Yadi aap UP ke niwasi hai aur koi business ya startup start karana chahate hai to aapke liye behad khushkhabari hai ki UP Government ne UP Mukhyamantri Yuva Swarojgar Yojana ki shuruaat kari hai, jisse jo berojgar yuva state me business start karana chahata hai, uski financial help ho sake.
Table of Contents
UP Mukhyamantri Yuva Swarojgar Yojana Kya Hai
UP government dvara state me unemployment ko finish karne ke liye aur industrial culture setup karane ke object se is yojana ka start kiya gaya. Pahle is yojana ka name Samajvadi Yuva Swarojgar Yojana tha, jise 2018 me badalkar UP Mukhyamantri Yuva Swarojgar Yojana kar diya gaya.
Vahi iske liye application process ko bhi change kar diya gaya. Jise April 2018 ko lagu kiya gaya aur is scheme ki period ko bhi badha diya gaya. Lekin is yojana ka object same hai, jo hai berojagari (unemployment) ko finish karana aur unemployment yuva ko rojgar ke liye help karana, taki ve society aur state ki development me contribution kar sake.
UP Mukhyamatri Yuva Swarojgar Yojana Ki Term & Conditions
Is scheme ke liye UP ka koi bhi yuva apply kar sakta hai, but isse pahle is yojana ke niyam jan lena achcha hoga-
1.Is yojana ke liye koi general Category candidate apply karta hai to use business shuru karne me lagne vali total cost ka 10% use khud uthana hoga. Vahi candidate SC/ST/Handicapped/Woman hai to use yah fees keval 5% pay karana hoga.
2.Yuva ko Industrial Business ke liye Rs 25 lakh aur other type business ke liye Rs 10 lakh loan amount diya jayega.
3.UP government kisi bhi business ki cost ka 25% pay karegi.
4.Yadi business start ke two year bad business successful rahata hai to loan amout ko maf kar diya jayega.
5.Jis candidate ka business cost sabse kam hoga, use priority diya jayega.
6.Is yojana ka vahi benefit le sakta hai, jisne Pradhanmatri Rojgar Yojana, Prandhamantri Srijan Program Yojana, Mukhyamantri Rojgar Yojana ya other kisi rojgar yojana ka benefit naa liya ho.
7.Candidate ki age 18 se 40 years ke bich honi chahiye aur kam se kam 10th class passed ho.
8.Candidate kisi bhi national bank, financial institution aur govt institution ka defaulter na ho.
UP Mukhyamantri Yuv Swarojgar Yojana Ke Liye Required Document
1.Applicant ki Voter ID, Aadhar ID, Bonafide Certificate, 10th Class Marksheet
2.Bank Details
3.Caste Certificate, yadi aap general category se nahi hai.
4.Handicapped certificate, yadi aap handicapped hai.
5.BPL Card, yadi hai to
6.Business me jise machine ki jarurat hai, uski cost and other details
UP Mukhyamantri Yuva Swarojgar Yojana Ke Liye Online Registration Kaise Kare
Is yojana ke liye complete registration online aur offline tarike se hoga. Ab aap following tarike ko follow kare-
1.Uttar Pradesh Khadi and Gramodyog Board ki website par visit kare.
2.Yahan aap UP Mukhyamantri Yuva Swarojgar Yojana ki link par click kare.
3.Sahi details ke sath form fill kare.
4.Photo & Document ki copy upload kare.
5.Final submit kare aur receipt download kar len.
Ab document copies aur receipt ko District Udyog And Udyam Protsahan Kendra Office me jama karava de.
Friends, is tarah aap UP Mukhyamantri Yuva Swarojgar Yojana ka benefit lekar apna business start kar sakte hai aur apni life ko secure kar sakte hai.
Leave a Reply