Kai people ke life me aisa situation aata hai ki jab ve travel karte hue ya koi work karate hue apna Aadhar card lost kar dete hai. Lekin Govt ki welfare schemes ki benefit lene ke liye ye bahad jaruri hai.
Isliye dubara se Aadhar Card ki jarurat pad jati hai. Ab aise situation me Aadhar Card kisi mobile number se registered na ho aur UIDAI Receipt bhi lost ho jaye to situation aur complex ho jati hai.
Bina Registered Number & Receipt Ke Aadhar Card Kaise Download Kare
Friend aap bhi aise situation me hai to ham aapko behad simple tarika batayenge, jisse aap original Aadhar Card reprint karava sakte hai, jo Aadhar Card me mentioned Address par UIDAI deliver kar degi. Iske ke liye aapko following steps follow karana padega –
Important Thing – Aapke pas 12 digit Aadhar Number ya 16 digit VID (Jo Aadhar Enrolment ke time milata hai) aur is process ki fees 50 rupees (speed post fees) hai.
Process
1.Aap UIDAI ki official website par visit kare.
2.Home page par Aadhar Services section show hoga, usme Order Aadhar Reprint (Piol Basis) par click kare.
3.Ab ek form open hoga, usmen following details fill kare
–Aadhar Number/VID
–Enter Security Code
–Request OTP (Yadi aapka Aadhar mobile number se registered nahi to is option ko tik kare)
Send OTP par click kare.
4.OTP enter kare (Yadi aapka aadhar card mobile number se registered hoga, to aapko apne Aadhar ke details show honge)
5.Ab aapko 50 rupees ka speed post charge pay karana hoga. Jiski acknowledgement slip download kar le.
Is slip me following details hongi-
–Payment Data & Time
-SRN
–Receipt Number
–Transaction ID
-Amount
–Aadhar Number
–Transaction Status
Ab kuch dino ke bad Aadhar card me mentioned address par post office se original Aadhar card aa jayega.
Aadhar Card Reprint Order Status Kaise Dekhe
1.UIDAI ki is link [https://resident.uidai.gov.in/check-aadhaar-reprint] par jaye.
2.Opened form me following details fill kare.
-SRN
-UID
–Security code
Submit kare, iske bad aapka Aadhar Card Reprint Order Status show ho jayega.
- Jio Unlimited Free Internet Kaise Chalaye
- Airtel Free Internet Kaise Chalaye ? (5 Best Tricks)
- Airtel & Vodafone-Idea SIM Ki Validity Increase Kaise Kare [Best 4 Tarika]
- Vodafone Free Internet Kaise Chalaye (Best 2 Method)
If you find the post helpful, please share on Facebook, Twitter and Whatsapp.
Leave a Reply