Uttar Pradesh Public Service Commission ne UPPSC UPPSC PCS ki combined result announce kar diya hai. Jise aap UPPSC ke official website par check kar sakte hai.
Aap UPPSC UPPCS PCS Result ko kaise check karenge, jise main aage batayunga. Aap padhte rahe.
Uttar Pradesh Public Service Commission (UPPSC) ke anusar is exam ke liye 4,55,297 candidates ne registration karavaya tha. Lekin keval 2,46, 654 candidate ne is exam me participate kiya.
Aapko bata dun ki UPPSC ne 677 vacant seats ke liye yah vacancy nikala tha.
UPPSC UPPCS PCS Result Kaise Check Kare
Aise candidate, jo UPPSC UPPCS PCS Prelims Result 2017 ke result check karana chahte to ve is steps ko follow kar sakte hai-
1.UPPSC ki official website par visit kare.
2.Home page ke right side column me UPPSC ki related result link par click kare.
3.Ab apna roll number etc enter kare apna result check kare.
- CA Final Result Nov 2017 & CPT Result Dec 2017 Kaise Jane [3 Ways]
UPPSC UPPCS PCS Prelims Result 2017 Cut Off
Seats kam hai, appeared candidates ki number bahut jyada hai. Lekin jitne candidates ne is exam ke liye apply kiya tha, uske aadhe candidates ne hi exam diya. Jisse cut off situation bahut critical ho sakti thi, but ye in stable position me hai.
General Class
Is class ke liye cut off marks 102-107 rah sakti hai.
OBC Class
Is class ke liye 96-100 marks cut off ke liye rah sakti hai.
SC Class
Is class ke liye 83-88 cut off marks rahne ki ummid hai.
ST Class
Is class ke liye 74-79 cut off marks rah sakta hai.
PWD Class
Is class ke candidates ke liye 71-76 cut off marks ho sakti hai.
In The Last
Aap upar bataye gaye tarike se easily UPPSC UPPCS PCS Prelims Result 2017 ko check kar sakte hai. Ye tarika effective hai. Aur rahi baat cut off ki to hamane apne best experience se bata diya ki kya cut off rah sakti hai, jise aap upar check kar sakte hai. Hope, aap is exam me safal ho.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Google plus, Twitter aur Facebook par share kare.
Leave a Reply