52 ki hui.

Ab aap besabri se janana chahenge, aisa kyun hua?.
Iska main reason hai
Creativity +Uniqueness
Us week me keval sports category se related posts likha aur 1,50,000 se kam views mile. Par income $ 30 hui.
Aisa isliye hua ki main bachpan se hi cricket ka fan hun. Jiske karan cricket ke baare deeply janata hun. Isliye laazmi hai ki mere dvara likhe gaye post creative aur unique honge.
Ab UC News ki Moderator Team bahut hi smart ho chuki hai. Ve ek najar me hi jaan lete hai ki kaunsi post creative aur unique hai aur kaun si nahi.
UC News ki moderator team ne mere posts me dono qualities ko paya. Islye views kam hone ke bad bhi maine $30 earn kiye.
Vahi dusri taraf Mere follower ne jin posts par itne jyada views paye, vo posts astrology category ki thi. Jiname creativity aur uniqueness nahi ho sakti hai.
- UC News Me Index Point Kya Hai? Ise Kaise Badhaye?
- UC News Par Lac Views Milane Ke Bad Bhi Low Income Kyun Hoti Hai ?
Because is tarah ke behatar post ek astrologer hi likh sakta hai.
Isliye UC News ki moderator team ne astrology posts ko approve to kar diya, par un posts par ad show hone nahi diya. Jiske karan koi income nahi hua aur jo behad kam income hua hai, vo dusre category ke post se hua.
High views pane ke liye kaunsi category select karen ?
Aap aisi category ko select karen, jismen aapka interest ho aur knowledge rakhte ho.
Aisa isliye kah raha hun, kisi bhi category men interest aur knowledge hone par aapke post men creativity aur uniqueness jarur hoga.
Jo us topic ke liye aapki expertise show karega. Jiska positive impact UC News ki Moderator Team ke sath readers par bhi padega.
Is baare me behatar janane ke liye ye post padhe-
2.Kya UC News earning bhi deta hai ki nahi ?
Bilkul UC News earning deta hai. lagbhag pichle tin mahinon se main sports category par likh raha hun, jisse se abtak $470 earn kar chuka hun.
UC News April Income
In Bank Account
UC News May IncomeIn Bank Account
UC News June Income
In Bank Account
Total Income for Three month = $84.76+$207.43+$176.95=$469.14
In Last Word
UC News par money earn karna hai to paisa kamane ke najriye se post naa likh kar, interest based quality article likhe. Tabhi aap achchi earning kar sakenge.
Varna post par views to achche milenge, par eaning kuch bhi nahi hoga.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Twitter and Whatsapp par share kare.
Ajay Verma says
Bhai maine uc browser mein bahut news padhi aur mujhe lag raha hai ki sirf popular accounts pe hi uc news ad dete hain, kya aisa sahi mein hai.
Please guide me!
Ravi Kumar says
Right Bro,
Ab UC News ne apna ad system change kar liya hai. Ab popular account ko basic ki tulana jyada earning hoti hai.
Because UC News popular account ko-
1.Jyada promote karti hai.
2.Income sharing jyada deti hai.
Yadi aap basic user hai to ye tips follow-
1.Apni Pasandida Category me hi likhen.
2.Daily kam se kam ek post likhen.
3.HD Image lagaye
4.Behatar Title banaye, yahi view lata hai.
5.Post minimum 150 words ka rakhen
6.Old, fake new naa likhe.
Sabkuch thik raha to aap kuch dinon me hi advanced blogger ban jayenge.
Happy Writing.
Ajay Verma says
Thanks for your guidance
Ravi Kumar says
It’s pleasure to me.
Harvinder singh says
Hello bro mene uc par news dali first news public hui view bhi aaye par 2 post dali bo bhi public hui par us par ek bhi view nhi aaya esa 3 post dalne par huaa aap btao ki esa kyu ho rha ha reply karna mere email par please mera account ha “teri meri news”ke name se
hmaan3000@gmail.com
Ravi Kumar says
Bhai, 0 view vale post ka link share karen
Pramesh Chand Vishwakarma says
ravi bhai bahut badhiya post hai mera uc se juda problem hai aaj mer uc me views 0 ho gyaya hai jab ki pahali post me 150000 se upar vew aya aisa kyo ye mera news link hai tz.ucweb.com/7_pHer kripya yaha se mere sabhi artikals ko dekh kar bataye ki aisa kyo hai dhanyabad
Ravi Kumar says
hi, aapne kuch astrology vale post likhe, jiska UC News money nahi deta hai. Isliye Original hi likhe.
