Indian Government ne 2009 me Aadhar program ko launch kiya tha. Tab se lekar ab tak bahut kuch change ho chukka hai.
Jaise
Aapki marriage ho gai hogi
Dusre city me rahane chale gaye honge
Dusre city me kar rahe jobs se retire ya transfer ho gaye honge
Aapke mohalle ka name change ho gaya ho etc.
In sab circumstances me Aadhar par darj aaddress ko bhi change karna jaruri hai. taki aap use proper use kar sake.
Aadhar Card me address ko tin tarike se update kar sakte hai. Jise janate hai
Table of Contents
How to change Address in Aadhar Card
#1.Online Tarika
Online tarike se vahi log apne adhar cards ko update kar sakenge, jinke mobile number adhar card se registered hai.
Online aadhar card update karane ke liye in chijon ki jarurat padegi.
1.Internet connection
2.Laptop / Computer
3.Scanner
Ab in steps ko follow kare
1.Aadhar Self Service Update Portal par visit kare
2.niche Proceed par click kare.
3.Ab Aadhar no enter kar login ho jaye. Registered mobile no par OTP aayega, use enter kare.

4.Ab Aap kya update karana chahte hai, use select kare aur submit kar de.
Jaise
Name
Gender
DOB
Address
Mobile Number
Email ID
5.Ab Document Upload section me supporting document ko scan kare. Fir sign kare aur upload kar de.
Jab ye process pura ho jayega, tab aapko Aadhar Card Update Request Number milega, jisse update status ko check kar sakte hai.
Update status check kare
#2.Post
Post ke dvara aadhar card me update karne ke liye ye form download kare.
Is form me jaruri details fill kare aur sath hi self attested document bhi attach kare.
Ab form ko is address par send kar den.
Address -1
UIDAI
Post Box No. 10
Chhindwara,
Madhya Pradesh- 480001
India
Address-2
UIDAI
Post Box No. 99
Banjara Hills
Hyderabad- 500034
India
#3.Aadhar Card Enrollment Center
Yadi aap quickly aadhar card update karana chahte hai, ye tarika aapki help kar sakta hai.
Bas aap apne najdiki Aadhar Card Enrolment Center jaye aur sath me supporting document aur aadhar card bhi le jaye.
Update process pura hone ke bad aapko aadhar card receipt jaise paper milega. Jisme Update Request No hoga. Jisse aap update status check kar sakte hai.
Government ne Enrolment Center par aadhar card update karane ke liye Rs25 fee nirdharit kar rakhi hai.
Yadi aapse koi jyada mange to 1947 par complaint kare.
Update Time
UIDAI ne kisi bhi update ke liye 90 din set kar rakhi hai. Par ye bahut din hai. Isse pahle hi update ho jata hai.
Jab aapka update approve ho jayega, to aapke registered mobile no ya registered email id par message aa jayega.
Fir aap new updated aadhar card download kar sakenge.
Yadi Post ko helpful pate hai share and comment kare.
Leave a Reply