Aajadi ke karib 70 saal ke bad bhi country me poverty nahi miti hai. jiske liye Indian Government ke sath state government bhi behad committed hai. Isliye samay-samay par kai welfare schemes run karti hai. Taki jaruratmand people us scheme ka benefit lekar apna life chala sake. Aise hi welfare scheme hai- Ration Card, jiske tahat Government market price se behad low price me Gehun, Tel, Chini, Dal available karti hai.
UP Ration Card List 2019
India me lagbhag sabhi state is scheme ko run karti hai, jismen UP bhi ek hai, jo bahut adhik BPL people ki state hai, Isliye yahan ke people ke liye ration card scheme bahut importance rakhti hai.
Friend, yadi aap bhi BPL hai to is scheme ka benefit lena chahiye ya fir APL hai to bhi aap is scheme ke liye eligible hai.
Khair yadi aapne already is scheme ke liye apply kar diya hai aur aap ration card list me apna name check karana chahte hai to ham iske liye aapko ek nahi two tarike batayenge, isliye aap is post ko last tak padhate rahe.
UP Ration Card List 2019 Me Name Kaise Dekhe
Ration card scheme aisi scheme jisme time-time par new beneficiary add hote rahate hai aur old beneficiaries ke name ko hataya jata hai, jo is scheme ke liye eligible nahi rah gaye. Aise me yadi aap is scheme ke old beneficiary hai ya new applicant hai to aapko is list me apna name find karana chahiye, jise aap following tarike se jaan sakte hai-
Method-1 Town wise
Is method se town vale candidate apna name check kar sakte hai.
1.NFSA ki official website par visit kare.
2.Vaha NFSA section me NFSA Ki Patrata Suchi par click kare.
3.Ab aapke samane district wise list show hoga, jisme aap apne district par click kare.
4.Yahan aapko sabse pahle Town Wise list dikhegi, usme apna town select kare.
5.Ab aapko public distribution shopkeepers ki list show hogi, aap apne area ke shopkeeper ke name ke samane Ration Card ki list par click kare.
6.Open hue list me aap apna name find kar sakte hai.
Method-2 Village Wise
Yah method un candidate ke liye hai, jo village hai.
1.NFSA ki website par jaye.
2.Homepage ke middle me NFSA section ke NFSA ki Patrata Suchi link par click kare.
3.Open hue district wise list me apne district par click kare.
4.Iske bad do list open hogi, jisme second list block wise list hogi. Usme apna block chune.
5.Gram Panchayat par click kare.
6.Shopkeeper ke name ke aage Ration card list par click aur apna name find kare.
Friend is tarah aap town wise aur village wise UP ration card list me apna check name nikal sakte hai. Iske alava, yadi name find karte hue koi problem face kar rahe hai to comment me hamen jarur bataya.. Vahi is post ko helpful pane par Facebook, Twitter & Whatsapp par share kare.
Leave a Reply