Kya aapne UPTET Exam attend kiye the? Ab aap apne result ko dekh bhi sakte hai. Ji han, Uttar Pradesh Basic Education Board ne UPTET Result 2018 release kar diya hai, jise aap UPTET ke official website par check kar sakte hai. To aap kaise check kar sakenge, chaliye janate hai-
UPTET Revised Result 2019 Kaise Check Kare
Aise candidates, jo teacher banana chahte hai to UP me primary teacher ya high primary teacher banana chahate hai to UPTET pass karana jaruri hai. iske liye record 18,25,036 candidates ne apply kiye the, jo ki last year yah number 10 lakh thi.
Khair is 18 lakh application me se 44,135 application ko reject kar diya gaya. uske bavjud 18 November 2018 ko hue two shift me exam me 16,73,126 candidates ne participate kiye the, jabki 17,83,716 candidates ko exam dena tha.
Isme primary teacher banana ke liye 11,70,786 candidates me se 11,01,710 candidates aur High Primary Teacher ke liye 612930 candidates ne apply kiya tha, jisme 571416 candidates ne exam me participate kiya.
UPTET Revised Result Is Prakar Check Kare
Uttar Pradesh Basic Education Board dvara release result ke according primary teachar ke liye 11,01,645 candidates me se 3,66,285 passed hue. Jiska result aaj announce kar diya gaya aur use 7 January 2019 tak dekh sakte hai-
Aaiye result janane ke tariko ko jan lete hai-
1.UPBasicEducation.Gov.in par visit kare.
2.UPTET Primary Result ya UPTET Senior Primary Result par click kare.
3.Details fill kare
4.Result show hoga, use download kar le.
Answer Key
UPBEB ne 30 November 2018 ko Primary Teacher Answer Keys aur Senior Primary Teacher Answer Keys ko release kar diya gaya tha, jise aap in link par access kar sakte hai, ye answer keys revised hai.
1.Primary Teacher Exam Keys
2.Senior Primary Teacher Exam Keys
Helpline
Kisi bhi tarah ka problem hone par in department me contact kare –
U.P. PARIKSHA NIYAMAK PRADHIKARI, Prayagraj – 0532-2466761, 0532-2466769, Email ID – uptethelpline@gmail.com
If you find the post helpful, please share on Facebook, Twitter and Whatsapp.
Leave a Reply