Yadi aap Vodafoen ke postpaid customer hai to aapke bill par call details mil jayega, but yadi aap prepaid customer hai to call details kaise nikalenge….?
Don’t worry, Ham aapko Vodafone call details nikalane ka tarika batayenge, vo bhi ek nahi, balki do tarike.
Generally call details janane ki jarurat following situation me padti hai, –
1.Lost Mobile Phone Milane Par – Yadi aapka mobile kho jaye aur use vapas pa letee hai to sabse jaruri hai ki aap call details check kar len, jisse aap time rahate kisi bhi issue se khud bacha sakte hai.
2. Love Affairs – Aaj ke time me call details janane ka yah sabse popular reason hai. Isse jude issue ko call details ko jankar easily solve kiya ja sakta hai.
3.Kisi Stranger Ko Phone Dene Par – Yadi apne kuch time ke liye apne phone ko kisi stranger ko diye hai to jaldi se yah jan lena behad jauri hai ki kahi usne aapko number ko misuse to nahi kiya.
4.Police Case – Generally Police Case me call details important evidence hota hai, isliye iski jarurat Police ko padti hai.
Vodafone Call Details Kaise Nikale
Friends, ab ham aapko do tarike se batayenge, jisse call details nikal sakenge –
#1 Vodafone ki official website se call details nikale
Yah sabse best tarika hai, jisse turant call details dekh sakte hai
1.Vodafone ki official website par visit kare.
2.Register Now button par click kare.
3.Vodafone number enter kare aur OTP ke liye request kare.
4.OTP enter kar Submit kare।
5.Ab open hue box me following details submit karna hoga-
-Email ID
-Security Question
-Security Answer
-Password
Ye details enter karne ke bad Create My Account par click kare. Account banate hi aapko again login hona hoga. Login ke bad dashbaord open hoga.
6.Dashboard ke niche Plans & Usage me voice usage par click kare।
Ab aapka call details show hoga, isi tarah SMS par click kar SMS bhi dekh sakenge.
#2 App Se Call Details Kaise Nikale
Yadi aap first tarike se call details nikal nahi pate hai to is tariko ko try kar sakte hai.
1.Mubble App install kare
2.Language select kare
3.Permission grant kare
4.Aapka SIM kis comapny ki hai, use App automatically detect karega
5.Ab number verify kare
6.Email enter kar Sign up kare, isi email id par aapko call details milegi.
7.Ab Call History show karne ke liye dubara se Permission grant kare
8.Ab is app ne SIM ko access kar liya hai। Ab Bill par click kare
9.Open box me 30 Days select kare and Get By Email par click kare
Ab aapko Vodafone call details aapke email ID par mil jayegi.
Friends, is tarah se aap bade aasanai se Vodafone call detaials nikal sakte hai.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Twitter and Whatsapp par share kare.
Leave a Reply