Yadi aap Whatsapp user hai to ab aapko online money sending aur receiving ke liye Google Tez, Paytm ya Bhim App use karane ki jarurat nahi. Ab aap Whatsapp se hi apne friend ya relatives ko money send ya receive kar sakte hai.
Haal hi me Whatsapp ne Online Payment Enabled Whatsapp ka beta version launch kiya hai, jo filhal sabhi ke liye available nahi hai.
Iska stable version aane me kuch time lag sakta hai, chaliye ab jante hai-
Whatsapp UPI Payment Feature Kya Hai ?
Whatsapp ne online payment feature ke liye planning 1 April 2017 se hi shuru kar diya tha. Ab kuch time bad sabhi Android aur iOS users ke liye available hoga.
Whatsapp Payment feature ke liye Paytm aur Bhim app ki tarah NPCI ke payment system UPI (Unified Payments Interface) ko use karata hai.
Yani aap ko Whatsapp se payment transaction ke liye bank details nahi, UPI address ki jarurat hogi. Jise aap easily create kar sakte hai.
Whatsapp Payment Feature, Paytm aur Google Tez Se Kaise Difference Hai ?
1.Whatsapp -Whatsapp ke globally 1.2 billion users hai. Jab Whatsapp globally payment feature ko enable kar dega, tab yah duniya ka sabse bada Payment enabled app ban jayega.
Vahi India me iske 25 karor users hai, jo other app users se kahi jyada hai. Yani Indian me bhi Whatsapp sabse bada payment enabled app ban sakta hai.
Payment feature enable karane ke bavjud whatsapp messaging app ke rup me hi jana jayega aur Whatsapp payment option chat ke dauran available karta hai.
But Paytm ki tarah Amazon, Flipkart jaise ecommerce websites aur retailer shopkeeper ko payment karane ke liye ise use nahi kar sakte.
2.Paytm – India me Paytm ke 18 karore user hai. Paytm ne haal me hi UPI ko App me add kiya tha. Vaise Paytm ek e-wallet hai. jo homepage aur inbox me payment feature available karta hai.
3.Google Tez – Google Tez ne India me ab tak 12 karore use jod chukka hai. Yah homepage par payment feature available karta hai. Sath hi messaging ke liye bhi jana jata hai.
Whatsapp me Whatsapp UPI Payment Feature Kaise Add Kare
Simply aapko Whatsapp me Whatsapp UPI Payment Feature enable karne ke liye update karna hoga.
Yadi aap is tarike se chat box me payment feature nahi dekh paa rahe to aap aise friend se contact kare, jiska Whatsapp UPI Payment Feature Enabled ho.
Yadi vo aapko whatsapp se money send karane ki koshish karega to Whatsapp UPI Payment Feature Setup karane ka notification milega.
Ab OK press karte hi aapke Whatsapp me Payment Feature add ho jayega. Ab transaction karane ke liye Whatsapp UPI payment feature setup karna hoga., jise aage jante hai.
Whatsapp UPI Payment Feature Kaise Setup Kare
Whatsapp me UPI Payments Feature setup karana Bhim app ke saman hai.
1.Whatsapp setting me jaye aur Payments option par click kare.
2.Ab Verify Via SMS par click kare. Whatsapp aap ke number ko verify karega aur sath hi check karega ki aapka number kaun –kaun se bank se registered hai.
3.Aapke number se registered Bank list show hogi. Ab jise bank account ko connect karna hai, us par click kare.
4.Ab kuch seconds me yah process complete ho jayega aur ant me Done par click kare.
5.Ab Whatsapp Payment Page open hoga, jismen Whatsapp se connected Bank Account details show hoga aur aap Add New Account Option se dusre bank account ko bhi add kar sakte hai.
Ab aapko jis friend ko payement send karana, use Whatsapp me uske name par click kare. Attachment Icon par click karne par payment option show hoge. Ab use par click kar payment kare.
In Last Word
Whatsapp me online payment feature enable hone se India ki Digital Kranti ko khub badhava milega. But whatsapp payment feature ko individual purpose ke liye use kiya ja sakega. Isse aap ecommerce website aur retailers ko payment nahi kar sakte. Jo is payment system ko adhura banata hai.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Whatsapp, Facebook, Twitter aur Google Plus par share kare.
Shubham Butola says
Bounce rate kaise kam kare… Or maine ap i 1 adsence k andr doosri blogspot blog k liye adds k liye add kiya hai lekin avi v review m hai btara hai ki it can take upto 14 days to review… Kuch idea is baar m ya yoitube channel p video tumare??
Ravi Kumar says
Bounce Rate Kam Kare –
1.Long content
2.Interlink
3.Insert Video
4.Page speed
——————
Don’t worry, wait is only solution.
Trends portals says
Nice one… Check here hope you like.????