Aaj ka time technology ka hai, jismen smartphone bahut use kiya ja raha hai. Ek report ke anusar India me Smartphones Indian population ke three times hai. Aise me Smartphone users ek dusre ke sath Songs, Movies, Document, Media, Video jarur share karte hai.
Jiske liye kai android apps use karte hai, because ye Bluetooth ke compare quickly files & media share karta hai.
Isi tarah aap bhi smartphone user hai to aapko jankar khushi hogi Alibaba owned UC Web ne UC Share app launch kiya hai, jo behad hi faster and small size ka hai, jisse aap easily and quickly file share kar sakte hai.
Table of Contents
UC Share App Kya Hai & Kaise Use Kare
Simply UC Share ek file sharing app hai, jise UC News & UC Browser run karane vale UC Web ne 1 may 2018 ko launch kiya tha. Jo teji se smartphone user ke bich popular ho rahi hai. Ab tak ise 50,000 se jyada users install kar kar chuke hai.
Iski do sabse badi reason hai-
1.Size – Is app ka full package only 896 KB ka hai, matlab 1MB se bhi kam, yani palak jhapakate hi ye app install ho jayegi.
2.Faster than other App – Yah app kisi bhi other app ke compare faster hai. Aap is app ke sahare ek photo ko 0.2 second, ek song ko 1 second aur ek movies ko 22 second me transfer kar sakta hai. Isliye iski speed ko flash speed bhi kaha gaya hai.
Main Feature
Yah app ek MB se bhi kam ki hai, par feature ke mamle me Share it aur Xender se bhi aage hai.
1.Transfer Files with Flash Speed – Jaise maine aapko pahle hi bata diya hai ki iski speed shandar hai. Bilkul aap eye blink karte hai hi image and song transfer kar sakte hai. Is app ki maximum transfer speed 40Mb/s hai.
2.Easy To Search File – Is app ki help se song, video, file, document etc. ko easily search kar sakte hai aur recent me transferred file ki list bhi dekh sakte hai.
3.Efficient File Management – Is app ko ek file manager ke rup me use kiya ja sakta hai. Yah files ko unke natural ke basis par categorized kar deta hai, jisse aap easily jaruri file find kar sakte hai.
4.Free Network – Yeh common feature hai. Share it aur Xender ki tarah yah app bhi bina internet aur bina cable ki files transfer kar sakta hai.
5.Send Large Files Without Limitation – Aapke file, media aur photo ki kya size hai, isse koi farak nahi padata hai. Aap quickly kisi bhi weight ki files transfer kar sakte hai.
6.1000+ Format Support – Yah app 1000+ file formats ko support karta hai. Jiska main formats hai –
Photo: PNG, JPG, JPEG, BMP, GIF, TIF, PSD, EPS, …
Video: AVI, MP4, MPG, MPEG, 3GPP, OGG,…
Audio: MP3, WAV, FLAC, WMA…
Document: PDF, DOC, PPT, XLS, …
Others: ZIP, APK, …
UC Share App Kaise Use Kare
Is app ko use karana behad hi simple hai, jise aap in steps me jan sakte hai –
1.Google play se is UC Share search kare ya is link par click kare.
2.Install aur open kare.
3.Ab Top Right me show ho rahe Boy Plus icon par click kare.
4.Ab Bluetooth ya Hotspot icon par click kar friend ki mobile se connect kar le. Is dauran location bhi open karana hoga. (Friend ke mobile me bhi UC Share app installed hona chahiye)
5.Homepage par aaye Files select kare aur use send kar de, isi tarah receive kar sakte hai.
In Last Word
Size and speed ke mamle me yah app dusre utility se app se kahi aage hai, but agar aapko privacy ki fikr ho to is app ko use na kare because ye Facebook app ki tarah smartphone ki app history and activity par najar rakhta hai.
Subhash Kumar Yadav says
Best Information Sir ji