1.title sudhare
2.content quality
3.category change kare
4.religion post naa likhe
Rahul Tiwari says
Ravi bhai, ek problem aa rahi hai…Maine Sachchi khabar blog ko UC news me add kar rakha hai jisse ki uske sare post UC news me index ho jate hai….Problem ye hai ki jyadatar post layout problem ke karan suspend ho jate hai….Kai baar kosis kiya lekin vo approve nahi hote….Agar suspend hone ke baad unko UC news me hi manually edit kr deta hu tab approve ho jata hai…
Koi upay bataiye jisse ki post layout problem ke karan suspend na ho…
Ravi Kumar says
Basically UC News ab blog ki post layout support nahi karta hai. Isliye aapko UC News me post ko manually edit karana hoga.
Rahul Tiwari says
Thanks bhai…Mai bhi ab manually hi karta hu…lekin UC ne ab 10 ki jagah 5 post daily ki limit kar di hai…maine apne dono blog ko optimize kiya hai…ek baar fir aap check kar ke bataiyega ki ab kuch sudhar hua hai ya nahi….
ek baat or aapko batana chahunga….maine aapke 16 tariko se blog ki speed badhaye………me function.php ka code dekha tha us code ko maine apne theme ke function.php me add kiya to mera pura blog hi band ho gya tha…kisi v tarah se blog open nahi hua to hostgator ke customer care ko call kar ke usey thik karwana pada….isliye ek baar aap us code ko check kar lijiyega…ki kahi usme koi keyword ya ; colon missing na ho..
Ravi Kumar says
1.Maine check kiya code sahi hai. Ise function.php men sabse niche karana hota hai. Shayad aapne kisi code set ke bich me paste kar diya hoga.
2.ab speed ok hai.
Yasir Khan Saqlaini says
Bahut badhiya post hai.
Ravi Kumar says
Thanks
आशीष शर्मा says
वेबसाइट केसे बनाये और किस तरीके स्व उच न्यूज़ पर वेबसाइट को ऐड करे की जो बी पोस्ट वेबसाइट पर डाले तो वो तुरंत उच न्यूज़ पर पब्लिश हो जाये क्या उच न्यूज़ को वेबसाइट का RSS FEED भी देना पड़ता हे क्या इसका क्या प्रोसेस हे पूरी तरह से समझाए आप
धन्यवाद
Ravi Kumar says
Ek WordPress blog banaye, use RSS Feed se connect karen. Aur UC News se sign up karte time RSS Feed Url bhi submit kare.
jyada janakari ke liye ye post read karen >>
Aashish sharma says
Accha sir feed ko kese connect karna h me samjh gaya hu par jo feed ka url aayega wahi url uc news account banate samaya lagana he hena website me
Ravi Kumar says
yes
Ashish sharma says
Gud morning sir blogspot blog ki post me feature image kese lagate he aur jo uc news me sho ho jaye isme to koi option diya hua nahi hai
Ravi Kumar says
1.Feature Image automatically add ho jata hai. Aap templete change karen.
2.Yadi aapne UC News ko rss feed url se connect kiya hai to blog par post publish karane par. Post automatically UC News me publish ho jayega.
Aashish sharma says
Ohhh sir blog banane ke baad des se kese jode aur blog ka url dale ya rss feed ka url dale isme word press website ki zaroorat to nahi hoti na ya hoti hai iska koi video mil sakta hai kya sir actually mujhe iske bare me koi jankari nahi hai haa par uc news me sign up kese karna he to to apko post se pata chal gaya hai ab itna batane ka pryas kar dijiye ki word press aur rss feed ko kese connect karna he aur konsa wala url uc news par add krna hai
Thank you so much sir apka reply ke liye
Ravi Kumar says
1.aap free blog blogger par bhi bana sakte hai.
2.RSS ka url dena hota hai
3.RSS FEED aise connect kare >>
simran jain says
sir pichle do dino se uc news par post sahi se publish kyu nhi ho rahi hai jese hame koi post lkha aur wo post pending me jake suspend ho gya aur uske jo pragraph likhe the wo bhi gayab ho gaye aisa kyu ho raha he
Ravi Kumar says
Ise aapko UC News Team ko report karana chahiye.